matti ke mutabik khushkhabri 7:1-29

    • dosh lagana band karo (1-6)

    • maangte raho, dhoondhte raho, khatkhatate raho (7-11)

    • sunhara niyam (12)

    • sankra faatak (13, 14)

    • falon se unki pehchan (15-23)

    • chattan par bana ghar, ret par bana ghar (24-27)

  • yeeshu ki shikshaon se bheed dang (28, 29)

7  dosh lagana band karo+ taaki tum par bhi dosh na lagaya jaaye.  isliye ki jaise tum dosh lagate ho, vaise hi tum par bhi dosh lagaya jaayega.+ jis naap se tum naapte ho, woh bhi usi naap se tumhare liye naapeinge.+  to fir tu kyon apne bhaai ki aankh mein pada tinka dekhta hai, magar apni aankh ke latthe par dhyan nahin deta?+  ya tu apne bhaai se kaise kah sakta hai, ‘aa main teri aankh ka tinka nikaal doon,’ jabki dekh! teri apni hi aankh mein ek lattha hai?  are kapti! pehale apni aankh se lattha nikaal, tab tu saaf-saaf dekh sakega ki apne bhaai ki aankh se tinka kaise nikaalna hai.  pavitra cheezen kutton ko mat do, na hi apne moti sooaron ke aage feinko.+ aisa na ho ki woh apne pairon se unhein raund dein aur palatkar tumhein faad daalein.  maangte raho to tumhein diya jaayega,+ dhoondhte raho to tum paaoge, khatkhatate raho to tumhare liye khola jaayega.+  kyonki har koi jo maangta hai, use milta hai+ aur jo dhoondhta hai, woh paata hai aur har koi jo khatkhatata hai, uske liye khola jaayega.  aakhir tummein aisa kaun hai jiska beta agar usse roti maange, to woh use ek patthar pakda de? 10  ya machhli maange to use ek saanp pakda de? 11  isliye jab tum dusht hokar bhi apne bachchon ko achhe tohfe dena jaante ho to tumhara pita, jo swarg mein hai, aur bhi badhkar apne maangnevalon ko achhi cheezen kyon na dega!+ 12  isliye jo kuch tum chahte ho ki log tumhare saath karein, tum bhi unke saath vaisa hi karo.+ darasal kaanoon aur bhavishyavaktaon ki kitabon ka nichod yahi hai.+ 13  sankre faatak se andar jaao+ kyonki chauda hai woh faatak aur khula hai woh raasta, jo vinash ki taraf le jaata hai aur us par jaanevale bahot hain. 14  jabki sankra hai woh faatak aur tang hai woh raasta, jo jeevan ki taraf le jaata hai aur use paanevale thode hain.+ 15  jhoothe bhavishyavaktaon se khabardar raho+ jo bhedon ke bhes mein tumhare paas aate hain,+ magar andar se bhookhe bhediye hain.+ 16  unke falon se tum unhein pehchan loge. kya log kabhi kanteeli jhaadiyon se angoor ya jangli paudhon se anjeer todte hain?+ 17  usi tarah, harek achha ped badhiya fal deta hai, magar sada hua ped kharab fal deta hai.+ 18  achha ped kharab fal nahin de sakta, na hi sada hua ped badhiya fal de sakta hai.+ 19  har woh ped jo badhiya fal nahin deta, kaata aur aag mein jhonk diya jaata hai.+ 20  isliye tum un logon ko unke falon se pehchan loge.+ 21  jo mujhe ‘hey prabhu, hey prabhu’ kehte hain, unmein se har koi swarg ke raaj mein daakhil nahin hoga, magar sirf vahi daakhil hoga jo swarg mein rehnevale mere pita ki marzee poori karta hai.+ 22  us din bahot-se log mujhse kaheinge, ‘hey prabhu, hey prabhu,+ kya hamne tere naam se bhavishyavani nahin ki aur tere naam se, logon mein samaye dusht swargdooton ko nahin nikaala aur tere naam se bahot-se shaktishali kaam nahin kiye?’+ 23  tab main unse saaf-saaf kah doonga: main tumhein nahin jaanta. are dushto, door ho jaao mere saamne se!+ 24  isliye har koi jo meri ye baatein sunta hai aur in par chalta hai, woh us samajhdar aadmi jaisa hoga jisne apna ghar chattan par banaya.+ 25  fir zabardast barsat hui, baadh-par-baadh aayi, aandhiyaan chalin aur us ghar se takrayin, fir bhi woh nahin gira kyonki uski ninv chattan par banayi gayi thi. 26  lekin har koi jo meri ye baatein sunta hai magar in par nahin chalta, woh us moorkh jaisa hoga jisne apna ghar ret par banaya.+ 27  aur zabardast barsat hui, baadh-par-baadh aayi, aandhiyaan chalin aur us ghar se takrayin+ aur woh dhah gaya aur tahas-nahas ho gaya.” 28  jab yeeshu ye baatein kah chuka, to bheed uske sikhane ka tareeka dekhkar dang reh gayi,+ 29  kyonki woh unke shaastriyon ki tarah nahin balki aise insan ki tarah sikha raha tha jiske paas bada adhikar ho.+

kai footnote