markus ke mutabik khushkhabri 15:1-47

  • yeeshu, peelatus ke saamne (1-15)

  • sareaam mazak udaya gaya (16-20)

  • gulguta mein kaath par thonk diya gaya (21-32)

  • yeeshu ki maut (33-41)

  • yeeshu ko dafnaya gaya (42-47)

15  subah hote hi mukhiyaon aur shaastriyon ne pradhan yaajkon ke saath milkar yaani poori mahasabha ne aapas mein salah-mashvira kiya. unhonne yeeshu ko baandha aur peelatus ke paas le gaye aur uske havale kar diya.+  tab peelatus ne yeeshu se saval kiya, “kya tu yahoodiyon ka raja hai?”+ javab mein usne kaha, “tu khud yah kehta hai.”+  lekin pradhan yaajak us par tarah-tarah ke ilzam lagane lage.  ab peelatus ek baar fir usse saval karne laga, “kya tere paas koi javab nahin?+ dekh, ye tujh par kitne ilzam laga rahe hain.”+  magar yeeshu ne aur koi javab nahin diya, isliye peelatus ko bahot taajjub hua.+  aisa tha ki peelatus har saal tyohar ke vakt, logon ki guzarish par kisi ek kaidi ko riha kar deta tha.+  us vakt barabba naam ka ek aadmi kuch aur logon ke saath jail mein kaid tha. in sabne sarkar ke khilaf bagavat ki thi aur khoon kiya tha.  ab bheed peelatus ke paas aayi aur guzarish karne lagi ki jaisa woh unke liye karta aaya hai, vaisa hi kare.  usne logon se kaha, “kya main tumhare liye yahoodiyon ke raja ko riha kar doon?”+ 10  peelatus jaanta tha ki pradhan yaajkon ne irshya ki vajah se yeeshu ko uske havale kiya tha.+ 11  magar pradhan yaajkon ne bheed ko yah kehne ke liye bhadkaya ki woh yeeshu ke bajay barabba ko riha kare.+ 12  ek baar fir peelatus ne unse kaha, “to main is aadmi ka kya karoon jise tum yahoodiyon ka raja kehte ho?”+ 13  woh fir chilla uthe, “ise kaath par latka de!”*+ 14  magar usne kaha, “kyon, isne kya bura kiya hai?” magar woh aur bhi zor se chillane lage, “ise kaath par latka de!”*+ 15  tab peelatus ne bheed ko khush karne ke liye barabba ko riha kar diya aur yeeshu ko kode lagvane ke baad,+ kaath par latkakar maar daalne ke liye saunp diya.+ 16  fir sainik yeeshu ko raajyapal ke bhavan ke andar, aangan mein le gaye. unhonne sainikon ki poori paltan ko vahaan bula liya.+ 17  unhonne use bainjni kapda pehnaya aur kaanton ka ek taaj banakar uske sir par rakha. 18  woh zor se chillakar kehne lage, “hey yahoodiyon ke raja , salam!”*+ 19  woh narkat se use sir par maarne lage, us par thookne lage aur use jhukkar pranam* karne lage. 20  jab unhonne uska khoob mazak uda liya, to woh bainjni kapda utar diya aur usi ke kapde use pehna diye. fir woh use kaath par thonkne ke liye le gaye.+ 21  us vakt shamaun naam ka ek aadmi dehat se aa raha tha aur vahaan se guzar raha tha. woh kurene ka rehnevala tha aur sikandar aur roofus ka pita tha. sainikon ne use jabran seva ke liye pakda ki woh yeeshu ka yaatna ka kaath* uthakar le chale.+ 22  fir woh yeeshu ko gulguta naam ki jagah le aaye, jiska matlab hai, “khopdi sthan.”+ 23  yahaan unhonne use nasheeli gandhras mili daakh-madira pilane ki koshish ki,+ magar usne nahin pi. 24  unhonne use kaath par thonk diya aur uske odhne ke liye chitthiyaan daalin taaki tay kar sakein ki kise kya milega aur unhein aapas mein baant liya.+ 25  yah teesra ghanta* tha aur unhonne use kaath par thonk diya. 26  us par jo ilzam tha, use likhkar oopar laga diya gaya: “yahoodiyon ka raja .”+ 27  aur unhonne uske saath do luteron ko bhi kaath par latkaya, ek uske daayin taraf aur doosra baayin taraf.+ 28 * 29  jo log vahaan se guzar rahe the woh sir hila-hilakar uski beizzati karne lage,+ “are o mandir ko dhaanevale, use teen din ke andar bananevale!+ 30  yaatna ke kaath* se neeche utaarkar khud ko bacha le.” 31  isi tarah, pradhan yaajak bhi shaastriyon ke saath milkar yah kehte huye aapas mein uska mazak uda rahe the, “isne doosron ko to bachaya, magar khud ko nahin bacha sakta!+ 32  zara israel ka raja maseeh ab yaatna ke kaath* se neeche to utre taaki hum dekhein aur yakeen karein.”+ yahaan tak ki jo aadmi uske donon taraf kaath par the, woh bhi use bura-bhala kah rahe the.+ 33  jab chhatha ghanta* hua, to poore desh mein andhkar chhaa gaya aur nauvein ghante* tak chhaaya raha.+ 34  nauvein ghante mein yeeshu ne zor se pukara, “eli, eli, laama shabaktani?” jiska matlab hai, “mere parmeshvar, mere parmeshvar, toone mujhe kyon chhod diya?”+ 35  yah sunkar paas khade kuch log kehne lage, “dekho! yah eliyah ko pukar raha hai.” 36  fir ek aadmi bhaagkar gaya aur usne ek spanj ko khatti daakh-madira mein dubokar narkat par rakha aur use yah kehte huye peene ke liye diya,+ “dekhte hain, eliyah ise neeche utarne ke liye aata hai ya nahin.” 37  lekin yeeshu zor se chillaya aur usne dam tod diya.*+ 38  tab mandir ka parda+ oopar se neeche tak fatkaar do tukde ho gaya.+ 39  jab uske saamne khade sena-afsar* ne dekha ki uski maut par kya-kya hua to usne kaha, “vaakai yah insan, parmeshvar ka beta tha.”+ 40  vahaan kuch aurtein bhi thi, jo door khadi dekh rahi thi. unmein mariyam magadleeni, chhote yakub aur yoses ki maa mariyam aur salomi bhi thi.+ 41  ye aurtein uske saath-saath rehti thi aur jab woh galeel mein tha tab uski seva karti thi.+ vahaan aur bhi kai aurtein thi jo uske saath yarooshalem aayi thi. 42  dopahar kaafi beet chuki thi aur yah taiyari ka din tha yaani sabt se pehale ka din. 43  isliye arimatiyah ka rehnevala yoosuf vahaan aaya jo dharm-sabha* ka ek izzatdar sadasya tha. woh khud bhi parmeshvar ke raaj ke aane ka intazar kar raha tha. woh himmat karke peelatus ke saamne gaya aur usne yeeshu ki laash maangi.+ 44  magar peelatus ko taajjub hua ki yeeshu vaakai mar chuka hai. isliye usne sena-afsar ko bulakar poochha ki kya woh mar chuka hai. 45  peelatus ne sena-afsar se yah pakka kar lene ke baad ki woh mar chuka hai, uski laash yoosuf ko saunp di. 46  tab yoosuf badhiya malmal khareedkar le aaya aur usne yeeshu ki laash neeche utaari aur use malmal mein lapetkar ek kabraa* mein rakh diya,+ jo chattan khodkar banayi gayi thi. aur kabraa* ke dvar par ek patthar ludhkakar use band kar diya.+ 47  lekin mariyam magadleeni aur yoses ki maa mariyam us jagah ko dekhti rahin jahaan use rakha gaya tha.+

kai footnote

ya “kaath par latkakar maar daal.”
ya “kaath par latkakar maar daal.”
ya “teri jay ho!”
ya “use dandvat.”
shabdavli dekhein.
yaani subah kareeb 9 baje.
ati. ka3 dekhein.
shabdavli dekhein.
shabdavli dekhein.
yaani dopahar kareeb 12 baje.
yaani dopahar kareeb 3 baje.
ya “aakhiri saans li.”
ya “shatpati,” jiski kaman ke neeche sau sainik hote the.
ya “mahasabha.”
ya “smarak kabraa.”
ya “smarak kabraa.”