markus ke mutabik khushkhabri 2:1-28
2 magar kuch din baad, yeeshu fir kafarnahoom aaya aur chaaron taraf khabar fail gayi ki woh ghar par hai.+
2 vahaan logon ki bheed lag gayi aur ghar logon se itna bhar gaya ki darvaze ke paas bhi jagah nahin bachi. yeeshu unhein parmeshvar ke vachan sunane laga.+
3 tab log ek lakve ke maare huye ko vahaan laaye, jise chaar aadmi uthaye huye the.+
4 magar bheed ki vajah se woh use andar yeeshu ke paas nahin le jaa sake. isliye jahaan yeeshu baitha tha, unhonne uske oopar ghar ki chhat ko khoda aur khol diya aur lakve ke maare huye ko uski khaat samet neeche utar diya.
5 jab yeeshu ne unka vishvas dekha,+ to usne lakve ke maare aadmi se kaha, “bete, tere paap maaf kiye gaye.”+
6 vahaan kuch shaastri baithe the jo man mein kehne lage,+
7 “yah aadmi kya kah raha hai! yah to parmeshvar ki ninda kar raha hai. parmeshvar ke siva aur kaun paapon ko maaf kar sakta hai?”+
8 magar yeeshu ne fauran man mein jaan liya ki woh kya soch rahe hain. isliye usne kaha, “tum kyon apne man mein ye baatein soch rahe ho?+
9 is lakve ke maare aadmi se kya kehna zyada aasan hai, ‘tere paap maaf kiye gaye’ ya yah kehna, ‘uth, apni khaat utha aur chal-fir’?
10 magar isliye ki tum jaan lo ki insan ke bete+ ko dharti par paap maaf karne ka adhikar diya gaya hai . . ..”+ usne lakve ke maare huye se kaha,
11 “main tujhse kehta hoon, khada ho! apni khaat utha aur ghar jaa.”
12 tab woh aadmi khada ho gaya aur fauran apni khaat uthakar sabke saamne baahar nikaal gaya. yah dekhkar sabhi dang reh gaye aur yah kehkar parmeshvar ki mahima karne lage, “hamne aisa pehale kabhi nahin dekha.”+
13 fir yeeshu vahaan se nikaalkar jheel ke kinare gaya aur logon ki bheed uske paas aati rahi aur woh unhein sikhane laga.
14 fir chalte-chalte uski nazar halfai ke bete levi par padi jo kar-vasooli ke daftar mein baitha tha. usne usse kaha, “aa, mera chela ban jaa.” aur woh uthkar uske peechhe chal diya.+
15 baad mein woh levi ke ghar khaane par gaya tha* aur bahot-se kar-vasoolnevale aur unke jaise doosre paapi, yeeshu aur uske chelon ke saath khaane baithe the.* ye log badi taadad mein vahaan jama the. unmein se kai aise the jo yeeshu ke chele ban gaye the.+
16 magar jab fareesi-dal ke kuch shaastriyon ne dekha ki woh paapiyon aur kar-vasoolnevalon ke saath khaana khaa raha hai, to woh uske chelon se kehne lage, “yah kar-vasoolnevalon aur paapiyon ke saath khaata hai?”
17 yah sunkar yeeshu ne unse kaha, “jo bhale-change hain unhein vaid ki zaroorat nahin hoti, magar beemaron ko hoti hai. main dharmiyon ko nahin, paapiyon ko bulane aaya hoon.”+
18 yuhanna ke chele aur fareesi upvas kiya karte the. isliye woh yeeshu ke paas aaye aur unhonne poochha, “kya baat hai ki yuhanna ke chele aur fareesiyon ke chele upvas rakhte hain, magar tere chele upvas nahin rakhte?”+
19 tab yeeshu ne unse kaha, “jab tak doolha+ apne doston ke saath hota hai, kya uske dost upvas rakhte hain? nahin. jab tak doolha unke saath rehta hai, woh upvas nahin rakhte.
20 magar woh din aayenge jab doolhe ko unse juda kar diya jaayega,+ tab woh upvas kareinge.
21 koi bhi purane kapde ke chhed par naye kapde ka tukda nahin lagata. agar woh lagaye to naya tukda sikudkar purane kapde ko faad dega aur chhed aur bhi bada ho jaayega.+
22 na hi koi nayi daakh-madira purani mashkon mein bharta hai. agar woh bhare, to madira mashkon ko faad degi aur madira ke saath-saath mashkein bhi nasht ho jaayengi. magar log nayi madira nayi mashkon mein bharte hain.”
23 jab yeeshu sabt ke din kheton se hokar jaa raha tha to uske chele chalte-chalte anaj ki baalein todne lage.+
24 tab fareesiyon ne usse kaha, “yah dekh! ye sabt ke din aisa kaam kyon kar rahe hain jo kaanoon ke khilaf hai?”
25 magar yeeshu ne kaha, “kya tumne kabhi nahin padha ki jab daavid aur uske aadmi bhookhe the aur unke paas khaane ko kuch nahin tha, tab usne kya kiya?+
26 kya tumne pradhan yaajak abiyatar+ vaale kisse mein nahin padha ki daavid parmeshvar ke bhavan mein gaya aur usne chadhave ki rotiyaan* khaayin aur kuch apne saathiyon ko bhi di jabki kaanoon ke mutabik yaajkon ke siva koi aur ye rotiyaan nahin khaa sakta tha?”+
27 fir yeeshu ne kaha, “sabt ka din insan ke liye bana hai,+ na ki insan sabt ke din ke liye.
28 insan ka beta to sabt ke din ka bhi prabhu hai.”+
kai footnote
^ ya “mez se tek lagaye baitha tha.”
^ ya “mez se tek lagaye baithe the.”
^ ya “nazrane ki roti.”