luka ke mutabik khushkhabri 1:1-80
-
thiyufilus ke naam (1-4)
-
jibrail, yuhanna baptisma denevale ke janm ki bhavishyavani karta hai (5-25)
-
jibrail, yeeshu ke janm ki bhavishyavani karta hai (26-38)
-
mariyam, ileeshiba se milne jaati hai (39-45)
-
mariyam yahova ka gungan karti hai (46-56)
-
yuhanna ka janm; uska naam rakha gaya (57-66)
-
jakaryah ki bhavishyavani (67-80)
1 aadarneeya thiyufilus, jin sachchi ghatnaon par hum sab yakeen karte hain, unhein likhne ka kaam bahot-se logon ne apne haath mein liya.+
2 usi tarah, jo log shurooat se in baaton ke chashmadeed gavah rahe+ aur hamein parmeshvar ka sandesh sunanevale sevak bane, unhonne bhi ye baatein hum tak pahunchayi hain.+
3 mainne bhi thaana hai ki main tujhe ye saari baatein tark ke mutabik silsilevar dhang se likhoon, jinke baare mein mainne shurooat se sahi-sahi pata lagaya hai+
4 taaki tu pakki tarah jaane ki jo baatein tujhe zabani taur par sikhayi gayi thi woh bharose ke laayak hain.+
5 jin dinon herodes*+ yahoodiya par raaj kar raha tha, un dinon jakaryah naam ka ek aadmi yaajak tha. woh abiyah ke dal ka tha+ aur uski patni ka naam ileeshiba tha, jo haaroon ke vansh se thi.
6 woh donon parmeshvar ki nazar mein nek the, kyonki woh yahova* ki sabhi aagyaon aur kaanoonon ko maante the aur unka chaalchalan bedag tha.
7 lekin unke koi bachcha nahin tha kyonki ileeshiba baanjh thi aur woh donon boodhe ho chuke the.
8 ab aisa hua ki jakaryah parmeshvar ke saamne yaajak ka kaam kar raha tha+ kyonki yah uske dal ki baari thi.
9 yaajakpad ke rivaz ke mutabik jab dhoop jalane ki uski baari aayi,+ to woh yahova* ke mandir ke andar gaya.+
10 dhoop jalane ke vakt, logon ki saari bheed baahar prarthna kar rahi thi.
11 tab jakaryah ke saamne yahova* ka swargdoot prakat hua. woh dhoop ki vedi ke daayin taraf khada tha.
12 use dekhkar jakaryah uljhan mein pad gaya aur bahot dar gaya.
13 lekin swargdoot ne usse kaha, “jakaryah mat dar, kyonki teri minnatein sun li gayi hain. teri patni ileeshiba maa banegi aur tere liye ek bete ko janm degi. tu uska naam yuhanna rakhna.+
14 tujhe bahot khushi milegi aur tu aanand karega. bahot-se log us bachche ke janm par khushiyaan manayenge+
15 kyonki woh yahova* ki nazar mein mahan hoga.+ magar use daakh-madira ya sharab bilkul nahin peeni hai.+ woh apni maa ke garbh se hi* parmeshvar ki pavitra shakti se bharpoor hoga.+
16 woh bahot-se israeliyon ko unke parmeshvar yahova* ke paas vaapas le aayega.+
17 aur woh eliyah jaise josh* aur shakti ke saath parmeshvar ke aage-aage jaayega+ taaki pitaon ka dil palatkar bachchon jaisa kar de+ aur jo aagya nahin maante unhein aisi buddhi de jo nek logon mein hoti hai. is tarah woh yahova* ke liye aise logon ko taiyar karega jo uske yogya hon.”+
18 tab jakaryah ne swargdoot se kaha, “main is baat ka yakeen kaise karoon ki main pita banoonga? kyonki main boodha ho chuka hoon aur meri patni ki bhi umra dhal chuki hai.”
19 swargdoot ne usse kaha, “main jibrail hoon+ aur parmeshvar ke saamne haazir rehta hoon.+ mujhe tujhse baat karne aur yah khushkhabri sunane ke liye bheja gaya hai.
20 magar dekh! tu goonga ho jaayega aur jis din tak ye baatein poori na ho jaayen, us din tak tu bol nahin sakega kyonki toone meri baaton ka yakeen nahin kiya, jo tay vakt par poori hongi.”
21 is dauran log baahar jakaryah ka intazar karte rahe. woh taajjub karne lage ki use mandir mein itni der kyon lag rahi hai.
22 jab woh baahar aaya, to kuch bol nahin saka. woh samajh gaye ki zaroor usne abhi-abhi mandir mein koi darshan dekha* hai. woh unse isharon mein baat karta raha aur goonga raha.
23 jab uski pavitra seva* ke din poore huye, to woh apne ghar laut gaya.
24 kuch dinon baad uski patni ileeshiba garbhvati hui. woh paanch maheene tak apne ghar se nahin nikli. woh kehti thi,
25 “in dinon yahova* ne mujh par meharbani ki hai. usne mujh par dhyan diya hai taaki logon ke beech se meri badnami door kare.”+
26 ileeshiba ke chhathe maheene mein parmeshvar ne jibrail swargdoot+ ko galeel ke naasrat shehar mein
27 ek kunvari+ ke paas bheja. uski mangni yoosuf naam ke ek aadmi se ho chuki thi jo daavid ke gharane se tha. us kunvari ka naam mariyam tha.+
28 jab woh swargdoot mariyam ke saamne aaya, to usne mariyam se kaha, “khush reh! parmeshvar ki badi aasheesh tujh par hai. yahova* tere saath hai.”
29 magar yah sunkar woh bahot ghabra gayi aur sochne lagi ki aise namaskar ka kya matlab ho sakta hai.
30 tab swargdoot ne usse kaha, “mariyam, mat dar! kyonki toone parmeshvar ki badi aasheesh paayi hai.
31 dekh! tu garbhvati hogi aur ek bete ko janm degi.+ tu uska naam yeeshu rakhna.+
32 woh mahan hoga+ aur param-pradhan ka beta kehlayega+ aur yahova* parmeshvar uske purkhe daavid ki raajgaddi use dega.+
33 woh raja bankar yakub ke gharane par hamesha tak raaj karega aur uske raaj ka kabhi ant nahin hoga.”+
34 magar mariyam ne swargdoot se kaha, “mujhe bachcha kaise ho sakta hai, main to kunvari hoon?”*+
35 swargdoot ne usse kaha, “parmeshvar ki pavitra shakti tujh par aayegi+ aur param-pradhan ki shakti tujh par chhaa jaayegi. isliye jo paida hoga woh pavitra + aur parmeshvar ka beta kehlayega.+
36 dekh! teri rishtedar ileeshiba jise baanjh kaha jaata tha, woh bhi budhape mein garbhvati hui hai. woh ek bete ko janm denevali hai aur yah uska chhatha maheena hai.
37 kyonki parmeshvar ke munh se nikli koi bhi baat* naamumkin nahin ho sakti.”+
38 tab mariyam ne kaha, “dekh! main to yahova* ki daasi hoon! toone jaisa kaha hai, vaisa hi mere saath ho.” tab woh swargdoot uske paas se chala gaya.
39 un dinon mariyam ne jaldi-jaldi taiyari ki aur pahadi ilake mein yahooda ke ek shehar ke liye nikaal padi.
40 woh jakaryah ke ghar pahunchi aur usne ileeshiba ko namaskar kiya.
41 jaise hi ileeshiba ne mariyam ka namaskar suna, uske pet mein bachcha uchhal pada aur ileeshiba pavitra shakti se bhar gayi
42 aur zor se bol uthi, “tu aurton mein sabse dhanya hai! tere garbh ka fal bhi dhanya hai!
43 yah mere liye kitna bada samman hai ki mere prabhu ki maa mere paas aayi hai!
44 kyonki dekh! jaise hi tere namaskar ki aavaz mere kaanon mein padi, mere pet mein bachcha khushi se uchhal pada.
45 tu isliye bhi dhanya hai ki toone yakeen kiya, kyonki yahova* ki jo baatein tujhse kahi gayi hain, woh sab poori hongi.”
46 tab mariyam ne kaha, “main* yahova* ka gungan karti hoon+
47 aur mera dil mere uddharkarta parmeshvar ki vajah se khushi se foola nahin sama raha+
48 kyonki usne apni daasi ki deen dasha par dhyan diya hai+ aur ab se saari peedhiyaan mujhe sukhi kaha kareingi.+
49 kyonki shaktishali parmeshvar ne meri khaatir bade-bade kaam kiye hain aur uska naam pavitra hai.+
50 jo uska dar maante hain, un par uski daya peedhi-peedhi tak bani rehti hai.+
51 usne apne baazuon ki taakat dikhayi hai aur jinka dil ghamand se bhara tha unhein titar-bitar kiya hai.+
52 usne adhikar rakhnevalon ko unki gaddi se neeche utara hai+ aur deen-heenon ko uncha kiya hai.+
53 usne bhookhon ko bharpet achhi cheezen di hain,+ jabki daulatmandon ko khaali haath lauta diya hai.
54 woh apne sevak israel ko sahara dene aaya hai aur jaisa usne hamare purkhon se vaada kiya tha,+
55 use abraham aur uske vansh* par sada-sada tak daya karna yaad raha.”+
56 mariyam kareeb teen maheene tak ileeshiba ke saath rahi aur fir apne ghar laut aayi.
57 ileeshiba ke din poore huye aur usne ek bete ko janm diya.
58 jab uske padosiyon aur rishtedaron ne suna ki yahova* ne us par badi daya ki hai, to unhonne uske saath khushiyaan manayin.+
59 aathvein din woh us bachche ka khatna karne aaye.+ woh uske pita jakaryah ke naam par uska naam rakhne jaa rahe the.
60 lekin bachche ki maa ne kaha, “nahin! uska naam yuhanna hoga.”
61 tab woh usse kehne lage, “tere rishtedaron mein se kisi ka bhi yah naam nahin hai.”
62 fir unhonne bachche ke pita se isharon mein poochha ki woh uska kya naam rakhna chahta hai.
63 usne ek takhti mangvayi aur us par likha, “iska naam yuhanna hoga.”+ yah dekhkar sab hairan reh gaye.
64 usi ghadi jakaryah ki zaban khul gayi aur woh fir se bolne laga+ aur parmeshvar ki taareef karne laga.
65 unke aas-paas rehnevale sabhi logon par dar chhaa gaya. yahoodiya ke pahadi ilake mein har taraf in baaton ki charcha hone lagi.
66 jitne logon ne yah sab suna woh man mein sochne lage, “yah bachcha bada hokar kya banega?” isliye ki yahova* ka haath vaakai us bachche par tha.
67 fir uska pita jakaryah pavitra shakti se bhar gaya aur yah bhavishyavani karne laga,
68 “israel ke parmeshvar yahova* ki jayjaykar ho,+ kyonki usne apne logon par dhyan diya hai aur unhein chhutkara dilaya hai.+
69 usne apne sevak daavid ke gharane+ mein hamare liye ek shaktishali uddharkarta paida kiya+ hai,*
70 theek jaise usne pracheenkal ke pavitra bhavishyavaktaon ke munh se kehalvaya tha.+
71 usne bataya tha ki woh hamare dushmanon se aur jo hamse nafrat karte hain un sabse hamein chhutkara dilayega.+
72 woh hamare purkhon par daya karte huye apne pavitra karar ko yaad karega,+
73 us shapath ko jo usne hamare purkhe abraham se khaayi thi.+
74 usne kaha tha ki woh hamein dushmanon ke haath se chhudakar hamein yah samman dega ki hum nidar hokar uski pavitra seva karein
75 aur saari zindagi uski nazron mein vafadar rahein aur uske nek staron ke mutabik chalte rahein.
76 magar mere bete, jahaan tak teri baat hai, tu param-pradhan ka bhavishyavakta kehlayega, isliye ki tu yahova* ke aage-aage jaakaar uske liye raasta taiyar karega.+
77 aur uske logon ko yah sandesh dega ki woh unke paap maaf karega aur unka uddhaar karega.+
78 yah hamare parmeshvar ki komal karuna ki vajah se hoga. jab woh karuna karega to maano hum par subah ka ujala chamkayega
79 taaki jo andhere mein aur maut ke saaye mein baithe hain unhein woh raushni de+ aur hamare kadmon ko shaanti ki raah par le chale.”
80 woh ladka bada hota gaya aur damdar shakhsiyatvala insan bana. jab tak uske liye israel ke saamne aane ka vakt nahin aaya, tab tak woh veeran ilakon mein raha.
kai footnote
^ ya “paida hone ke pehale se hi.”
^ ya “anokhi ghatna dekhi.”
^ ya “jan-seva.”
^ ya “mainne kisi aadmi ke saath yaun-sambandh nahin rakhe hain.”
^ ya “parmeshvar ke liye kuch bhi.”
^ shaa., “beej.”