nahemayah 5:1-19

  • nahemayah ne anyay ko roka (1-13)

  • uski niswarth bhaavna (14-19)

5  fir kuch aadmi aur unki patniyaan apne yahoodi bhaaiyon ke khilaf badi-badi shikaytein lekar aaye.+  unmein se kuch kehne lage, “hamara parivar bada hai, hamare kai bete-betiyaan hain. zinda rehne ke liye hamein kam-se-kam anaj to chahiye.”  kuch aur logon ne kaha, “hamein apne khet, angooron ke baag aur ghar girvi rakhne pad rahe hain taaki is akaal mein hamein khaane ko mil sake.”  doosre yah shikayat karne lage, “hamein raja ko kar chukane ke liye apne khet aur angooron ke baag girvi rakhkar udhaar lena pad raha hai.+  hum koi paraye nahin, unke apne bhaai hain. hamare bachche unke bachchon ki tarah hain. fir bhi hamein apne bete-betiyonn ko unki gulami mein dena pad raha hai. hamari kuch betiyaan to pehale se unki gulami mein hain.+ hum chaahkar bhi kuch nahin kar sakte kyonki hamare khet aur angooron ke baag ab hamare nahin rahe.”  unki baatein aur rona-bilakhna sunkar mujhe bahot gussa aaya.  mainne in baaton par bahot socha aur fir yahoodiyon ke bade-bade logon aur adhikariyon* ko fatkaar lagayi. mainne kaha, “yah main kya sun raha hoon, tum apne hi bhaaiyon se byaj khaa rahe ho?”+ unki vajah se mainne ek badi sabha bulayi.  mainne unse kaha, “hamare yahoodi bhaai doosre raashtron ke haath bik chuke the aur hamse jo kuch ban pada woh hamne kiya aur unhein chhudaya. lekin ab tum apne hi bhaaiyon ko gulami mein bech rahe ho?+ kya unhein chhudane ke liye hamein tumhein bhi paise dene padeinge?” yah sunkar woh baglein jhaankne lage aur vahaan chuppi chhaa gayi.  mainne kaha, “yah tum achha nahin kar rahe. tumhein parmeshvar ka dar maanna chahiye+ aur aisa koi kaam nahin karna chahiye jisse dushman raashtra hamari khilli udayen. 10  isliye meharbani karke byaj lena band karo. main, mere bhaai aur mere sevak bhi apne yahoodi bhaaiyon ko bagair byaj ke paisa aur anaj udhaar de rahe hain.+ 11  tumse binti hai ki aaj hi apne bhaaiyon ke khet, angoor aur jaitoon ke baag aur unke ghar unhein lauta do.+ aur byaj ke taur par tumne unse jo paisa,* anaj, nayi daakh-madira aur tel liya hai, use bhi vaapas kar do.” 12  un aadmiyon ne kaha, “hum unka sabkuch lauta deinge aur unse kuch nahin maangeinge. jaisa toone kaha hai hum vaisa hi kareinge.” tab mainne yaajkon ko bulaya aur un aadmiyon se iski shapath khilvayi. 13  mainne apne baage ki oopri tah jhaadkar kaha, “jo aadmi apni baat se mukar jaayega, sachcha parmeshvar use uske ghar aur uski jaaydad se alag kar dega. is tarah use jhaad diya jaayega aur woh kangal ho jaayega.” yah sunkar poori mandli ne kaha “aameen!”* fir sabne yahova ki badai ki aur logon ne jo-jo kaha tha use poora kiya. 14  raja artashatra+ ne apne raaj ke 20vein saal mein+ mujhe yahooda ke ilake ka raajyapal banaya tha+ aur uske raaj ke 32vein saal tak+ main yahooda ka raajyapal raha. magar in 12 saalon mein mainne aur mere bhaaiyon ne kabhi-bhi yahoodiyon se khaane ka bhatta nahin maanga, jo ki ek raajyapal ka hak tha.+ 15  lekin mujhse pehale jitne bhi raajyapal rahe, un sabne logon ka jeena doobhar kar diya tha. woh apne khaane aur daakh-madira ke liye unse har din 40 shekel* chaandi lete the. unke sevkon ne bhi logon ke saath bahot zyadti ki. jabki mainne aisa kuch nahin kiya+ kyonki main parmeshvar ka dar maanta tha.+ 16  yahi nahin, mainne sheharpanah banane mein bhi haath bataya aur mere sevkon ne bhi ise banane mein madad di. lekin hamne kisi ki zameen nahin li.+ 17  iske bajay, mere yahaan 150 yahoodi aur adhikari* aur doosre raashtron se aaye log khaana khaate the. 18  har din mere hukm par* ek bail, chhe moti-taazee bhedein aur chidiyaan pakayi jaati thi. har dasvein din tarah-tarah ki daakh-madira bahotayat mein pesh ki jaati thi. magar mainne kabhi-bhi raajyapal ko milnevala bhatta nahin maanga kyonki log pehale se raja ki seva mein pise jaa rahe the. 19  hey mere parmeshvar, mainne in logon ki khaatir jo kaam kiye hain, unhein tu yaad rakhna aur mujh par kripa karna.*+

kai footnote

ya “maathat adhikariyon.”
shaa., “saunva bhaag.” yaani har maheene ek pratishat byaj.
ya “aisa hi ho!”
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kha14 dekhein.
ya “maathat adhikari.”
ya “mere paison se.”
ya “aur mera bhala karna.”