laivyavyavastha 7:1-38
7 tum dosh-bali ke baare mein is niyam ka paalan karna:+ yah bali bahot pavitra hai.
2 woh dosh-bali ka jaanvar usi jagah halal kareinge jahaan hom-bali ke jaanvar halal karte hain. is bali ke jaanvar ka khoon+ vedi ke chaaron taraf chhidka jaaye.+
3 woh jaanvar ki saari charbi arpit karega,+ uski charbivali moti poonchh, woh charbi jo antadiyon ko dhake rehti hai,
4 donon gurde aur unki charbi yaani kamar ke paas ki charbi. woh gurdon ke saath-saath kaleje ke aas-paas ki charbi bhi nikaalkar alag rakhega.+
5 fir yaajak in saari cheezon ko vedi par rakhkar jalayega taaki inka dhuaan uthe. yah aag mein jalakar yahova ko diya jaanevala chadhava hai.+ yah dosh-bali hai.
6 is bali mein se sirf yaajak khaa sakte hain.+ ise pavitra jagah mein khaana chahiye. yah bahot pavitra hai.+
7 dosh-bali par bhi vahi niyam laagoo hoga jo paap-bali ke liye diya gaya hai. bali ke gosht par us yaajak ka hak hai jo prayashchit ke liye yah bali chadhata hai.+
8 jab ek yaajak kisi ke liye hom-bali ka jaanvar arpit karta hai to us jaanvar ki khaal+ us yaajak ki hogi.
9 anaj ka jo bhi chadhava tandoor ya kadahi mein ya tave par pakakar chadhaya jaata hai,+ use khaane ka hak usi yaajak ko hai jo yah chadhava chadhata hai. yah usi ka hoga.+
10 magar anaj ka aisa har chadhava jo pakaya na gaya ho, haaroon ke sabhi beton ka hoga, fir chahe usmein tel mila ho+ ya woh sookha ho.+ un sabko iska barbar hissa milega.
11 yahova ko di jaanevali shaanti-bali ke baare mein tum is niyam ka paalan karna:+
12 agar koi parmeshvar ko dhanyavad dene ke liye shaanti-bali chadhata hai,+ to use dhanyavad-bali ke jaanvar ke saath ye cheezen bhi laakaar deni hongi: chhalle jaisi bin-khameer ki rotiyaan jo tel se goondhkar banayi gayi hon, tel chupdi bin-khameer ki paapdiyaan aur tel se sane maide ki bani chhalle jaisi rotiyaan jo tel se tar hon.
13 iske alava, dhanyavad dene ke liye di jaanevali shaanti-bali ke saath woh chhalle jaisi khameeri rotiyaan bhi dega.
14 woh inmein se har tarah ki ek-ek roti alag nikaalkar yahova ko arpit karega. yah is chadhave ka pavitra hissa hai. is par us yaajak ka hak hoga jo shaanti-bali ke jaanvaron ka khoon vedi par chhidakta hai.+
15 dhanyavad ke liye di jaanevali shaanti-bali ka gosht usi din khaaya jaaye jis din yah bali di jaati hai. agli subah tak yah gosht bachakar na rakha jaaye.+
16 agar kisi ki shaanti-bali uski mannat-bali+ ya swechha-bali hai,+ to bali ke jaanvar ka gosht us din khaaya jaaye jis din bali chadhayi jaati hai. is bali ka jo gosht bach jaata hai woh agle din bhi khaaya jaa sakta hai.
17 lekin agar teesre din tak bhi kuch bach jaata hai to use aag mein jala dena chahiye.+
18 agar shaanti-bali ka gosht teesre din khaaya jaata hai, to jisne yah bali di hai woh parmeshvar ki manzoori nahin paayega. uski bali bemane ho jaayegi aur ghinauni cheez saabit hogi. jo teesre din woh gosht khaata hai use apne gunah ka lekha dena hoga.+
19 agar bali ka gosht kisi ashuddh cheez se chhoo jaaye to us gosht ko khaana mana hai. use aag mein jala dena chahiye. har koi jo shuddh hai woh shuddh gosht khaa sakta hai.
20 agar koi ashuddh haalaat mein hote huye bhi yahova ke liye di gayi shaanti-bali ka gosht khaata hai, to use maut ki saza di jaaye.+
21 agar koi kisi ashuddh insan+ ya ashuddh jaanvar+ ya kisi ashuddh ghinauni cheez+ ko chhoota hai aur aisi ashuddh haalaat mein woh yahova ke liye chadhayi gayi shaanti-bali ke gosht mein se khaata hai to use maut ki saza di jaaye.’”
22 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
23 “israeliyon se kehna, ‘tum bail ya memne ya bakri ki charbi hargiz mat khaana.+
24 tum aise jaanvar ki charbi bhi mat khaana, jo mara hua paaya jaata hai ya jise kisi doosre jaanvar ne maar daala hai. uski charbi kisi aur kaam ke liye istemal ki jaa sakti hai.+
25 jo koi aise jaanvar ki charbi khaata hai, jise woh aag mein jalakar yahova ko dene ke liye laata hai, use maut ki saza di jaaye.
26 tum jahaan bhi rehte ho, tum kisi bhi jeev ka khoon mat khaana,+ fir chahe woh chidiyon ka khoon ho ya jaanvaron ka.
27 agar koi kisi bhi jeev ka khoon khaata hai, to use maut ki saza di jaaye.’”+
28 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
29 “israeliyon se kehna, ‘jo koi yahova ke liye shaanti-bali chadhata hai, use bali ka kuch hissa yahova ko arpit karne ke liye laana chahiye.+
30 yah hissa bali ke jaanvar ka seena aur charbi hai, jinhein woh apne haathon par rakhkar laayega+ taaki use aag mein jalakar yahova ko arpit kiya jaaye. woh use yahova ke saamne aage-peechhe hilayega. yah hilaya jaanevala chadhava hai.+
31 yaajak yah charbi vedi par rakhkar jalayega taaki iska dhuaan uthe,+ magar seena, haaroon aur uske beton ko diya jaayega.+
32 tum apni shaanti-baliyon ke jaanvar ka daayaan pair, jo pavitra hissa hai, yaajak ko dena.+
33 yah hissa yaani daayaan pair haaroon ke us bete ka hoga jo shaanti-bali ke jaanvar ka khoon aur charbi arpit karega.+
34 israeli apni shaanti-baliyon mein se jo chadhava hilakar dete hain usmein se seena aur pavitra hissa yaani pair alag nikaalkar main haaroon yaajak aur uske beton ko deta hoon. israeliyon ko yah niyam hamesha ke liye diya jaata hai.+
35 yahova ke liye aag mein jalakar jo chadhava diya jaata hai, usmein se yah hissa yaajkon ke liye yaani haaroon aur uske beton ke liye alag rakha jaaye. yah aagya usi din di gayi thi jis din unhein yaajkon ke naate yahova ki seva karne ke liye haazir kiya gaya tha.+
36 jis din yahova ne unka abhishek kiya tha,+ usi din usne yah aagya di thi ki israeliyon ki di hui bali mein se yah hissa unhein diya jaaye. yah niyam peedhi-dar-peedhi sada ke liye un par laagoo rahega.’”
37 ye saare niyam hom-bali,+ anaj ke chadhave,+ paap-bali,+ dosh-bali,+ yaajakpad saunpne ke mauke par di jaanevali bali+ aur shaanti-bali+ ke baare mein diye gaye.
38 yahova ne ye saare niyam seenai pahad par moosa ko diye the.+ usne moosa ko ye niyam us din diye jis din usne israeliyon ko aagya di thi ki woh seenai veerane mein yahova ke liye baliyaan arpit karein.+