nahemayah 9:1-38
9 saatvein maheene ke 24vein din israeli ikattha huye aur unhonne shok manaya. unhonne taat odha, apne sir par dhool daali aur upvas kiya.+
2 tab jo log israel ke vansh se the unhonne khud ko pardesiyon se alag kiya.+ unhonne khade hokar apne paap aur apne purkhon ke gunah kabool kiye.+
3 woh jahaan khade the vahin khade rahe aur unhein yahova ke kaanoon ki kitab padhkar sunayi gayi.+ subah teen ghante tak unke saamne yah kitab padhi gayi aur agle teen ghante tak woh apne parmeshvar yahova ke saamne dandvat karke apne paap kabool karte rahe.
4 tab yeshoo, baani, kadmiel, shabanyah, bunni, sherebyah,+ baani aur kaneni us manch par khade huye,+ jise leviyon ke liye taiyar kiya gaya tha. aur woh apne parmeshvar yahova ko zordar aavaz mein pukarne lage.
5 leviyon mein se yeshoo, kadmiel, baani, hashbanyah, sherebyah, hodiyah, shabanyah aur patahyah kehne lage, “ab utho aur apne parmeshvar yahova ki yug-yug tak* taareef karo!+ hey parmeshvar, tere naam ki jitni bhi taareef aur vaah-vaahi ki jaaye, woh kam hai. fir bhi tu in logon ko apne shaandar naam ki badai karne de.
6 tu hi yahova hai!+ toone aakash, haan, unche-se-uncha aakash aur uski poori sena banayi hai. dharti aur jo kuch us par hai, samundar aur jo kuch usmein hai, sabkuch toone racha hai. tu hi unka jeevan kaayam rakhta hai. aakash ki senayen tere aage jhukti hain.
7 tu hi sachcha parmeshvar yahova hai jisne abram ko apna sevak chuna,+ use kasdiyon ke oor shehar se nikaalkar laaya+ aur uska naam badalkar abraham rakha.+
8 toone paaya ki woh dil se vishvasyogya hai,+ isliye toone uske saath ek karar kiya ki tu use aur uske vansh ko kanaaniyon, hittiyon, emoriyon, parijjiyon, yaboosiyon aur girgashiyon ka desh dega.+ toone apna yah vaada poora kiya kyonki tu sachcha hai.
9 toone misra mein hamare purkhon ki dukh-takaleefein dekhin+ aur laal saagar par unki dard-bhari pukar suni.
10 tab toone firaun, uske sevkon aur uske logon ke saamne chinh aur chamatkar dikhaye+ kyonki tu jaanta tha ki woh tere logon par atyachar kar rahe hain.+ aisa karke toone bada naam kamaya, jo aaj bhi kaayam hai.+
11 toone saagar ko do hisson mein baant diya taaki tere log sookhi zameen par chalkar use paar kar sakein.+ magar unka peechha karnevalon ko toone vahin dubo diya. woh saagar ki gehraiyon mein aise sama gaye, jaise toofani saagar mein feinka gaya patthar hon.+
12 din ke vakt toone baadal ke khambhe se unhein raah dikhayi aur raat ko aag ke khambhe ki raushni se unhein raasta dikhaya.+
13 tu seenai pahad par utra+ aur toone swarg se unse baatein kin.+ toone unhein apne khare nyay-siddhaant, bharosemand kaayde-kaanoon, badhiya-se-badhiya niyam aur aagyayen di.+
14 toone unhein bataya ki woh tere liye pavitra sabt rakhein.+ toone apne sevak moosa ke zariye unhein aagyayen, niyam aur kaanoon diye.
15 jab woh bhookhe the to toone unhein swarg se roti di.+ jab woh pyase the to toone unke liye chattan se paani nikaala.+ toone unhein aagya di ki woh us desh mein kadam rakhein aur us par adhikar karein, jise dene ki toone shapath khaayi thi.
16 lekin hamare purkhe dheeth aur gustakh ban gaye+ aur unhonne teri aagyaon par kaan nahin lagaya.
17 unhonne teri sunnae se inkar kar diya.+ woh hairan kar denevale un kaamon ko bhool gaye jo toone unke saamne kiye the. woh itne hatheele ban gaye ki misra ki gulami mein laut jaane ke liye unhonne ek aguva thehraya.+ lekin tu aisa parmeshvar hai jo maaf karne ko taiyar rehta hai, tu karuna karnevala aur dayalu hai, krodh karne mein dheema aur atal pyar se bharpoor hai,+ isliye toone unhein besahara nahin chhoda.+
18 tab bhi nahin jab unhonne bachhde ki ek moorat dhaalkar israeliyon se kaha, ‘yahi tumhara parmeshvar hai jo tumhein misra se baahar le aaya hai.’+ aur unhonne bure-se-bura kaam karke tera apman kiya.
19 us vakt bhi toone un par badi daya ki aur unhein veerane mein akela nahin chhoda.+ baadal ka woh khambha unke paas se nahin hata jo din ke vakt unhein raah dikhata tha aur na hi aag ka woh khambha hata jo raat ko raushni dekar unhein raasta dikhata tha.+
20 toone apni pavitra shakti* unhein di taaki woh samajh se kaam le sakein.+ toone unhein manna dena band nahin kiya+ aur jab woh pyase the to toone unhein paani pilaya.+
21 veerane mein 40 saal tak tu unhein khaana deta raha.+ unhein kisi cheez ki kami nahin hui. unke kapde purane hokar nahin fate,+ na hi unke pairon mein soojan aayi.
22 toone raajaon ke raajyon aur unke logon ko israeliyon ke adheen kar diya aur unki zameen israeliyon mein baant di.+ isliye unhonne heshbon ke raja seehon ke ilake+ ko aur baashaan ke raja og ke ilake ko apne kabze mein kar liya.+
23 toone unke beton ko aasman ke taaron ki tarah beshumar kar diya.+ fir tu unhein us desh mein le aaya jiske baare mein toone unke purkhon se vaada kiya tha ki woh us desh mein kadam rakhkar use apne adhikar mein kar leinge.+
24 isliye unke beton ne jaakaar poore desh par kabza kar liya+ aur toone vahaan rehnevale kanaaniyon ko unke adheen kar diya.+ toone unke raajaon aur logon ko israeliyon ke havale kar diya ki woh unke saath manchaha salook karein.
25 unhonne unke kileband shehar jeet liye+ aur upjaoo zameen+ aur un gharon ko le liya, jinmein har tarah ki behtareen cheezen thi. unhonne khude huye haud, angooron aur jaitoon ke baag aur anginat faldar pedon par kabza kar liya.+ woh ji-bharkar khaane-peene lage aur falne-foolne lage. toone unhein koi kami nahin hone di, teri badi bhalai ki vajah se woh sukh se rehne lage.
26 is sabke baad bhi, unhonne tera kaha nahin maana. woh tere khilaf ho gaye+ aur unhonne tere kaanoon ka tiraskar kiya.* tere bhavishyavaktaon ne unhein samjhaya ki woh tere paas laut aayen, magar unhonne bhavishyavaktaon ko hi maar daala. unhonne bure-bure kaam karke tera ghor apman kiya.+
27 isliye toone unhein dushmanon ke havale kar diya,+ jo unhein satate rahe.+ museebat ki ghadi mein jab woh tujhse fariyad karne lage, tab toone swarg se un par dhyan diya. tujhe un par badi daya aayi aur toone unke paas kuch aadmi bheje ki woh unhein dushmanon se chhudayen.+
28 magar jaise hi unhein dushmanon se chain mila, woh dobara un kaamon mein lag gaye jo teri nazar mein bure the.+ aur toone fir se unhein dushmanon ke haath kar diya jinhonne unhein bahot sataya.+ tab woh lautkar tere paas aaye aur tujhse madad ki bheekh maangne lage.+ toone swarg se unki taraf dhyan diya aur tujhe un par badi daya aayi. tu isi tarah har baar unhein chhudata raha.+
29 tu unhein baar-baar samjhata raha ki woh tere paas laut aayen aur tera kaanoon maanein. magar unhonne akad dikhayi aur teri aagyaon ko maanne se saaf inkar kar diya.+ unhonne tere un niyamon ko tod diya jinka paalan karne se ek insan zinda rehta hai.+ unhonne tujhse munh fer liya aur woh dheeth ban gaye. unhonne teri ek na suni.
30 magar toone barson tak sabraa rakha+ aur bhavishyavaktaon ko apni pavitra shakti se udhaara ki woh unhein baar-baar chetavni dein. par unhonne unki baat par kaan nahin lagaya. aakhirkar, toone unhein aas-paas ke deshon ke havale kar diya.+
31 magar teri daya itni mahan hai ki toone unka naash nahin kiya,+ na hi unhein laavaris chhoda kyonki tu karuna karnevala aur dayalu parmeshvar hai.+
32 hey mahan, shaktishali aur vismaykari parmeshvar, tu jo apna karar poora karta hai aur apne atal pyar ka saboot deta hai,+ tujhse binti hai ki hamare dukhon par dhyan de, unhein halka mat samajh. ashshoor ke raajaon ke dinon se lekar+ ab tak hum, hamare raja, haakim,+ yaajak,+ bhavishyavakta+ aur purkhe, tere sabhi log bahot dukh jhelte aaye hain.
33 magar hum par jo bhi beeti hum usi ke laayak the, toone hamare saath koi anyay nahin kiya. tu hamesha se vafadar raha, dushtata to hamne ki.+
34 hamare raajaon, haakimon, yaajkon aur purkhon ne tera kaanoon nahin maana. aur-to-aur, toone unhein jo aagyayen di aur unhein khabardar karne ke liye baar-baar jo hidaytein di, un par unhonne dhyan nahin diya.
35 tab bhi nahin jab desh par unka raaj tha aur woh us bade aur upjaoo desh mein reh rahe the, jo toone unhein diya tha aur jab woh teri apar bhalai ka maza le rahe the. unhonne teri seva nahin ki+ balki woh bure-se-bura kaam karte rahe.
36 isliye dekh, aaj hum usi desh mein gulam hain+ jo toone hamare purkhon ko diya tha taaki woh yahaan ki paidavar aur behtareen cheezon ka maza lein.
37 hamare paapon ki vajah se hamare desh ki bharpoor upaj woh raja khaa rahe hain, jinke adheen toone hamein kar diya hai.+ woh hum par, hamare maveshiyon par manmana raaj karte hain. hum bahot dukhi hain.
38 in sab baaton ki vajah se aaj hum tujhse ek karar karte hain,+ jise hum likhkar deinge aur jis par hamare haakim, levi aur yaajak apni-apni muhar lagakar use pukhta kareinge.”+
kai footnote
^ ya “hamesha se hamesha tak.”
^ ya “bhali pavitra shakti.”
^ shaa., “tere kaanoon ko peeth ke peechhe feink diya.”