markus ke mutabik khushkhabri 14:1-72

  • yaajak, yeeshu ko maar daalne ki saazish karte hain (1, 2)

  • yeeshu par khushboodar tel undela gaya (3-9)

  • yahooda, yeeshu ko dhokha deta hai (10, 11)

  • aakhiri fasah (12-21)

  • prabhu ke sandhya-bhoj ki shurooat (22-26)

  • bhavishyavani ki patras inkar kar dega (27-31)

  • yeeshu gatsamaani mein prarthna karta hai (32-42)

  • yeeshu ki giraftari (43-52)

  • mahasabha ke saamne mukadma (53-65)

  • patras, yeeshu ko jaanne se inkar kar deta hai (66-72)

14  do din baad fasah+ aur bin-khameer ki roti ka tyohar tha.+ aur pradhan yaajak aur shaastri mauka dhoondh rahe the ki kaise yeeshu ko chhal se pakdein* aur maar daalein.+  par woh kah rahe the, “tyohar ke vakt nahin, kahin aisa na ho ki log hangama macha dein.”  jab woh baitniyah mein shamaun ke ghar khaana khaane baitha hua tha* jo pehale kodhi tha, tab ek aurat khushboodar tel ki botal* lekar aayi. usmein asli jatamaansi ka khushboodar tel tha, jo bahot keemti tha. us aurat ne botal todkar kholi aur woh yeeshu ke sir par tel undelne lagi.+  yah dekhkar kuch log bhadak uthe aur aapas mein kehne lage, “yah khushboodar tel kyon barbad kar diya gaya?  ise 300 deenar* se bhi zyada daam mein bechkar paisa gareebon ko diya jaa sakta tha!” woh us aurat par bahot naaraz huye.*  magar yeeshu ne kaha, “tum kyon ise pareshan kar rahe ho? chhod do ise. isne meri khaatir ek badhiya kaam kiya hai.+  gareeb to hamesha tumhare saath honge+ aur tum jab chaho unke saath bhalai kar sakte ho, magar main hamesha tumhare saath nahin rahoonga.+  woh jo kar sakti thi usne kiya. usne mere shareer par khushboodar tel malkar mere dafnaye jaane ki taiyari ki hai.+  main tumse sach kehta hoon, saari duniya mein jahaan kahin khushkhabri ka prachar kiya jaayega,+ vahaan is aurat ki yaad mein iske kaam ki charcha ki jaayegi.”+ 10  yahooda iskariyoti jo baarahon mein se ek tha, nikaalkar pradhan yaajkon ke paas gaya taaki yeeshu ko unke haathon pakadva de.+ 11  jab unhonne uski baat suni to woh bahot khush huye aur use chaandi ke sikke dene ka vaada kiya.+ tab se yahooda yeeshu ko pakadvane ka mauka dhoondhne laga. 12  bin-khameer ki roti ke tyohar ke pehale din,+ jab yahoodi apne dastoor ke mutabik fasah ka jaanvar bali karte the,+ uske chelon ne usse poochha, “tu kahaan chahta hai ki hum jaakaar tere liye fasah ka khaana khaane ki taiyari karein?”+ 13  tab usne apne do chelon ko yah kehkar bheja, “shehar mein jaao aur tumhein ek aadmi paani ka ghada uthaye huye milega. uske peechhe-peechhe jaana.+ 14  woh jis ghar mein jaaye us ghar ke maalik se kehna, ‘guru ne poochha hai, “mehmanon ka woh kamra kahaan hai jahaan main apne chelon ke saath fasah ka khaana khaaun?”’ 15  fir woh tumhein oopar ka ek bada kamra dikhayega jo saja hua hoga. vahaan hamare liye taiyari karna.” 16  tab woh chele nikle aur shehar ke andar gaye aur jaisa usne bataya tha theek vaisa hi paaya. aur unhonne fasah ki taiyari ki. 17  shaam hone par woh baarahon ke saath aaya.+ 18  aur jab woh khaana khaa rahe the,* tab yeeshu ne kaha, “main tumse sach kehta hoon, tummein se ek jo mere saath khaa raha hai, mere saath vishvasghat karke mujhe pakadva dega.”+ 19  woh dukhi hone lage aur ek-ek karke usse kehne lage, “woh main to nahin hoon na?” 20  usne kaha, “woh tum baarahon mein se ek hai jo mere saath katore mein nivala dubokar khaa raha hai.+ 21  insan ka beta to jaa hi raha hai, theek jaisa uske baare mein likha hai, magar us aadmi ka bahot bura hoga jo insan ke bete ke saath vishvasghat karke use pakadva dega!+ us aadmi ke liye achha to yah hota ki woh paida hi na hua hota.”+ 22  jab woh khaana khaa rahe the, to yeeshu ne ek roti li aur prarthna mein dhanyavad dekar use toda aur unhein dekar kaha, “yah lo, yah mere shareer ki nishani hai.”+ 23  fir usne ek pyala liya aur prarthna mein dhanyavad dekar unhein diya aur un sabne usmein se peeya.+ 24  fir yeeshu ne unse kaha, “yah mere khoon ki nishani hai,+ jo karar+ ko pakka karta hai aur jo bahoton ki khaatir bahaya jaayega.+ 25  main tumse sach kehta hoon, main daakh-madira* us din tak hargiz nahin peeunga, jis din main parmeshvar ke raaj mein nayi daakh-madira na peeun.” 26  aakhir mein unhonne parmeshvar ki taareef mein geet* gaaye aur fir jaitoon pahad ki taraf nikaal gaye.+ 27  yeeshu ne unse kaha, “tum sabka vishvas dagmaga jaayega* kyonki likha hai, ‘main charvahe ko maaroonga+ aur bhedein titar-bitar ho jaayengi.’+ 28  lekin jab mujhe zinda kar diya jaayega, to main tumse pehale galeel jaaunga.”+ 29  magar patras ne usse kaha, “chahe in sabka vishvas kyon na dagmaga jaaye, magar mera vishvas nahin dagmagayega.”+ 30  tab yeeshu ne usse kaha, “main tujhse sach kehta hoon, aaj hi, haan, isi raat murge ke do baar baang dene se pehale tu teen baar mujhe jaanne se inkar kar dega.”+ 31  magar patras baar-baar kehne laga, “agar mujhe tere saath marna pade, tab bhi main tujhe jaanne se hargiz inkar nahin karoonga.” baaki chele bhi yahi kehne lage.+ 32  fir woh gatsamaani naam ki jagah aaye aur usne apne chelon se kaha, “main vahaan prarthna karne jaa raha hoon, tum yahin baithe rehna.”+ 33  fir usne patras, yakub aur yuhanna ko apne saath liya.+ woh man-hi-man bechain ho utha* aur dukh se behal hone laga. 34  usne unse kaha, “mera man bahot dukhi hai,+ yahaan tak ki meri marne jaisi haalaat ho rahi hai. yahin thahro aur jaagte raho.”+ 35  fir woh thoda aage gaya aur zameen par girkar prarthna karne laga ki agar ho sake to yah vakt tal jaaye. 36  usne kaha, “hey abba, hey pita,+ tere liye sabkuch mumkin hai. yah pyala mere saamne se hata de. magar fir bhi jo main chahta hoon woh nahin, balki vahi ho jo tu chahta hai.”+ 37  jab woh chelon ke paas vaapas aaya, to usne dekha ki woh so rahe hain. usne patras se kaha, “shamaun, tu so raha hai? kya tujhmein itni bhi taakat nahin ki thodi der mere saath jaag sake?+ 38  jaagte raho aur prarthna karte raho taaki tum pareeksha mein na pado.+ dil to beshak taiyar* hai, magar shareer kamzor hai.”+ 39  woh dobara gaya aur usne fir se vahi prarthna ki.+ 40  woh fir chelon ke paas aaya aur usne unhein sota hua paaya kyonki unki aankhein nind se bhari thi. woh nahin jaante the ki use kya javab dein. 41  fir woh teesri baar unke paas aaya aur usne kaha, “tum aise vakt mein so rahe ho aur aaram kar rahe ho! bahot hua! dekho, woh ghadi aa gayi hai!+ ab insan ke bete ke saath vishvasghat karke use paapiyon ke haath saunp diya jaayega. 42  utho, aao chalein. dekho, mujhse gaddari karnevala paas aa gaya hai.”+ 43  woh bol hi raha tha ki tabhi yahooda aa gaya, jo un baarahon mein se ek tha. uske saath talvarein aur laathiyaan liye huye logon ki bheed thi jise pradhan yaajkon, shaastriyon aur mukhiyaon ne bheja tha.+ 44  uske saath vishvasghat karnevale ne yah kehkar unhein pehale se ek nishani di thi, “jise main choomoonga, vahi hai. use giraftar kar lena aur saavdhani se le jaana.” 45  woh seedhe yeeshu ki taraf aaya aur paas aakaar usne kaha, “rabbi!” aur use pyar se chooma. 46  tab unhonne use pakad liya aur hirasat mein le liya. 47  magar vahaan jo khade the unmein se ek ne apni talvar khinchkar mahayajak ke daas par vaar kiya aur uska kaan uda diya.+ 48  yeeshu ne bheed se kaha, “kya tum talvarein aur laathiyaan lekar mujhe giraftar karne aaye ho, maano main koi lutera hoon?+ 49  main har din tumhare beech mandir mein sikhaya karta tha,+ fir bhi tumne mujhe hirasat mein nahin liya. magar yah sab isliye hua hai taaki shastra ke vachan poore hon.”+ 50  tab sab chele use chhodkar bhaag gaye.+ 51  magar ek naujavan jo sirf ek badhiya malmal ka kapda odhe tha, uske peechhe-peechhe aane laga. lekin jab bheed ne use pakadne ki koshish ki, 52  to woh apna malmal ka kapda chhodkar nanga* bhaag gaya. 53  ab woh yeeshu ko mahayajak ke paas le gaye+ aur saare pradhan yaajak, mukhiya aur shaastri vahaan ikattha huye.+ 54  magar patras kuch doori par rehkar uske peechhe-peechhe mahayajak ke aangan tak aaya. woh ghar ke sevkon ke saath baith gaya aur aag taapne laga.+ 55  pradhan yaajak aur poori mahasabha yeeshu ko maar daalne ke liye uske khilaf jhoothi gavahi dhoondh rahi thi, magar unhein aisi ek bhi gavahi nahin mili.+ 56  beshak, bahot-se log uske khilaf jhoothi gavahi de rahe the,+ magar unke bayan ek-doosre se mel nahin khaa rahe the. 57  kuch logon ne khade hokar uske khilaf yah jhoothi gavahi di, 58  “hamne ise yah kehte suna hai ki main haath ke banaye is mandir ko dhaa doonga aur teen din ke andar doosra mandir khada kar doonga jo haathon se nahin bana hoga.”+ 59  magar is baare mein bhi unke bayan ek-doosre se mel nahin khaa rahe the. 60  tab mahayajak unke beech khada hua aur usne yeeshu se poochha, “kya tu javab mein kuch nahin kahega? kya tu sun nahin raha ki ye tujh par kya-kya ilzam laga rahe hain?”+ 61  magar tab bhi yeeshu chup raha aur usne koi javab nahin diya.+ ek baar fir mahayajak usse saval karne laga aur usse kaha, “kya tu param-pradhan parmeshvar ka beta, maseeh hai?” 62  yeeshu ne kaha, “haan main hoon. aur tum log insan ke bete+ ko shaktishali parmeshvar ke daayen haath baitha+ aur aakash ke baadlon ke saath aata dekhoge.”+ 63  yah sunte hi mahayajak ne apna kapda faada aur kaha, “ab hamein aur gavahon ki kya zaroorat hai?+ 64  tum logon ne ye ninda ki baatein suni hain. ab tumhara kya faisla hai?”* un sabne kaha ki yah maut ki saza ke laayak hai.+ 65  kuch us par thookne lage+ aur uska munh dhaanpkar use ghoonse maarne lage aur usse kehne lage, “bhavishyavani kar, tujhe kisne maara!” aur pehredaron ne uske munh par thappad maare aur use le gaye.+ 66  jab patras neeche aangan mein tha, to mahayajak ki ek daasi aayi.+ 67  patras ko aag taapte dekh, woh us par nazrein gadakar boli, “tu bhi us naasri yeeshu ke saath tha.” 68  magar usne yah kehkar inkar kar diya, “na to main use jaanta hoon na mujhe yah samajh aa raha hai ki tu kya kah rahi hai.” tab woh baahar faatak* ke paas chala gaya. 69  vahaan us daasi ne use dekha aur vahaan khade logon se ek baar fir kaha, “yah bhi unmein se ek hai.” 70  patras fir se inkar karne laga. thodi der baad aas-paas khade log fir se patras se kehne lage, “beshak tu bhi unmein se ek hai kyonki tu ek galeeli hai.” 71  magar woh khud ko kosne laga aur kasam khaakaar kehne laga, “main us aadmi ko nahin jaanta jiski tum baat kar rahe ho!” 72  usi ghadi ek murge ne doosri baar baang di+ aur patras ko yeeshu ki yah baat yaad aayi, “murge ke do baar baang dene se pehale, tu teen baar mujhe jaanne se inkar kar dega.”+ tab usse aur bardasht nahin hua aur woh fut-futkar rone laga.

kai footnote

ya “giraftar karein.”
ya “mez se tek lagaye baitha tha.”
yah botal silkhadee patthar ki thi jo sangmarmar jaisa hota hai.
ati. kha14 dekhein.
ya “us par bhadak uthe; use daanta.”
ya “mez se tek lagaye baithe the.”
shaa., “angoor ki bel ki upaj se bani yah cheez.”
ya “bhajan.”
shaa., “tum thokar khaaoge.”
ya “uski sadme ki si haalaat ho gayi.”
ya “utsuk.”
ya “kam kapdon mein.”
ya “tum kya sochte ho?”
ya “osare.”