nahemayah 4:1-23

  • virodh ke baavjood kaam aage badha (1-14)

  • hathiyar liye kaareegar kaam jaari rakhte hain (15-23)

4  jab sanballat+ ne suna ki hum log sheharpanah ki marammat kar rahe hain, to yah baat use raas nahin aayi aur woh bahot gussa hua. woh hum yahoodiyon ka mazak bhi udane laga.  woh apne bhaaiyon aur saamriya ki sena ke saamne kehne laga, “ye kamzor yahoodi kya kar rahe hain? kya woh apne dam par sheharpanah khadi kar leinge? aur balidan chadhayenge? kya unka kaam ek hi din mein poora ho jaayega? kahaan se laayenge patthar, kya malbe mein pade jale patthar lagayenge deevaron mein?”+  uske paas khade ammoni+ tobyah+ ne kaha, “ye jo deevar bana rahe hain, us par agar ek lomdi bhi chadh jaaye to yah aasani se gir jaayegi.”  tab mainne prarthna ki, “hey hamare parmeshvar, dekh! ye log kaise hamein neecha dikha rahe hain.+ aisa ho ki jis tarah ye hamara apman kar rahe hain, usi tarah inka bhi apman ho.+ aur inhein bandi banakar paraye desh mein le jaaya jaaye, jaise loot ka maal le jaaya jaata hai.  tu inke dosh ko andekha mat karna aur inke paapon ko mat mitana.+ kyonki inhonne sheharpanah bananevalon ka apman kiya hai.”  hum sheharpanah ki marammat karte rahe. woh jahaan-jahaan se tooti thi, use hamne fir se banaya. aur banate-banate hamne use aadhi unchai tak khada kar diya. log dil lagakar kaam karte rahe.  jab sanballat, tobyah,+ arbi logon,+ ammoniyon aur ashdodiyon+ ne suna ki yarooshalem ki sheharpanah ka kaam zor-shor se chal raha hai aur uske toote huye hisse dobara banaye jaa rahe hain, to woh baukhla uthe.  unhonne milkar saazish kee ki woh yarooshalem par hamla boleinge aur chaaron taraf khalbali macha deinge.  tab hamne apne parmeshvar se prarthna ki aur dushmanon se bachne ke liye din-raat pehra bitha diya. 10  ab yahooda ke log kehne lage, “sheharpanah ka kaam karnevale* past ho chuke hain aur abhi-bhi bahot saara malba hatana baaki hai. in logon ke bina hum sheharpanah ka kaam kabhi poora nahin kar paayenge.” 11  hamare dushman aapas mein keh rahe the, “isse pehale ki woh hamein aate dekh lein ya samajh jaayen ki hum kya karnevale hain, aao hum unke beech ghuskar unhein maar daalein aur unka kaam rok dein.” 12  unke aas-paas rehnevale yahoodi jab bhi marammat karne yarooshalem aate, to hamse baar-baar* kehte, “dushman chaaron taraf se hum par hamla kar deinge.” 13  isliye mainne khuli jagahon par aur jahaan sheharpanah ki deevarein neechi thi, vahaan aadmi tainat kar diye. mainne unke parivar ke hisab se unhein khada kiya aur unke haath mein talvarein, barchhiyaan aur teer-kaman diye. 14  jab mainne dekha ki log dar rahe hain, to mainne fauran vahaan ke bade-bade logon, adhikariyon* aur baaki logon se kaha,+ “dushmanon se mat daro.+ apne mahan aur vismaykari parmeshvar yahova+ ko yaad rakho aur apne bhaaiyon, bete-betiyonn, patniyon aur apne gharon ke liye lado.” 15  udhaar dushmanon ne suna ki hamein unki saazish ka pata chal gaya hai aur unhonne jaan liya ki sachche parmeshvar ne unki chaal naakam kar di hai. idhar hum fir se sheharpanah banane mein lag gaye. 16  magar us din se mere aadhe aadmi marammat ka kaam karne lage+ aur aadhe aadmi bakhtar pehne aur barchhi, dhaal aur teer-kaman liye pehra dene lage. aur haakim+ madad karne ke liye yahooda ke un logon ke peechhe khade rahe 17  jo sheharpanah ki marammat kar rahe the. bojh dhonevale ek haath se kaam kar rahe the aur doosre haath mein hathiyar* pakde huye the. 18  sheharpanah bananevala har aadmi kamar mein talvar baandhe kaam kar raha tha. aur narsinga foonknevala+ aadmi mere saath khada tha. 19  tab mainne bade-bade logon, adhikariyon* aur baaki logon se kaha, “ab bhi bahot kaam baaki hai. hum sheharpanah ke alag-alag hisson par kaam kar rahe hain aur is vajah se ek-doosre se kaafi door hain. 20  isliye jab tum narsinge ki aavaz suno, to hamare paas aakaar ikattha ho jaana. hamari taraf se hamara parmeshvar ladega.”+ 21  hum har din pau fatne se lekar raat ko taare nikaalne tak kaam karte rahe. hammein se aadhe log sheharpanah bana rahe the aur aadhe log barchhi pakde pehra de rahe the. 22  tab mainne logon se kaha, “har aadmi apne sevak ke saath yarooshalem mein hi raat guzare. woh raat-bhar pehra deinge aur din mein kaam kareinge.” 23  isliye main, mere bhaai, mere sevak+ aur mere saath rehnevale pehredar din-raat apne kapde pehne rahe. hammein se harek apne daayen haath mein hathiyar liye taiyar rehta tha.

kai footnote

ya “bojh dhonevale.”
shaa., “das baar.”
ya “maathat adhikariyon.”
ya “bhaala.”
ya “maathat adhikariyon.”