markus ke mutabik khushkhabri 9:1-50

  • yeeshu ka roop badla (1-13)

  • dusht swargdoot ke kabze mein pada ladka theek hua (14-29)

    • jismein vishvas hai uske liye sabkuch mumkin hai (23)

  • yeeshu ek baar fir apni maut ki bhavishyavani karta hai (30-32)

  • chele behas karte hain ki kaun bada hai (33-37)

  • jo hamare khilaf nahin, woh hamare saath hai (38-41)

  • thokar khilana (42-48)

  • “khud mein namak jaisa swad rakho” (49, 50)

9  fir yeeshu ne unse kaha, “main tumse sach kehta hoon ki yahaan jo khade hain, unmein se kuch aise hain jo tab tak maut ka munh nahin dekheinge, jab tak ki woh yah na dekh lein ki parmeshvar ka raaj poori taakat ke saath aa chuka hai.”+  iske chhe din baad yeeshu ne patras, yakub aur yuhanna ko apne saath liya. woh unko ek unche pahad par le gaya, jahaan unke siva koi nahin tha. unke saamne yeeshu ka roop badal gaya.+  uske kapde chamakne lage aur itne ujle safed ho gaye jitna ki koi bhi dhobi safed nahin kar sakta.  vahaan chelon ko eliyah aur moosa bhi dikhayi diye, woh donon yeeshu se baat kar rahe the.  tab patras ne yeeshu se kaha, “guru,* hum bahot khush hain ki hum yahaan aaye. isliye hamein teen tamboo khade karne de, ek tere liye, ek moosa ke liye aur ek eliyah ke liye.”  sach to yah hai ki patras ko samajh nahin aa raha tha ki use kya kehna chahiye kyonki woh bahot dar gaye the.  fir ek baadal ubhra aur un par chhaa gaya aur baadal mein se yah aavaz aayi,+ “yah mera pyara beta hai.+ iski suno.”+  fir achanak chelon ne aas-paas nazar daali aur dekha ki ab vahaan unke saath yeeshu ke siva koi nahin hai.  jab woh pahad se neeche utar rahe the, to yeeshu ne unhein sakhti se aadesh diya ki jab tak insan ka beta mare huon mein se zinda na ho jaaye, tab tak unhonne jo dekha hai woh kisi ko na batayen.+ 10  chelon ne yah baat gaanth baandh li.* magar woh aapas mein charcha karne lage ki usne mare huon mein se zinda hone ki jo baat kahi, uska kya matlab hai. 11  unhonne yeeshu se poochha, “shaastri kyon kehte hain ki pehale eliyah+ ka aana zaroori hai?”+ 12  usne kaha, “eliyah vaakai pehale aayega aur sabkuch pehale jaisa kar dega.+ magar shastra mein fir aisa kyon likha hai ki insan ke bete ko bahot-si takaleefein jhelni hongi+ aur use tuchh samjha jaayega?+ 13  par main tumse kehta hoon ki eliyah+ darasal aa chuka hai aur theek jaisa uske baare mein likha hai, unhonne uske saath woh sab kiya jo woh karna chahte the.”+ 14  jab woh baaki chelon ke paas aaye, to unhonne dekha ki logon ki bheed chelon ko ghere huye hai aur shaastri unse behas kar rahe hain.+ 15  magar jaise hi bheed ne yeeshu ko dekha, woh dang reh gaye aur bhaagkar uske paas aaye aur uska swagat kiya. 16  yeeshu ne unse poochha, “tum unse kya behas kar rahe ho?” 17  bheed mein se ek ne kaha, “guru, main apne bete ko tere paas laaya tha kyonki usmein ek goonga dusht swargdoot samaya hai.+ 18  aur jab kabhi woh mere bete ko pakadta hai, to use zameen par patak deta hai aur mere bete ke munh se jhaag nikaalne lagta hai, woh daant peesta hai aur bilkul bejan ho jaata hai. mainne tere chelon se is dusht doot ko nikaalne ke liye kaha, magar woh nahin nikaal sake.” 19  yah sunkar yeeshu ne unse kaha, “hey avishvasi logo,*+ main aur kab tak tumhare saath rahoon? kab tak tumhari sahoon? ladke ko mere paas laao.”+ 20  woh use yeeshu ke paas le aaye. magar jaise hi us dusht swargdoot ne yeeshu ko dekha, usne bachche ko maroda aur woh bachcha zameen par gir pada aur lotne aur jhaag ugalne laga. 21  tab yeeshu ne ladke ke pita se poochha, “iski yah haalaat kab se hai?” usne kaha, “bachpan se. 22  iski jaan lene ke liye is dusht doot ne kai baar ise aag mein jhonka hai, to kai baar paani mein giraya hai. lekin agar tu kuch kar sake, to hum par taras khaa aur hamari madad kar.” 23  yeeshu ne usse kaha, “tu yah kyon kah raha hai, ‘agar tu kuch kar sake’? jismein vishvas hai, uske liye sabkuch mumkin hai.”+ 24  usi vakt us bachche ke pita ne unchi aavaz mein kaha, “mujhmein vishvas hai, lekin agar mere vishvas mein koi kami hai, to meri madad kar!”+ 25  tabhi yeeshu ne dekha ki logon ki ek bheed unki taraf daudi chali aa rahi hai, isliye usne dusht swargdoot ko fatkaara aur kaha, “hey goonge aur behre doot, main tujhe hukm deta hoon, ismein se baahar nikaal aa aur aainda kabhi ismein mat jaana!”+ 26  tab woh dusht doot zor se chillaya aur ladke ko bahot marodne ke baad usmein se nikaal gaya. woh bachcha murda-saa ho gaya aur zyadatar log kehne lage, “yah to mar gaya hai!” 27  lekin yeeshu ne uska haath pakadkar use uthaya aur woh khada ho gaya. 28  iske baad yeeshu ek ghar mein gaya aur vahaan uske chelon ne akele mein usse poochha, “hum us dusht swargdoot ko kyon nahin nikaal paaye?”+ 29  usne kaha, “is kism ka doot sirf prarthna se nikaala jaa sakta hai.” 30  woh us jagah se nikaal pade aur galeel se hokar gaye. yeeshu nahin chahta tha ki log jaanein ki woh kahaan hai. 31  kyonki is dauran woh apne chelon ko sikha raha tha aur unhein yah bata raha tha, “insan ke bete ke saath vishvasghat kiya jaayega aur use logon ke havale kar diya jaayega. woh use maar daaleinge,+ magar marne ke teen din baad woh zinda ho jaayega.”+ 32  magar chele uski baat nahin samjhe aur usse saval poochhne se bhi dar rahe the. 33  fir woh kafarnahoom aaye. jab woh ghar ke andar tha, to usne chelon se poochha, “tum raaste mein kis baat par jhagad rahe the?”+ 34  woh chuppi saadhe rahe kyonki woh is baat par jhagad rahe the ki hammein bada kaun hai. 35  tab usne baithkar baarahon ko bulaya aur unse kaha, “agar koi sabse bada banna chahta hai, to zaroori hai ki woh sabse chhota bane aur sabka sevak bane.”+ 36  fir usne ek chhote bachche ko lekar unke beech khada kiya aur uske kandhon par haath rakhkar unse kaha, 37  “jo koi mere naam se aise ek bhi bachche ko sweekar karta hai,+ woh mujhe sweekar karta hai. aur jo mujhe sweekar karta hai, woh na sirf mujhe balki mere bhejnevale ko bhi sweekar karta hai.”+ 38  yuhanna ne usse kaha, “guru, hamne dekha ki ek aadmi tera naam lekar logon mein samaye dusht swargdooton ko nikaal raha tha aur hamne use rokne ki koshish ki, kyonki woh hamare saath nahin chalta.”+ 39  lekin yeeshu ne kaha, “use rokne ki koshish mat karo, kyonki aisa koi nahin jo mere naam se shaktishali kaam kare aur palatkar mujhe badnam bhi kare. 40  jo hamare khilaf nahin, woh hamare saath hai.+ 41  jo koi tumhein isliye ek pyala paani pilata hai ki tum maseeh ke ho,+ main tumse sach kehta hoon ki woh apna inam hargiz na khoyega.+ 42  lekin jo koi vishvas karnevale aise chhoton mein se kisi ek ko thokar khilata hai,* uske liye yahi achha hai ki uske gale mein chakki ka woh paat latkaya jaaye jise gadha ghumata hai aur use samundar mein feink diya jaaye.+ 43  agar tera haath kabhi tujhse paap karvaye* to use kaat daal. achha yahi hoga ki tu ek haath ke bina jeevan paaye, bajay iske ki donon haathon samet gehanna* mein daala jaaye, haan, us aag mein jo kabhi bujhayi nahin jaa sakti.+ 44 * 45  aur agar tera pair tujhse paap karvata hai* to use kaat daal. achha yahi hoga ki tu ek pair ke bina jeevan paaye, bajay iske ki tu donon pairon samet gehanna* mein daala jaaye.+ 46 * 47  aur agar teri aankh tujhse paap karvati hai* to use nikaalkar door feink de.+ achha yahi hoga ki tu ek aankh ke bina parmeshvar ke raaj mein daakhil ho, bajay iske ki tujhe donon aankhon samet gehanna* mein feink diya jaaye,+ 48  jahaan keede kabhi nahin marte aur aag kabhi nahin bujhti.+ 49  isliye ki har insan par aise aag barsayi jaayegi jaise namak chhidka jaata hai.+ 50  namak badhiya hota hai, lekin agar namak apna swad kho de, to kis cheez se tum use namkeen kar paaoge?+ khud mein namak jaisa swad rakho+ aur aapas mein shaanti banaye rakho.”+

kai footnote

shaa., “rabbi.”
ya shaayad, “yah baat apne tak rakhi.”
shaa., “peedhi.”
yaani kuch aisa karta hai ki doosra aadmi vishvas karna chhod deta hai.
shaa., “tujhe thokar khilaye.”
shabdavli dekhein.
ati. ka3 dekhein.
shabdavli dekhein.
shaa., “tujhe thokar khilaye.”
ati. ka3 dekhein.
shaa., “tujhe thokar khilaye.”
shabdavli dekhein.