nahemayah 3:1-32

  • sheharpanah ka dobara banna (1-32)

3  mahayajak elyasheeb+ aur uske bhaaiyon ne, jo yaajak the, bhed faatak+ banane ka kaam shuroo kiya. unhonne use pavitra thehraya*+ aur uske darvaze lagaye. unhonne hammea meenar aur hannel meenar tak sheharpanah ki marammat ki aur use pavitra thehraya.+  yareeho ke aadmiyon+ ne sheharpanah ka agla hissa banaya aur imri ke bete jakkoor ne uske baad ka hissa.  hassanah ke beton ne machhli faatak+ banaya. unhonne lakdiyon se uski chaukhat taiyar ki+ aur usmein palle, kunde aur bede lagaye.  aage ki deevar maremot+ ne banayi jo ureeyah ka beta tha aur ureeyah hakkos ka beta tha. uske saathvala hissa mashullam+ ne banaya jo berekyah ka beta tha aur berekyah mashejabel ka beta tha. uske baad ke hisse ki marammat baana ke bete saadok ne ki.  vahaan se aage ki sheharpanah takoa ke rehnevalon+ ne banayi. lekin takoa ke bade-bade aadmiyon ko yah manzoor nahin tha ki woh apne adhikariyon ke adheen rehkar kaam karein.*  paaseh ke bete yoyada aur basodayah ke bete mashullam ne ‘purane shehar ke faatak’+ ki marammat ki. unhonne lakdiyon se uski chaukhat taiyar ki aur usmein palle, kunde aur bede lagaye.  usse aage ke hisse ki marammat giboni+ malatyah aur meronot ke rehnevale yaadon ne ki. gibon aur mispa+ ke ye aadmi mahanadi*+ ke is paar ke raajyapal ke adheen the.  sheharpanah ke agle hisse ki marammat ujjiel naam ke ek sunar ne ki jo harahyah ka beta tha. agla hissa hananyah ne khada kiya jo khushboodar tel* bananevalon mein se tha. unhonne ‘chaudi sheharpanah’+ tak yarooshalem mein pakki sadak banayi.*  isse aage ki sheharpanah par rapayah ne marammat ka kaam kiya. woh hoor ka beta aur yarooshalem ke aadhe zile ka haakim tha. 10  harumap ke bete yadayah ne deevar ke agle hisse ki marammat ki, jo uske ghar ke saamne padta tha. vahaan se aage ke hisse ko hashbanyah ke bete hattoosh ne theek kiya. 11  haareem ke bete+ malkiyah aur pehat-moab ke bete+ hashshoob ne sheharpanah ka ek doosra hissa aur ‘tandooron ki meenar’+ dobara khadi ki. 12  iske baad ka hissa shalloom aur uski betiyonn ne banaya. shalloom hallohesh ka beta aur yarooshalem ke aadhe zile ka haakim tha. 13  haanoon ne jaanoh ke nivasiyon+ ke saath milkar ‘ghaati ke faatak’+ ki marammat ki. unhonne ismein palle, kunde aur bede lagaye. unhonne 1,000 haath* ki doori tak sheharpanah bhi banayi, jo ‘raakh ke dher ke faatak’ par pahunchti thi.+ 14  ‘raakh ke dher ke faatak’ ki marammat malkiyah ne ki, jo rekab ka beta aur bet-hakkerem+ zile ka haakim tha. usne uske darvaze khade kiye aur usmein kunde aur bede lagaye. 15  mispa+ zile ke haakim aur kolhoje ke bete shalloon ne sota faatak+ ki marammat ki. usne faatak ki chhat banayi, uske darvaze khade kiye aur usmein kunde aur bede lagaye. usne ‘raja ke baag’+ ke paas ‘nahar ke taalab’+ se lagi sheharpanah bhi khadi ki aur fir daavidpur+ se neeche utarnevali seedhiyon+ tak ise banaya. 16  agle hisse ki marammat nahemayah ne ki, jo ajabook ka beta aur bet-soor+ ke aadhe zile ka haakim tha. usne us sheharpanah ki marammat ki jo ‘daavid ke kabraistan’*+ ke saamne se hokar khode gaye taalab+ tak jaati thi aur vahaan se ‘veer yoddhaon ke bhavan’ par pahunchti thi. 17  sheharpanah ke aage ke hisson ki marammat leviyon ne ki. iska ek hissa baani ke bete rahoom ki nigrani mein banaya gaya. doosra hissa, keela+ ke aadhe zile ke haakim hashbyah ne apne zile ki or se banaya. 18  uske baadvala hissa unke bhaaiyon ne bavvai ki nigrani mein taiyar kiya, jo henadad ka beta aur keela ke aadhe zile ka haakim tha. 19  uske baad ka hissa yeshoo ke bete+ ejer ne theek kiya, jo mispa ka haakim tha. sheharpanah ka yah hissa pushte+ ke paas hathiyar-ghar tak jaanevali chadhai ke saamne tha. 20  pushte se lekar mahayajak elyasheeb+ ke ghar ke dvar ke saamne tak ka hissa jabbai+ ke bete baarook ne poore zor-shor se banaya. 21  iske baad maremot+ ne ek aur hissa banaya. woh ureeyah ka beta tha aur ureeyah hakkos ka beta tha. usne elyasheeb ke ghar ke dvar se lekar uska ghar jahaan khatm hota tha, vahaan tak ki sheharpanah banayi. 22  agle hisse par yardan zile*+ ke yaajkon ne kaam kiya. 23  binyameen aur hashshoob ne uske aage ke hisse ki marammat ki, jo unke ghar ke saamne padta tha. uske baad ke hisse par ajaryah ne kaam kiya, jo maanseyah ka beta tha aur maanseyah ananyah ka beta tha. usne apne ghar ke paasvali sheharpanah ki marammat ki. 24  vahaan se aage henadad ke bete binnooi ne kaam kiya aur pushte+ aur sheharpanah ke mod tak ka hissa banaya. 25  iske baad oojai ke bete paalal ne sheharpanah ke aage ka hissa banaya. yah hissa pushte ke saamne aur raajbhavn+ mein khadi meenar ke saamne tha. yah oopri meenar ‘pehredaron ke aangan’+ mein thi. sheharpanah ke aage ka hissa parosh ke bete+ padayah ne khada kiya. 26  opel mein rehnevale mandir ke sevkon*+ ne poorab mein paani faatak+ ke saamne tak aur ubhri hui meenar tak sheharpanah banayi. 27  takoa ke logon+ ne sheharpanah ka ek aur hissa banaya. unhonne ubhri hui meenar ke saamne se lekar opel ki deevar tak marammat ki. 28  ghoda faatak+ se oopar ki sheharpanah yaajkon ne banayi. har yaajak ne sheharpanah ke us hisse ki marammat ki jo uske ghar ke saamne padta tha. 29  aage ka hissa immer ke bete saadok+ ne banaya. yah hissa uske ghar ke saamne tha. uske baad ka hissa shakanyah ke bete shamayah ne banaya, jo poorab faatak+ ka rakhvala tha. 30  shelemyah ke bete hananyah aur saalap ke chhathe bete haanoon ne sheharpanah ke agle hisse ki marammat ki. vahaan se aage ka hissa berekyah ke bete mashullam+ ne banaya, jo uske bade kamre ke saamne padta tha. 31  aage ki sheharpanah sunaron ke sangh ke sadasya malkiyah ne banayi. usne nireekshan faatak ke paas mandir ke sevkon*+ aur len-den karnevalon ke ghar tak sheharpanah khadi ki. usne sheharpanah ke mod par bane oopri kamre tak bhi marammat ka kaam kiya. 32  fir mod par bane oopri kamre se lekar bhed faatak+ tak ka hissa sunaron aur len-den karnevalon ne banaya.

kai footnote

ya “parmeshvar ki seva ke liye alag thehraya.”
ya “maalikon ki seva ka jua apni gardan par lein.”
ya “farat nadi.”
ya “mein sil bichhayi.”
ya “itra.”
kareeb 445 mi. (1,460 fut). ati. kha14 dekhein.
zahir hai ki yah daavid ka aur uske baad yahooda ke doosre raajaon ka kabraistan tha.
ya shaayad, “paasvale zile.”
ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”