malaki 4:1-6

  • yahova ka din aane se pehale eliyah aayega (1-6)

    • “neki ka sooraj chamkega” (2)

4  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “dekho, woh din aa raha hai jo dhadhakte bhatthe jaisa hoga.+ us din saare gustakh log aur dusht kaam karnevale ghaas-foos ban jaayenge. aanevala woh din unhein bhasm kar dega, na jad bachegi na daal.  lekin tum jo mere naam ka aadar karte* ho, tum par neki ka sooraj chamkega aur uski kirnon se tum change hoge. tum mote-taaze bachhdon ki tarah koodoge-faandoge.”  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “jis din main kadam uthaunga us din, dusht tumhare pairon ki dhool ban jaayenge aur tum unhein raundoge.”  “mainne apne sevak moosa ko jo kaanoon diya tha use yaad rakhna. haan, un niyamon aur faislon ko yaad rakhna jo mainne horeb mein israel ke liye diye the.+  dekho, yahova ke us mahan aur bhayanak din ke aane se pehale+ main tumhare paas bhavishyavakta eliyah ko bhej raha hoon.+  woh pitaon ka dil palatkar beton jaisa kar dega+ aur beton ka dil palatkar pitaon jaisa kar dega taaki mujhe aakaar prithvi ko tabah na karna pade, ise naash na karna pade.”

kai footnote

shaa., “dar maante.”