nahemayah 7:1-73
7 jaise hi sheharpanah bankar taiyar hui,+ mainne uske faatkon mein palle lagvaye.+ iske baad mainne pehredaron,+ gaaykon+ aur leviyon+ ko thehraya ki woh apna-apna kaam karein.
2 fir mainne apne bhaai hanani+ aur kile+ ke pradhan hananyah ko yarooshalem ki dekhrekh ka zimma saunpa. mainne hananyah ko isliye chuna kyonki woh doosron se zyada sachche parmeshvar ka dar maanta tha+ aur bahot bharosemand tha.
3 mainne unhein hukm diya, “din chadhne ke baad hi pehredar faatak kholein aur pehredari khatm karne se pehale woh faatak band karke uske bede laga dein. pehra dene ke liye yarooshalem ke nivasiyon ko thehrao. kuch logon ko pehre ki chaukiyon par tainat karo aur kuch ko unke gharon ke saamne.”
4 yarooshalem ek bada shehar tha aur door-door tak faila hua tha. magar usmein sirf mutthi-bhar log rehte the+ aur gine-chune ghar the.
5 tab mere parmeshvar ne mere man mein yah baat daali ki main bade-bade logon, adhikariyon* aur baaki logon ko ikattha karoon aur unki vanshavaliyon ke hisab se unke naam likhoon.+ us vakt mujhe vanshavli ki kitab mili, jismein un logon ke naam likhe the jo sabse pehale yarooshalem laute the. us kitab mein likha tha:
6 “ye log unmein se hain jinhein baibilon ka raja nabookadnessar+ bandi banakar le gaya tha+ aur jo chhootkar vaapas yarooshalem aur yahooda mein apne-apne shehar laute. poore praant se ye log+
7 jarubabel,+ yeshoo,+ nahemayah, ajaryah,* raamyah,* nahmani, mordakai, bilshan, misperet,* bigvai, neehum* aur baanah ke saath vaapas aaye.
lautnevale israeliyon ki ginti yah thi:+
8 parosh ke bete* 2,172;
9 shaptyah ke bete 372;
10 aarah ke bete+ 652;
11 pehat-moab ke gharane+ se yeshoo aur yoab ke bete+ 2,818;
12 elam ke bete+ 1,254;
13 jattoo ke bete 845;
14 jakkai ke bete 760;
15 binnooi ke bete 648;
16 bebai ke bete 628;
17 ajgad ke bete 2,322;
18 adoneekam ke bete 667;
19 bigvai ke bete 2,067;
20 aadeen ke bete 655;
21 hijkiyah ke gharane se aater ke bete 98;
22 haashoom ke bete 328;
23 bejai ke bete 324;
24 haareep ke bete 112;
25 gibon ke bete+ 95;
26 betlehem aur natopa ke aadmi 188;
27 anatot+ ke aadmi 128;
28 bet-azmavet ke aadmi 42;
29 kiryat-yaareem,+ kapeera aur baerot+ ke aadmi 743;
30 raamah aur geba+ ke aadmi 621;
31 mikmas+ ke aadmi 122;
32 betel+ aur ai+ ke aadmi 123;
33 doosre nabo ke aadmi 52;
34 elam naam ke ek doosre aadmi ke bete 1,254;
35 haareem ke bete 320;
36 yareeho ke bete 345;
37 lod, haadeed aur ono+ ke bete 721
38 aur sana ke bete 3,930.
39 lautnevale yaajkon ki ginti yah thi:+ yeshoo ke gharane se yadayah ke bete 973;
40 immer ke bete 1,052;
41 pashhoor ke bete+ 1,247
42 aur haareem ke bete+ 1,017.
43 lautnevale leviyon ki ginti yah thi:+ hodva ke beton mein se yeshoo ya kadmiel ke bete+ 74.
44 gaaykon+ mein, aasap+ ke bete 148.
45 pehredaron+ mein, shalloom ke bete, aater ke bete, talmon ke bete, akkoob+ ke bete, hateeta ke bete aur shobai ke bete 138.
46 mandir ke sevkon* mein se ye aadmi laute:+ zeeha ke bete, hasoopa ke bete, tabbaot ke bete,
47 keros ke bete, seea* ke bete, paadon ke bete,
48 labana ke bete, hagaba ke bete, shalmai ke bete,
49 haanan ke bete, giddel ke bete, gehr ke bete,
50 raayah ke bete, raseen ke bete, nakoda ke bete,
51 gajjam ke bete, ujja ke bete, paaseh ke bete,
52 besai ke bete, maooniyon ke bete, napeesheesim* ke bete,
53 bakbook ke bete, hakoopa ke bete, harhoor ke bete,
54 basleet* ke bete, maheeda ke bete, harsha ke bete,
55 barkos ke bete, seesra ke bete, temah ke bete,
56 naseeh ke bete aur hateepa ke bete.
57 sulaiman ke sevkon ke ye bete laute:+ sotai ke bete, soperet ke bete, pareeda* ke bete,
58 yaala ke bete, darkon ke bete, giddel ke bete,
59 shaptyah ke bete, hatteel ke bete, pokret-hasbayeem ke bete aur aamon* ke bete.
60 mandir ke sevkon*+ ki aur sulaiman ke sevkon ke beton ki kul ginti 392 thi.
61 kuch aadmi jo tel-melah, tel-harsha, karoob, addon aur immer se laute the, woh yah saabit nahin kar paaye ki woh israeli hain aur unke pita ka kul israel se nikala hai. woh the,+
62 dalayah ke bete, tobyah ke bete aur nakoda ke bete 642.
63 aur yaajkon mein se habayah ke bete, hakkos ke bete+ aur barjillai ke bete. yah vahi barjillai hai jisne giladi barjillai+ ki ek beti se shaadi ki thi aur unka naam apna liya tha.
64 in logon ne apni vanshavli saabit karne ke liye dastavezon mein apne gharane ka naam dhoondha, magar unhein nahin mila. isliye yaajakpad ke liye woh ayogya thahre.*+
65 raajyapal*+ ne unse kaha ki jab tak koi yaajak nahin thehraya jaata jo ooreem aur tummeem ki madad se is maamle ka pata laga sake,+ tab tak tum sabse pavitra cheezon mein se mat khaana.+
66 bandhuai se lautnevali poori mandli ki kul ginti 42,360 thi.+
67 iske alava, unke saath lautnevale daas-daasiyon+ ki ginti 7,337 thi. aur 245 gaayak-gaayikayen unke saath the.+
68 yahi nahin, unke paas 736 ghode, 245 khachchar,
69 435 unt aur 6,720 gadhe the.
70 kuch logon ne, jo apne pita ke kul ke mukhiya the, kaam ke liye daan diya.+ raajyapal* ne khazane mein 1,000 drakhma* sona, 50 katore aur yaajkon ke liye 530 poshakein di.+
71 aur israel ke kul ke kuch mukhiyaon ne 20,000 drakhma sona aur 2,200 meena* chaandi di.
72 baaki logon ne 20,000 drakhma sona, 2,000 meena chaandi aur yaajkon ke liye 67 poshakein di.
73 tab yaajak, levi, pehredar, gaayak,+ mandir ke sevak* aur baaki log apne-apne shehron mein bas gaye.+ is tarah saatvein maheene+ tak sabhi israeli apne-apne shehron mein rehne lage.”+
kai footnote
^ ya “maathat adhikariyon.”
^ is adhyay mein “bete” ka matlab “vanshaj” bhi ho sakta hai. aur kuch jagahon par “bete” ka matlab “nivasi” bhi ho sakta hai.
^ ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
^ ya “nateen logon.” shaa., “diye gaye logon.”
^ ya “woh ashuddh thahre aur unhein nikaal diya.”
^ ya “tirshata.” yah kisi praant ke raajyapal ko diya ek faarsi khitab hai.
^ maana jaata hai ki drakhma, sone ke faarsi sikke darknon ke barbar tha jiska vazan 8.4 gr. tha. magar yah yoonani shastra mein bataya drakhma nahin hai. ati. kha14 dekhein.
^ ya “tirshata.” yah kisi praant ke raajyapal ko diya ek faarsi khitab hai.
^ ibrani shastra mein bataye ek meena ka vazan 570 g. tha. ati. kha14 dekhein.
^ ya “nateen log.” shaa., “diye gaye log.”