nahemayah 11:1-36

  • yarooshalem mein logon ko basaya (1-36)

11  israeliyon ke haakim to yarooshalem mein rehte the,+ magar baaki log doosre shehron mein base huye the. isliye yah tay hua ki chitthiyaan daali jaayengi+ aur har das gharane mein se jis ek gharane ke naam chitthi niklegi, woh pavitra shehar yarooshalem aakaar rahega aur bache huye nau gharane apne hi shehron mein raheinge.  iske alava, jo aadmi apni marzee se yarooshalem mein rehne aaye, logon ne unki taareef ki.  ye yahooda zile ke un mukhiyaon ke naam hain, jo yarooshalem mein aakaar bas gaye. (baaki israeli, yaajak, levi, mandir ke sevak*+ aur sulaiman ke sevkon ke bete*+ yahooda mein apne-apne shehron mein hi rahe, jo unhein diye gaye the.+  yarooshalem mein yahooda aur binyameen ke kuch log bhi base huye the.) yahooda ke logon mein se atayah aaya. woh ujjiyah ka beta tha, ujjiyah jakaryah ka, jakaryah amaryah ka, amaryah shaptyah ka aur shaptyah mahal-lel ka beta tha. ye log peres ke gharane se the.+  atayah ke alava maanseyah bhi aaya. maanseyah baarook ka beta tha, baarook kolhoje ka, kolhoje hajayah ka, hajayah adayah ka, adayah yoyareeb ka aur yoyareeb jakaryah ka beta tha. jakaryah, shelah ke khaandan se tha.  peres ke bete jo yarooshalem mein rehne gaye unki kul ginti 468 thi. woh sab shoorveer the.  binyameen ke logon mein se salloo+ yarooshalem aaya. woh mashullam ka beta tha, mashullam yoed ka, yoed padayah ka, padayah kolayah ka, kolayah maanseyah ka, maanseyah itiel ka aur itiel yashaya ka beta tha.  salloo ke alava, gabbai aur sallai bhi aaye, kul 928 aadmi.  jikri ka beta yoel unki nigrani karta tha aur hassanooa ka beta yahooda, shehar ki dekhrekh karne mein uska madadgar tha. 10  yaajkon mein se ye log yarooshalem aaye: yoyareeb ka beta yadayah, yaakeen+ 11  aur sarayah. sarayah hilkiyah ka beta tha, hilkiyah mashullam ka, mashullam saadok ka, saadok marayot ka aur marayot aheetoob+ ka beta tha. aheetoob sachche parmeshvar ke bhavan* mein ek aguva tha. 12  unke alava, unke woh bhaai bhi yarooshalem aaye jo bhavan mein seva karte the, kul milakar 822 aadmi. unke saath adayah bhi aaya jo yaroham ka beta tha. yaroham palalyah ka beta tha, palalyah amsi ka, amsi jakaryah ka, jakaryah pashhoor+ ka aur pashhoor malkiyah ka beta tha. 13  adayah ke bhaai bhi yarooshalem aaye jo apne-apne pita ke kul ke mukhiya the, sab milakar 242 aadmi. amshai bhi aaya. woh ajrel ka beta tha, ajrel ahajai ka, ahajai mashillemot ka aur mashillemot immer ka beta tha. 14  amshai ke saath uske bhaai bhi yarooshalem aaye, jo bade taakatvar aur diler the, kul milakar 128 aadmi. unki nigrani karnevala jabdiel tha, woh ek jaane-maane gharane se tha. 15  leviyon mein se shamayah+ aaya. woh hashshoob ka beta tha, hashshoob ajreekam ka, ajreekam hashbyah ka aur hashbyah bunni ka beta tha. 16  shamayah ke alava, shabbatai+ aur yojabad+ bhi aaye jo leviyon ke mukhiyaon mein se the aur sachche parmeshvar ke bhavan se jude baahri kaamon ki dekhrekh karte the. 17  unke alava mattanyah+ bhi aaya jo mika ka beta tha, mika jabdi ka aur jabdi aasap ka beta tha.+ mattanyah sangeet-sanchalak tha aur prarthna ke vakt badai ke geet mein aguvai karta tha.+ uska madadgar bakbukyah bhi aaya. abda bhi aaya jo shammoo ka beta tha, shammoo gaalal ka aur gaalal yadootoon+ ka beta tha. 18  pavitra shehar mein rehne aaye in sabhi leviyon ki kul ginti 284 thi. 19  faatkon ke pehredaron mein se akkoob, talmon+ aur unke bhaai aaye, kul 172 aadmi. 20  baaki israeli, yaajak aur levi, yahooda ke doosre shehron mein rahe jo unhein diye gaye the.* 21  mandir ke sevak*+ opel mein rehte the+ aur unke oopar zeeha aur gishpa ko thehraya gaya. 22  yarooshalem mein leviyon ki nigrani karnevala ujji tha. ujji baani ka beta tha, baani hashbyah ka, hashbyah mattanyah+ ka aur mattanyah mika ka beta tha. ujji, aasap ke gaaykon ke gharane se tha aur sachche parmeshvar ke bhavan ke kaam ki dekhrekh karta tha. 23  inhin gaaykon ke baare mein yah shaahi farman jaari kiya gaya tha+ ki unhein har din ke hisab se khaane-peene ki cheezen di jaayen. 24  patahyah raja ka salahkar tha* aur logon se jude maamlon par raja ko salah deta tha. patahyah mashejabel ka beta tha, mashejabel jerah ke gharane se tha aur jerah yahooda ka beta tha. 25  ye un jagahon aur dehaton ke naam hain jahaan yahooda ke kuch log rehte the: kiryat-arba+ aur uske aas-paas ke nagar, deebon aur uske aas-paas ke nagar, yakabsel+ aur uski bastiyaan, 26  yeshoo, molada,+ bet-paalet,+ 27  hasar-shooaal,+ bersheba aur uske aas-paas ke nagar, 28  siklag,+ makona aur uske aas-paas ke nagar, 29  en-rimmon,+ sora,+ yarmoot, 30  jaanoh,+ adullam aur unki bastiyaan, laakeesh+ aur uske dehat aur ajeka+ aur uske aas-paas ke nagar. woh log bersheba se lekar hinnom ghaati+ tak bas gaye.* 31  ye un shehron ke naam hain jahaan binyameen ke log rehte the: geba,+ mikmash, ayya, betel+ aur uske aas-paas ke nagar, 32  anatot,+ nob,+ ananyah, 33  haasor, raamah,+ gittaim, 34  haadeed, saboim, naballat, 35  lod, ono+ aur kaareegaron ki ghaati. 36  leviyon ke kuch dal jo pehale yahooda ke ilake mein rehte the, ab binyameen ke ilake mein aakaar rehne lage.

kai footnote

ya “nateen log.” shaa., “diye gaye log.”
is adhyay mein “bete” ka matlab “vanshaj” bhi ho sakta hai.
ya “mandir.”
ya “jo unki virasat thi.”
ya “nateen log.” shaa., “diye gaye log.”
shaa., “raja ka daayaan haath tha.”
ya “tak dere daale huye the.”