markus ke mutabik khushkhabri 3:1-35
3 ek baar fir woh sabha-ghar mein gaya. vahaan ek aisa aadmi tha jiska ek haath sookha hua tha.*+
2 fareesi yeeshu par nazar jamaye huye the ki dekhein, woh us aadmi ko sabt ke din theek karta hai ya nahin taaki woh us par ilzam laga sakein.
3 tab usne sookhe haathvale aadmi* se kaha, “uth aur yahaan beech mein aa.”
4 fir usne unse poochha, “parmeshvar ke kaanoon ke hisab se sabt ke din kya karna sahi hai, kisi ka bhala karna ya bura karna? kisi ki jaan bachana ya kisi ki jaan lena?”+ magar woh chup rahe.
5 unke dilon ki kathorta dekhkar yeeshu bahot dukhi hua+ aur usne gusse se bharkar un sabko dekha aur us aadmi se kaha, “apna haath aage badha.” jab usne haath aage badhaya to uska haath theek ho gaya.
6 yah dekhkar fareesi baahar nikaal gaye aur usi vakt herodes ke gut ke logon ke saath milkar yeeshu ko maar daalne ki saazish karne lage.+
7 magar yeeshu vahaan se nikaalkar apne chelon ke saath jheel ki taraf chala gaya. tab galeel aur yahoodiya se bhaari taadad mein log uske peechhe-peechhe gaye.+
8 uske bade-bade kaamon ki charcha sunkar yarooshalem, idoomiya aur yardan paar ke ilakon aur sor aur seedon ke aas-paas se bhi logon ki ek badi bheed uske paas aayi.
9 usne apne chelon se kaha ki ek chhoti naav uske liye taiyar rakhein taaki bheed use daba na de.
10 yeeshu ne bahoton ko theek kiya tha, isliye jitne logon ko dardnak beemariyaan thi woh use chhoone ke liye uske paas bheed lagane lage.+
11 jin logon mein dusht swargdoot+ samaye the, woh bhi jab use dekhte to uske aage gir padte aur chillakar kehte, “tu parmeshvar ka beta hai.”+
12 magar usne kai baar unhein kada hukm diya ki woh kisi ko na batayen ki woh kaun hai.+
13 fir yeeshu ek pahad par chadha aur usne apne kuch chelon ko bulaya+ aur woh uske paas aaye.+
14 usne 12 chelon ka ek dal banaya* aur unhein preshit naam diya taaki woh hamesha uske saath rahein aur woh unhein prachar ke liye bheje
15 aur dusht swargdooton ko nikaalne ka adhikar de.+
16 jin 12 chelon ka dal+ usne banaya* woh the, shamaun jise usne patras naam diya,+
17 jabdi ka beta yakub aur yakub ka bhaai yuhanna (inhein yeeshu ne boanargis naam diya, jiska matlab hai “garjan ke bete”),+
18 andriyas, filippus, bartulmai, matti, thoma, halfai ka beta yakub, taddi, josheela* shamaun
19 aur yahooda iskariyoti, jisne baad mein uske saath gaddari ki.
fir yeeshu ek ghar mein gaya.
20 ek baar fir logon ki itni bheed jama ho gayi ki yeeshu aur uske chele khaana tak na khaa sake.
21 magar jab yeeshu ke gharvalon ko in baaton ki khabar mili, to woh nikaal pade ki use pakadkar le aayen kyonki woh kah rahe the, “uska dimag fir gaya hai.”+
22 jo shaastri yarooshalem se aaye the woh kah rahe the, “ismein baal-zabool* samaya hai. yah dusht swargdooton ke raja ki madad se, logon mein samaye dusht swargdoot paayenge hai.”+
23 tab yeeshu ne unhein apne paas bulaya aur misalein dekar kaha, “shaitan khud shaitan ko kaise nikaal sakta hai?
24 agar kisi raaj mein fut pad jaaye, to woh raaj tik nahin sakta.+
25 aur agar kisi ghar mein fut pad jaaye to woh ghar tik nahin sakta.
26 usi tarah, agar shaitan apne hi khilaf uth khada ho aur usmein fut pad jaaye, to woh tik nahin sakega balki uska ant ho jaayega.
27 sach to yah hai ki koi kisi taakatvar aadmi ke ghar mein ghuskar uska saaman tab tak nahin chura sakta jab tak ki woh pehale us aadmi ko pakadkar baandh na de. iske baad hi woh uska ghar loot sakega.
28 main tumse sach kehta hoon, insanon ki sab baatein maaf ki jaayengi, fir chahe unhonne jo bhi paap kiye hon aur jo bhi ninda ki baatein kahi hon.
29 magar jo koi pavitra shakti ke khilaf ninda ki baatein kahega, use kabhi maaf nahin kiya jaayega,+ balki woh aise paap ka doshi hoga jo kabhi nahin mitega.”+
30 yeeshu ne aisa isliye kaha kyonki woh kah rahe the, “usmein ek dusht swargdoot hai.”+
31 fir uski maa aur uske bhaai+ aaye aur unhonne baahar khade hokar use bulane ke liye kisi ko bheja.+
32 bheed uske chaaron taraf baithi thi aur unhonne usse kaha, “dekh! teri maa aur tere bhaai baahar khade hain, woh tujhse milna chahte hain.”+
33 magar usne kaha, “meri maa aur mere bhaai kaun hain?”
34 fir usne un logon ko, jo uske chaaron taraf ghera banakar baithe the, dekhkar kaha, “dekho, ye rahe meri maa aur mere bhaai!+
35 jo koi parmeshvar ki marzee poori karta hai, vahi mera bhaai, meri behen aur meri maa hai.”+
kai footnote
^ ya “lakva maar gaya tha.”
^ ya “jiska haath lakva maar gaya tha.”
^ ya “chuna.”
^ ya “chuna.”
^ shaa., “kanaanani.”
^ shaitan ko diya ek naam.