luka ke mutabik khushkhabri 10:1-42

  • yeeshu 70 chelon ko bhejta hai (1-12)

  • pashchatap na karnevale shehron ko dhikkarta hai (13-16)

  • 70 chele lautte hain (17-20)

  • pita ki taareef ki jisne namra logon par kripa ki (21-24)

  • dayalu saamri ki misal (25-37)

  • yeeshu, mariyam aur maartha ke ghar par (38-42)

10  iske baad prabhu ne 70 aur chele chune aur jis-jis shehar aur ilake mein woh khud jaanevala tha, vahaan unhein do-do ki jodiyon mein apne aage bheja.+  woh unse kehne laga, “beshak, katai ke liye fasal bahot hai magar mazdoor thode hain. isliye khet ke maalik se binti karo ki woh katai ke liye aur mazdoor bheje.+  jaao, magar dekho! main tumhein memnon ki tarah bhediyon ke beech bhej raha hoon.+  apne saath paison ki thaili mat lena, na khaane ki potli, na hi jootiyaan lena+ aur raaste mein kisi ko namaskar mat karna.*  jab tum kisi ghar mein jaao to pehale kaho, ‘is ghar mein shaanti ho.’+  agar vahaan koi shaanti chahnevala ho, to tumhari shaanti us par bani rahegi. lekin agar na ho to tumhari shaanti tumhare paas laut aayegi.  isliye usi ghar mein raho+ aur jo kuch woh tumhein dein, woh khaao-peeo+ kyonki kaam karnevala mazdoori paane ka hakdar hai.+ apne thaharne ke liye ghar-par-ghar badalte mat rehna.  jab tum kisi shehar mein jaao aur log tumhein apne yahaan thehrayen, to woh tumhare aage jo khaana parosein use khaao,  vahaan beemaron ko theek karo aur prachar karo ki ‘parmeshvar ka raaj tumhare paas aa gaya hai.’+ 10  lekin jab kisi shehar mein log tumhein apne yahaan na thehrayen to vahaan ke chaurahon mein jaao aur kaho, 11  ‘tumhare shehar ki dhool tak jo hamare pairon mein lagi hai, hum ponchh daalte hain taaki yah tumhare khilaf gavahi de.+ fir bhi yaad rakho ki parmeshvar ka raaj paas aa gaya hai.’ 12  main tumse kehta hoon ki us din sadom ka haal us shehar ke haal se zyada sehne laayak hoga.+ 13  hey khurajeen, dhikkar hai tujh par! hey baitsaida, dhikkar hai tujh par! kyonki jo shaktishali kaam tummein huye the, agar woh sor aur seedon mein huye hote, to vahaan ke logon ne taat odhkar aur raakh mein baithkar kab ka pashchatap kar liya hota.+ 14  isliye nyay ke vakt, sor aur seedon ka haal tumhare haal se zyada sehne laayak hoga. 15  aur kafarnahoom tu, tu kya sochta hai ki tujhe aakash tak uncha kiya jaayega? tu to neeche kabraa mein jaayega! 16  jo tumhari sunta hai, woh meri bhi sunta hai.+ jo tumhein thukrata hai, woh mujhe bhi thukrata hai. jo mujhe thukrata hai, woh us parmeshvar ko bhi thukrata hai jisne mujhe bheja hai.”+ 17  iske baad woh 70 chele khushi-khushi laute aur kehne lage, “prabhu, tera naam lene se dusht swargdoot bhi hamare adheen ho rahe hain.”+ 18  tab yeeshu ne unse kaha, “main dekh sakta hoon ki shaitan bijli ki tarah aakash se gir chuka hai.+ 19  dekho! mainne tumhein saanpon aur bichhuon ko pairon tale raundne aur dushman ki taakat par kaaboo paane ka adhikar diya hai+ aur koi bhi cheez tumhein nuksan nahin pahunchayegi. 20  fir bhi is baat se khush mat ho ki swargdoot tumhare adheen kiye jaa rahe hain, magar is baat par khushi manao ki tumhare naam swarg mein likhe gaye hain.”+ 21  usi ghadi woh pavitra shakti se bhar gaya aur khushi se foola nahin samaya aur bola, “hey pita, swarg aur prithvi ke maalik, main sabke saamne teri badai karta hoon ki toone ye baatein buddhimanon aur gyaaniyon+ se to bade dhyan se chhipaye rakhin, magar nanhe-munnon par prakat ki hain. kyonki hey pita, tujhe yahi tareeka manzoor hai.+ 22  mere pita ne sabkuch mere haath mein saunpa hai. beta kaun hai, yah koi nahin jaanta siva pita ke. aur pita kaun hai, yah koi nahin jaanta siva bete ke+ aur uske, jis par beta use prakat karna chahe.”+ 23  tab usne mudkar apne chelon se akele mein kaha, “sukhi hain woh jinki aankhein woh sab dekhti hain jo tum dekh rahe ho.+ 24  kyonki main tumse kehta hoon, bahot-se bhavishyavaktaon aur raajaon ne chaha tha ki woh sab dekhein jo tum dekh rahe ho, magar nahin dekh sake+ aur woh baatein sunein jo tum sun rahe ho, magar nahin sun sake.” 25  iske baad, ek aadmi jo kaanoon ka achha jaankar tha, yeeshu ki pareeksha lene ke liye khada hua. usne kaha, “guru, hamesha ki zindagi ka vaaris banne ke liye mujhe kya karna chahiye?”+ 26  yeeshu ne kaha, “kaanoon mein kya likha hai? toone kya padha hai?” 27  usne javab diya, “‘tum apne parmeshvar yahova* se apne poore dil, apni poori jaan,* apni poori taakat aur apne poore dimag se pyar karna,’+ aur ‘apne padosi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho.’”+ 28  yeeshu ne kaha, “toone sahi javab diya. aisa hi karta reh aur tu jeevan paayega.”+ 29  magar us aadmi ne khud ko nek saabit karne+ ke irade se yeeshu se poochha, “asal mein mera padosi kaun hai?” 30  yeeshu ne kaha, “ek aadmi yarooshalem se neeche utaarkar yareeho jaa raha tha aur luteron ne use gher liya. unhonne uske kapde utarva liye aur uska sabkuch chheenkar use bahot maara aur adhmara chhodkar vahaan se chale gaye. 31  ittafak se ek yaajak usi sadak se neeche jaa raha tha, magar jab usne us aadmi ko pada dekha, to sadak ki doosri taraf se nikaal gaya. 32  usi tarah, jab ek levi bhi vahaan se jaa raha tha aur usne us aadmi ko dekha, to sadak ki doosri taraf se nikaal gaya. 33  magar fir ek saamri+ us sadak se guzra aur jab usne us aadmi ko dekha to uska dil tadap utha. 34  woh uske paas gaya aur uske ghaavon par tel aur daakh-madira daalkar pattiyaan baandhi. fir woh use apne gadhe par laadkar ek saray mein le aaya aur uski dekhbhal ki. 35  agle din usne sarayvale ko do deenar* dete huye kaha, ‘is aadmi ki dekhbhal karna aur iske alava jo bhi kharch hoga, woh main lautkar tujhe de doonga.’ 36  ab bata, tujhe kya lagta hai, un teenon mein se kisne us aadmi ka padosi hone ka farz nibhaya,+ jise luteron ne gher liya tha?” 37  usne kaha, “vahi jisne us par daya ki aur uski madad ki.”+ tab yeeshu ne usse kaha, “jaa aur tu bhi aisa hi kar.”+ 38  fir woh aage badhe aur ek gaanv mein gaye. vahaan maartha+ naam ki ek aurat thi, jisne use apne ghar mehman thehraya. 39  uski ek behen bhi thi, jiska naam mariyam tha. woh neeche prabhu ke pairon ke paas baithkar uski baatein sun rahi thi. 40  magar maartha ka dhyan bahot-si taiyariyaan karne mein bata hua tha. isliye woh yeeshu ke paas aayi aur boli, “prabhu, kya tujhe parvah nahin ki meri behen ne saara kaam mujh akeli par chhod diya hai? usse bol ki aakaar mera haath bataye.” 41  prabhu ne usse kaha, “maartha, maartha, tu bahot baaton ki chinta kar rahi hai aur pareshan ho rahi hai. 42  asal mein thodi hi cheezon ki zaroorat hai ya bas ek hi kaafi hai. jahaan tak mariyam ki baat hai, usne achha* bhaag chuna hai+ aur woh usse nahin chheena jaayega.”

kai footnote

ya “namaskar karke gale na lagana.”
ati. ka5 dekhein.
shabdavli mein “jeevan” dekhein.
ati. kh14 dekhein.
ya “sabse badhiya.”