laivyavyavastha 3:1-17

  • shaanti-bali (1-17)

    • tum charbi ya khoon mat khaana (17)

3  agar koi shaanti-bali arpit karna chahta hai+ aur woh maveshiyon mein se koi jaanvar dena chahta hai, to woh chahe gaay de ya bail, use yahova ke saamne aisa jaanvar laana chahiye jismein koi dosh na ho.  use bali ke jaanvar ke sir par apna haath rakhna chahiye. fir woh jaanvar bheint ke tamboo ke dvar par halal kiya jaayega. haaroon ke bete yaani yaajak uska khoon vedi ke chaaron taraf chhidkeinge.  woh shaanti-bali ke ye hisse aag mein jalakar yahova ko arpit karega:+ woh charbi+ jo antadiyon ko dhake rehti hai, woh saari charbi jo antadiyon ke aas-paas hoti hai,  donon gurde aur unke oopar ki charbi yaani kamar ke paas ki charbi. woh gurdon ke saath-saath kaleje ke aas-paas ki charbi bhi nikaalkar alag rakhega.+  haaroon ke bete in saari cheezon ko vedi ki jalti lakdiyon par, hom-bali ke oopar rakhkar jalayenge taaki inka dhuaan uthe.+ yah aag mein jalakar yahova ko diya jaanevala chadhava hai jiski sugandh paakaar woh khush hota hai.+  agar woh yahova ke liye bhed-bakriyon mein se kisi jaanvar ki shaanti-bali chadhana chahta hai, to use aisa nar ya maada jaanvar arpit karna chahiye jismein koi dosh na ho.+  agar woh ek memna dena chahta hai, to use apne memne ko yahova ke saamne laana chahiye.  use apne jaanvar ke sir par haath rakhna chahiye. fir woh jaanvar bheint ke tamboo ke saamne halal kiya jaayega. haaroon ke bete uska khoon vedi ke chaaron taraf chhidkeinge.  woh shaanti-bali ke jaanvar ki charbi aag mein jalakar yahova ko arpit karega.+ woh memne ke ye saare hisse alag karega: reedh ki haddi ke paas se uski charbivali moti poonchh, woh charbi jo antadiyon ko dhake rehti hai, woh saari charbi jo antadiyon ke aas-paas hoti hai, 10  donon gurde aur unke oopar ki charbi yaani kamar ke paas ki charbi. woh gurdon ke saath-saath kaleje ke aas-paas ki charbi bhi nikaalkar alag rakhega.+ 11  fir yaajak in saari cheezon ko vedi par jalayega jisse inka dhuaan uthe. yah yahova ke liye bhojan* hai jo aag mein jalakar use arpit kiya jaata hai.+ 12  agar woh bakri dena chahta hai, to use apna jaanvar yahova ke saamne laana chahiye. 13  woh bakri ke sir par apna haath rakhega aur fir bheint ke tamboo ke saamne jaanvar halal kiya jaayega. haaroon ke bete uska khoon vedi ke chaaron taraf chhidkeinge. 14  woh jaanvar ke ye hisse aag mein jalakar yahova ko arpit karega: woh charbi jo antadiyon ko dhake rehti hai, woh saari charbi jo antadiyon ke aas-paas hoti hai,+ 15  donon gurde aur unke oopar ki charbi yaani kamar ke paas ki charbi. woh gurdon ke saath-saath kaleje ke aas-paas ki charbi bhi nikaalkar alag rakhega. 16  fir yaajak in saari cheezon ko vedi par jalayega taaki inka dhuaan uthe. yah aag mein jalakar arpit kiya jaanevala bhojan* hai jiski sugandh paakaar parmeshvar khush hota hai. saari charbi ka hakdar yahova hai.+ 17  tum charbi ya khoon kabhi na khaana.+ tum jahaan bhi raho yah niyam tum par peedhi-dar-peedhi hamesha tak laagoo rahega.’”

kai footnote

shaa., “roti,” yaani shaanti-bali mein se parmeshvar ka hissa.
shaa., “roti,” yaani shaanti-bali mein se parmeshvar ka hissa.