malaki 1:1-14
1 parmeshvar ki taraf se ek bhaari sandesh:
malaki* ne yahova ka yah sandesh israel ko sunaya,
2 yahova kehta hai, “mainne tumse pyar kiya hai.”+
lekin tum poochhte ho, “toone kis tarah hamse pyar kiya hai?”
yahova kehta hai, “kya esav, yakub ka bhaai nahin tha?+ lekin mainne yakub se pyar kiya
3 aur esav se nafrat ki.+ mainne uske pahadon ko ujaad diya+ aur uski jaageer ko veerane ke geedadon ka adda bana diya.”+
4 “edom* kehta hai, ‘hum barbad ho chuke hain! magar hum lauteinge aur apne khandharon ko dobara banayenge.’ lekin senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘woh banayenge, par main unhein gira doonga. aur edom ke baare mein kaha jaayega ki yah “dushton ka desh” hai aur “in logon ko yahova ne hamesha ke liye doshi thehraya hai.”+
5 tum khud apni aankhon se yah dekhoge aur kahoge, “poore israel mein yahova ki mahima ho.”’”
6 “‘ek beta apne pita ka aadar karta hai+ aur ek daas apne maalik ka. agar tum mujhe apna pita kehte ho,+ to mera aadar kyon nahin karte?+ agar tum mujhe apna maalik kehte ho, to mera dar* kyon nahin maante?’ yah baat senaon ka parmeshvar yahova tum yaajkon se kehta hai, jo mere naam ka apman karte ho.+
‘magar tum poochhte ho, “hamne kaise tere naam ka apman kiya?”’
7 ‘meri vedi par dooshit khaana* chadhakar.’
tum poochhte ho, ‘hamne kis tarah tujhe dooshit kiya?’
‘yah kehkar ki yahova ki mez+ tuchh hai.
8 tum bali ke liye andha jaanvar pesh karte ho aur kehte ho, “ismein koi burai nahin.” tum langda ya beemar jaanvar pesh karte ho aur kehte ho, “ismein koi burai nahin.”’”+
senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “zara yahi jaanvar apne raajyapal ko pesh karke dekho. kya woh tumse khush hoga? kya woh tum par kripa karega?”
9 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “ab parmeshvar se binti karo ki woh hum par kripa kare. tumhein kya lagta hai, tumne apne haathon se jo balidan chadhaye hain, kya unke liye woh tum par kripa karega?”
10 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “darvaze* band karna+ to door, tummein se koi bina paise liye meri vedi par aag tak nahin jalata.+ main tumse zara bhi khush nahin. aur na hi tumhare haath se bheint ka chadhava kabool karne mein mujhe khushi milti hai.”+
11 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “poorab se pashchim tak sab raashtron mein mera naam mahan hoga.+ jagah-jagah balidan chadhaye jaayenge ki unse dhuaan uthe aur mere naam se shuddh bheint arpit ki jaayegi kyonki sab raashtron mein mera naam mahan hoga.”+
12 “magar tum log yah kehkar meri mez ka* apman karte ho,+ ‘yahova ki mez ashuddh hai. us par chadhayi gayi bheint, haan, chadhaya gaya khaana ghinauna hai.’+
13 tum naak-bhaun sikodkar yah bhi kehte ho, ‘uf! yah kaisi museebat hai!’” yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai. yahova yah bhi kehta hai, “tum chori ke jaanvar, langde aur beemar jaanvar laate ho. aur laakaar mujhe bheint mein chadhate ho. tumhein kya lagta hai, main tumhare haath se inhein kabool karoonga?”+
14 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “main maharajadhiraj hoon+ aur mera naam sabhi raashtron mein aadar se liya jaayega.+ isliye shaapit hai woh dhoort insan jiske jhund mein achha nar jaanvar to hai, fir bhi woh mannat maankar yahova ko aisa jaanvar chadhata hai jismein dosh hai.”
kai footnote
^ matlab “mera doot.”
^ ya “aadar.”
^ shaa., “roti.”
^ zahir hai, mandir ke darvaze jinhein band karna unka kaam tha.
^ ya shaayad, “mera.”