malaki 3:1-18
3 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “dekho, main apna doot bhej raha hoon aur woh mere aage-aage jaakaar raasta taiyar karega.+ fir sachcha prabhu jise tum dhoondh rahe ho, achanak apne mandir mein aayega.+ karar ka woh doot bhi aayega jiski tum khushi-khushi aas lagaye ho. dekho, woh zaroor aayega.”
2 “lekin jis din woh aayega, kaun uska saamna kar sakega? jab woh prakat hoga, tab kaun uske saamne khada reh sakega? woh shuddh karnevale ki aag ke samaan aur dhobi ki sajji*+ ke samaan hoga.
3 jaise shuddh karnevala chaandi galata hai aur usmein se mail door karke use shuddh karta hai,+ vaise hi woh levi ke beton ko shuddh karne ke liye baithega. woh unhein sone-chaandi ke samaan shuddh karega aur woh yahova ke liye aise log ban jaayenge jo sachchai se apni bheint chadhayenge.
4 tab yahooda aur yarooshalem ka bheint ka chadhava yahova ko bhaayega, jaise bahot samay pehale bhaata tha.+
5 main nyay karne tumhare paas aaunga aur tona-totka karnevalon, vyabhichar karnevalon, jhoothi shapath khaanevalon, mazdooron ki mazdoori maarnevalon, vidhvaon aur anathon* ko satanevalon aur pardesiyon ki madad karne se inkar karnevalon* ke khilaf furti se saza sunaunga.+ kyonki unmein mera zara bhi dar nahin.” yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.
6 “main yahova hoon, main badalta nahin.*+ aur tum yakub ke bete ho, isliye tumhara vajood ab tak nahin mita.
7 tumhare purkhon ke dinon se tum mere kaayde-kaanoon todte aaye ho aur unhein nahin maante.+ mere paas laut aao, tab main tumhare paas laut aaunga.”+ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.
lekin tum poochhte ho, “hum kaise lautein?”
8 “kya adna insan parmeshvar ko loot sakta hai? lekin tum mujhe lootte ho.”
tum poochhte ho, “hamne tujhe kaise loota?”
“dasvaan hissa aur daan mein cheezen na dekar.
9 sachmuch, tum shaapit ho* kyonki tum mujhe loot rahe ho. tum hi nahin poora raashtra mujhe loot raha hai.
10 ab saara dasvaan hissa bhandar mein le aao+ taaki mere ghar mein bhojan rahe.+ zara mujhe parkho aur fir dekho main kis tarah tumhare liye aakash ke jharokhe khol doonga+ aur tum par aasheeshon ki bauchhar karoonga, itni ki tumhein koi kami nahin hogi.”+ yah baat senaon ke parmeshvar yahova ne kahi hai.
11 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “main tumhari khaatir naash karnevale* ko fatkaaroonga aur woh tumhare desh ki upaj nahin ujaadega, na hi tumhare angooron ke baag raundega.”+
12 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “sab raashtra tumhein sukhi kaheinge+ kyonki tumhara desh khushi ka kaaran ban jaayega.”
13 yahova kehta hai, “tumne mere khilaf bahot buri baat kahi hai.”
tum poochhte ho, “hamne tere khilaf kya kaha?”+
14 “tumne kaha, ‘parmeshvar ki seva karne ka koi faayda nahin.+ apna farz nibhakar hamein kya mila? senaon ke parmeshvar yahova ke saamne apne paapon ka afsos karke hamein kya faayda hua?
15 hamein to lagta hai jo gustakhi karte hain, vahi sukhi hain. jo dushtata karte hain, vahi kaamyab hote hain.+ woh parmeshvar ki pareeksha lene ki jurrat karte hain, par unhein kuch nahin hota.’”
16 tab yahova ka dar maannevale ek-doosre se, haan, har koi apne saathi se baat karne laga aur yahova dhyan se unki sunta raha. aur jo yahova ka dar maante hain aur uske naam ke baare mein manan karte hain,*+ unhein yaad rakhne ke liye parmeshvar ke saamne ek kitab likhi jaane lagi.+
17 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “us din main unhein apni khaas jaageer* banaunga+ aur woh mere ho jaayenge.+ main un par daya karoonga, theek jaise ek pita aagya maannevale apne bete par daya karta hai.+
18 tab tum ek baar fir yah fark dekh paaoge ki kaun nek hai aur kaun dusht,+ kaun parmeshvar ki seva karta hai aur kaun nahin.”
kai footnote
^ ek tarah ka saabun.
^ ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”
^ ya “ke hak nahin denevalon.”
^ ya “main nahin badla.”
^ ya shaayad, “tum mujhe shaap de rahe ho.”
^ zahir hai ki yahaan keedon ke kehar ki baat ki gayi hai.
^ ya “sochte hain.” ya shaayad, “ko anmol samajhte hain.”
^ ya “anmol jaaydad.”