luka ke mutabik khushkhabri 23:1-56

  • yeeshu, peelatus aur herodes ke saamne (1-25)

  • yeeshu aur do apradhiyon ko kaath par latka diya gaya (26-43)

    • “tu mere saath firdaus mein hoga” (43)

  • yeeshu ki maut (44-49)

  • yeeshu ko dafnaya gaya (50-56)

23  tab woh sab-ke-sab uthe aur use peelatus ke paas le gaye.+  vahaan pahunchkar woh us par ilzam lagane lage,+ “yah aadmi hamare raashtra ko bagavat ke liye bhadkata hai, samrat* ko kar dene se mana karta hai+ aur kehta hai ki main maseeh hoon, main raja hoon.”+  tab peelatus ne usse poochha, “kya tu yahoodiyon ka raja hai?” javab mein yeeshu ne kaha, “tu khud kah raha hai.”+  tab peelatus ne pradhan yaajkon aur saari bheed se kaha, “mujhe is aadmi mein koi dosh nazar nahin aata.”+  magar woh aur bhi zor dekar kehne lage, “yah saare yahoodiya mein, galeel se lekar is jagah tak logon ko sikha-sikhakar bhadka raha hai.”  yah sunkar peelatus ne poochha ki kya yah aadmi galeeli hai  aur yah pakka kar lene ke baad ki yeeshu us ilake se hai jis par herodes ka adhikar hai,+ usne use herodes ke paas bhej diya. herodes un dinon yarooshalem mein tha.  yeeshu ko dekhkar herodes bahot khush hua isliye ki woh ek arse se use dekhna chahta tha. herodes ne uske baare mein bahot kuch suna tha+ aur ummeed kar raha tha ki yeeshu uske saamne koi chamatkar dikhayega.  isliye herodes usse bahot der tak saval karta raha, magar yeeshu ne koi javab nahin diya.+ 10  lekin pradhan yaajak aur shaastri taish mein aa gaye aur khade ho-hokar us par ilzam lagane lage. 11  tab herodes ne apne sainikon ke saath milkar uski beizzati ki+ aur use ek shaandar kapda pehankar uski khilli udayi+ aur use vaapas peelatus ke paas bhej diya. 12  usi din herodes aur peelatus ke beech dosti ho gayi, jabki ab tak unmein dushmani thi. 13  fir peelatus ne pradhan yaajkon, adhikariyon aur logon ko ikattha kiya 14  aur unse kaha, “tum is aadmi ko mere paas yah kehkar laaye ki yah logon ko bagavat karne ke liye bhadka raha hai. dekho! mainne tumhare saamne isse saval-javab kiye, magar tum is par jo ilzam laga rahe ho uska mujhe koi saboot nahin mila.+ 15  yahaan tak ki herodes ko bhi koi saboot nahin mila, isliye usne ise vaapas hamare paas bhej diya hai. isne aisa koi kaam nahin kiya ki ise maut ki saza di jaaye. 16  isliye main ise kode lagvakar*+ chhod deta hoon.” 17 * 18  magar saari bheed chilla uthi, “is aadmi ko maar daal* aur hamare liye barabba ko riha kar de!”+ 19  (barabba ko shehar mein bagavat aur katla karne ki vajah se jail mein daala gaya tha.) 20  ek baar fir peelatus ne bheed se baat ki kyonki woh yeeshu ko riha karna chahta tha.+ 21  tab woh cheekh-cheekhkar kehne lage, “ise kaath par latka de! kaath par latka de!”+ 22  usne teesri baar unse kaha, “kyon, is aadmi ne aisa kya bura kiya hai? isne aisa koi kaam nahin kiya ki ise maut ki saza di jaaye. isliye main ise kode lagvakar* chhod deta hoon.” 23  magar woh apni baat par ade rahe aur zor-zor se chillakar kehne lage ki use maar daala jaaye.* unka chillana badhta hi gaya.+ 24  isliye peelatus ne yah faisla sunaya ki unki maang poori ki jaaye. 25  usne us aadmi ko to riha kar diya, jo bagavat aur katla ke ilzam mein jail mein tha aur jiski log maang kar rahe the, jabki usne yeeshu ko unke havale kar diya taaki woh uske saath jo chahe karein. 26  jab woh use le jaa rahe the, to unhonne shamaun naam ke ek aadmi ko pakda jo kurene ka rehnevala tha aur dehat se aa raha tha. unhonne yaatna ka kaath* us par rakh diya ki woh use uthakar yeeshu ke peechhe-peechhe chale.+ 27  uske peechhe logon ki badi bheed chal rahi thi jismein aurtein bhi thi, jo dukh ke maare chhaati peet rahi thi aur uske liye bilakh-bilakhkar ro rahi thi. 28  yeeshu ne palatkar un aurton ko dekha aur kaha, “yarooshalem ki betiyon, mere liye mat roo. iske bajay, apne aur apne bachchon ke liye roo.+ 29  kyonki dekho! woh din aa rahe hain jab log kaheinge, ‘sukhi hain woh aurtein jo baanjh hain aur jinhonne kisi bachche ko janm nahin diya aur kisi ko doodh nahin pilaya!’+ 30  tab woh pahadon se kehne lageinge, ‘hum par gir pado!’ aur pahadiyon se kaheinge, ‘hamein dhak lo!’+ 31  jab ped hara hai tab woh aisa kar rahe hain, to us vakt kya kareinge jab yah sookh jaayega?” 32  uske saath do aur aadmiyon ko, jo apradhi the maar daalne ke liye le jaaya jaa raha tha.+ 33  jab woh khopdi kehlanevali jagah par pahunche,+ to vahaan unhonne yeeshu ko do apradhiyon ke saath kaath par thonk diya. ek apradhi uske daayin taraf tha aur doosra baayin taraf.+ 34  magar yeeshu kah raha tha, “pita, inhein maaf kar de kyonki ye nahin jaante ki ye kya kar rahe hain.” unhonne uske kapde aapas mein baantne ke liye chitthiyaan daalin.+ 35  aur log vahaan khade dekh rahe the. magar unke dharm-adhikari* yah kehkar uski khilli udate rahe, “isne doosron ko to bachaya. aur agar yah parmeshvar ka bheja hua maseeh aur uska chuna hua hai, to ab khud ko bachaye.”+ 36  yahaan tak ki sainikon ne bhi uski khilli udayi aur use khatti daakh-madira dete huye+ kaha, 37  “agar tu yahoodiyon ka raja hai, to khud ko bacha le.” 38  aur uske oopar yah likhkar laga diya gaya, “yah yahoodiyon ka raja hai.”+ 39  tab uske saath latkaye gaye ek apradhi ne use taana maara,+ “tu to maseeh hai na? to fir khud ko bacha aur hamein bhi.” 40  tab doosre apradhi ne use daanta, “kya tujhe parmeshvar ka zara bhi dar nahin, jabki tu bhi vahi saza paa raha hai? 41  hamein jo saza mili woh sahi hai, kyonki hamne jo kaam kiye hain unhin ka anjam bhugat rahe hain. magar is aadmi ne to kuch bura nahin kiya.” 42  fir usne kaha, “yeeshu, jab tu apne raaj mein+ aaye to mujhe yaad karna.” 43  tab yeeshu ne usse kaha, “main aaj tujhse sach kehta hoon, tu mere saath firdaus* mein hoga.”+ 44  yah din ka kareeb chhatha ghanta* tha, fir bhi poore desh mein andhkar chhaa gaya aur nauvein ghante* tak chhaaya raha+ 45  kyonki sooraj ne raushni dena band kar diya. tab mandir ka parda+ beech se fatkaar do tukde ho gaya.+ 46  yeeshu zor se chillaya aur usne kaha, “pita, main apni jaan tere havale karta hoon.”+ yah kehne ke baad usne dam tod diya.*+ 47  jo kuch hua tha use dekhkar sena-afsar ne parmeshvar ki badai ki aur kaha, “yah vaakai ek nek insan tha.”+ 48  vahaan jama bheed ne jab yah sab dekha, to woh chhaati peette huye ghar laut gaye. 49  itna hi nahin, uski jaan-pehchanvale sab log kuch doori par khade the. aur jo aurtein galeel se uske saath-saath aayi thi, woh bhi khadi hokar yah sab dekh rahi thi.+ 50  vahaan yoosuf naam ka ek aadmi tha, jo dharm-sabha* ka sadasya aur ek achha aur nek insan tha.+ 51  (usne dharm-adhikariyon ki saazish aur unke kaam mein unka saath nahin diya tha.) woh yahoodiya ke logon ke ek shehar arimatiyah ka rehnevala tha aur parmeshvar ke raaj ke aane ka intazar kar raha tha. 52  woh peelatus ke saamne gaya aur usne yeeshu ki laash maangi. 53  usne uski laash neeche utaari+ aur use badhiya malmal mein lapetkar chattan mein khodi gayi kabraa* mein rakha,+ jismein ab tak koi laash nahin rakhi gayi thi. 54  yah taiyari ka din tha+ aur sabt+ shuroo honevala tha. 55  magar jo aurtein yeeshu ke saath galeel se aayi thi, woh bhi peechhe-peechhe gayin aur unhonne kabraa* ko achhi tarah dekha aur yah bhi dekha ki uski laash kaise rakhi gayi thi.+ 56  fir woh laut gayin taaki masale aur khushboodar tel taiyar karein. magar haan, jaisi aagya thi, unhonne sabt ke din aaram kiya.+

kai footnote

yoonani mein “kaisar.”
shaa., “saza dekar.”
ati. k3 dekhein.
shaa., “ko le jaa.”
shaa., “saza dekar.”
ya “kaath par maar daala jaaye.”
shabdavli dekhein.
shaa., “shaasak.”
shabdavli dekhein.
yaani dopahar kareeb 12 baje.
yaani dopahar kareeb 3 baje.
ya “aakhiri saans li.”
ya “mahasabha.”
ya “smarak kabraa.”
ya “smarak kabraa.”