markus ke mutabik khushkhabri 11:1-33

  • yeeshu raja ki haisiyat se daakhil hota hai (1-11)

  • anjeer ke ped ko shaap diya gaya (12-14)

  • yeeshu mandir ko shuddh karta hai (15-18)

  • sookhe anjeer ke ped se sabak (19-26)

  • yeeshu ke adhikar par saval uthaya gaya (27-33)

11  ab woh yarooshalem ke paas, jaitoon pahad par baitfage aur baitniyah+ gaanv pahunchnevale the. vahaan usne apne do chelon ko yah kehkar bheja,+  “jo gaanv tumhein nazar aa raha hai usmein jaao. jaise hi tum vahaan jaaoge, tumhein ek gadhi ka bachcha bandha hua milega, jis par aaj tak koi aadmi nahin baitha. use kholkar le aao.  agar koi tumse kahe, ‘yah kya kar rahe ho?’ to kehna, ‘prabhu ko iski zaroorat hai aur woh ise jald vaapas bhej dega.’”  tab woh chale gaye aur unhonne gali ke nukkad par ek darvaze ke paas gadhi ke bachche ko bandha hua paaya aur use khol liya.+  magar vahaan khade kuch logon ne unse poochha, “tum gadhi ke bachche ko kyon khol rahe ho?”  chelon ne unse vahi kaha jo yeeshu ne bataya tha. tab unhonne chelon ko jaane diya.  woh gadhi ke bachche+ ko yeeshu ke paas le aaye. unhonne apne odhne us par daale aur woh us par baith gaya.+  kai aur logon ne apne kapde raaste mein bichhaye, jabki doosron ne raaste ke kinare se pedon ki daaliyaan kaatkar bichha di.+  jo log aage-aage chal rahe the aur jo peechhe-peechhe aa rahe the, woh pukar rahe the, “hum binti karte hain, ise bacha le!+ dhanya hai woh jo yahova* ke naam se aata hai!+ 10  hamare purkhe daavid ka aanevala raaj dhanya ho!+ swarg mein rehnevale, hum binti karte hain, ise bacha le!” 11  fir woh yarooshalem pahuncha aur mandir mein gaya. vahaan usne aas-paas ki sab cheezon par nazar daali. magar kaafi vakt ho chuka tha, isliye woh un baarahon ke saath baitniyah chala gaya.+ 12  agle din jab woh baitniyah se nikaal rahe the, to use bhookh lagi.+ 13  door se uski nazar ek hare-bhare anjeer ke ped par padi. woh yah dekhne ke liye uske paas gaya ki shaayad usmein kuch fal mil jaayen. magar nazdeek pahunchne par use pattiyon ko chhod kuch nahin mila kyonki woh anjeeron ka mausam nahin tha. 14  isliye usne ped se kaha, “ab se fir kabhi koi tera fal na khaa sake.”+ uske chele yah sun rahe the. 15  ab woh yarooshalem aaye. woh mandir mein gaya aur jo log mandir ke andar bikri aur khareedari kar rahe the, unhein vahaan se khadedne laga. usne paisa badalnevale saudagaron ki mezen aur kabootar bechnevalon ki chaukiyaan ulat di.+ 16  usne kisi ko bhi bartan lekar mandir mein se nahin jaane diya. 17  usne logon ko sikhaya aur unse kaha, “kya yah nahin likha hai, ‘mera ghar sab raashtron ke liye prarthna ka ghar kehlayega’?+ magar tum logon ne ise luteron ka adda* bana diya hai.”+ 18  jab pradhan yaajkon aur shaastriyon ne yah suna, to woh use maar daalne ki tarkeeb sochne lage+ kyonki woh usse darte the aur saari bheed uski shiksha se dang reh jaati thi.+ 19  jab shaam ho gayi, to woh shehar se baahar nikaal gaye. 20  agle din jab woh tadke subah udhaar se jaa rahe the, to unhonne dekha ki anjeer ka woh ped jad tak sookh gaya hai.+ 21  patras ne kal ki baat yaad karke kaha, “guru, dekh! woh anjeer ka ped jise toone shaap diya tha, sookh gaya hai.”+ 22  tab yeeshu ne unse kaha, “parmeshvar par vishvas rakho. 23  main tumse sach kehta hoon ki jo koi is pahad se kahe, ‘yahaan se ukhaadkar samundar mein jaa gir,’ aur apne dil mein shak na kare magar vishvas rakhe ki usne jo kaha hai woh zaroor hoga, to uske liye woh ho jaayega.+ 24  iseeliye main tumse kehta hoon, jo kuch tum prarthna mein maangte ho uske baare mein vishvas rakho ki woh tumhein zaroor milega aur woh tumhein mil jaayega.+ 25  jab tum prarthna karne khade ho aur tumhare dil mein kisi ke khilaf kuch hai, to use maaf kar do. tab tumhara pita jo swarg mein hai, woh bhi tumhare apradh maaf karega.”+ 26 * 27  woh ek baar fir yarooshalem aaye. jab woh mandir mein tahal raha tha to pradhan yaajak, shaastri aur mukhiya uske paas aaye 28  aur usse kehne lage, “tu ye sab kis adhikar se karta hai? kisne tujhe yah adhikar diya hai?”+ 29  yeeshu ne unse kaha, “main bhi tumse ek saval poochhta hoon. tum uska javab do, tab main tumhein bataunga ki main ye sab kis adhikar se karta hoon. 30  jo baptisma yuhanna ne diya,+ woh swarg ki taraf se tha ya insanon ki taraf se? javab do.”+ 31  woh ek-doosre se kehne lage, “agar hum kahein, ‘swarg ki taraf se,’ to woh kahega, ‘fir kyon tumne uska yakeen nahin kiya?’ 32  par hum yah kehne ki bhi jurrat kaise karein ki insanon ki taraf se tha?” unhein bheed ka dar tha kyonki sab log maante the ki yuhanna vaakai ek bhavishyavaktaa tha.+ 33  isliye unhonne yeeshu ko javab diya, “hum nahin jaante.” tab yeeshu ne unse kaha, “to main bhi tumhein nahin bataunga ki main kis adhikar se yah sab karta hoon.”

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
shaa., “ki gufa.”
ati. ka3 dekhein.