malaki 2:1-17
2 “ab hey yaajko, main tumhein ek aagya deta hoon.+
2 agar tum ise nahin maanoge aur mere naam ki mahima karne mein man nahin lagaoge, to main tumhein shaap doonga+ aur tumhari aasheeshon ko shaap mein badal doonga.+ sach poochho to, main tumhari aasheeshon ko shaap mein badal chuka hoon kyonki tum meri aagya par man nahin lagate.” yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.
3 “dekho, tumhari vajah se main tumhare boye huye beejon ko nasht kar doonga.*+ main tumhare chehre par gobar feinkoonga, haan, tumhare tyoharon mein bali kiye gaye jaanvaron ka gobar. aur tumhein uthakar vahaan* patak diya jaayega.
4 tab tum jaan loge ki mainne tumhein yah aagya isliye di hai taaki levi ke saath mera karar bana rahe.”+ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.
5 “mainne uske saath jo karar kiya, uski vajah se use jeevan aur shaanti mili. mainne use ye aasheeshein isliye di ki woh mera dar* maane. aur usne mera dar maana aur mere naam ka aadar kiya.
6 uske munh par sachchai ki baatein* rehti thi+ aur uske honthon se koi buri baat nahin nikaalti thi. woh mere saath shaanti aur seedhai se chala+ aur kai logon ko buri raah se vaapas le aaya.
7 yaajak ko gyaan ki baatein sikhani chahiye aur logon ko usi se kaanoon ki baatein seekhni chahiye+ kyonki woh senaon ke parmeshvar yahova ka doot hai.
8 lekin hey yaajko, tum sahi raah se bhatak gaye. tumhari vajah se kai log kaanoon maanne se chook gaye.*+ tumne levi ka karar tod diya.”+ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.
9 “ab main sab logon ke saamne tumhein tuchh thehraunga, neecha dikhaunga kyonki tum meri raah par nahin chale aur tumne kaanoon ke mutabik sahi-sahi nyay nahin kiya.”+
10 “kya hum sabka ek hi pita nahin?+ kya ek hi parmeshvar ne hamari srishti nahin ki? to fir hum ek-doosre ke saath vishvasghat kyon kar rahe hain,+ apne purkhon ka karar kyon tod rahe hain?
11 yahooda ne vishvasghat kiya hai aur israel aur yarooshalem mein ek ghinauna kaam hua hai. haan, yahooda ne paraye devtaon ko poojnevali aurat* se shaadi kar li.+ usne yahova ki pavitrata* ko, jo parmeshvar ko pyari hai bhang kar diya.+
12 aise kaam karnevalon ko yahova, yakub ke dere se naash kar dega fir chahe woh koi bhi ho, chahe woh senaon ke parmeshvar yahova ko chadhave kyon na chadhata ho.”+
13 “tumne ek aur kaam kiya hai jisse yahova ki vedi aahein bharnevalon aur ronevalon ke aansuon se bheeg gayi hai. isliye ab woh tumhare chadhave par koi dhyan nahin deta, na tumhari di kisi cheez se khush hota hai.+
14 tum kehte ho, ‘hamne aisa kya kiya hai?’ tumne apni javani ki patni ke saath vishvasghat kiya hai aur yahova is baat ka gavah hai. tumne apni sangini, apni patni ke saath vishvasghat kiya hai jiske saath tumne karar kiya tha.*+
15 lekin kuch logon ne aisa nahin kiya kyonki unmein ab bhi pavitra shakti kaam kar rahi hai. woh aisa vansh* chahte hain jo sachmuch parmeshvar ke log hon. isliye tum bhi apne man ko tatolo aur sahi rujhan paida karo. thaan lo ki tum apni javani ki patni ke saath vishvasghat nahin karoge.
16 kyonki mujhe* talak se nafrat hai.”+ yah baat israel ke parmeshvar yahova ne kahi hai. “aur jo hinsa karta hai* usse bhi mujhe nafrat hai.” yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai. “isliye apne man ko tatolo aur sahi rujhan paida karo. thaan lo ki tum vishvasghat nahin karoge.+
17 tumne apni baaton se yahova ko thaka diya hai.+ magar tum poochhte ho, ‘hamne use kaise thaka diya?’ yah kehkar ki ‘bure kaam karnevale, yahova ki nazar mein achhe hain aur woh unse khush hota hai.’+ aur yah kehkar ki ‘kahaan gaya nyay ka parmeshvar?’”
kai footnote
^ shaa., “fatkaaroonga.”
^ yaani woh jagah jahaan bali ke jaanvaron ka gobar feinka jaata tha.
^ ya “aadar; shraddha.”
^ shaa., “ka kaanoon.”
^ ya shaayad, “tumhari shikshaon ki vajah se kai logon se chook hui.”
^ shaa., “paraye devta ki beti.”
^ ya shaayad, “pavitra-sthan.”
^ ya “jo kaanooni taur par tumhari patni hai.”
^ shaa., “beej.”
^ shaa., “use.”
^ shaa., “jo hinsa ko kapde ki tarah pehanta hai.”