nahoom 1:1-15

  • parmeshvar dushmanon se badla leta hai (1-7)

    • uski maang hai ki sirf uski bhakti ki jaaye (2)

    • yahova ki panah mein aanevalon ko woh jaanta hai (7)

  • neenve ka naash hoga (8-14)

    • vipatti doosri baar nahin aayegi (9)

  • yahooda ko khushkhabri di jaati hai (15)

1  elkoshi nahoom* ko mile darshan ki kitab, jismein neenve ko yah sandesh sunaya gaya:+   yahova aisa parmeshvar hai jo maang karta hai ki sirf uski bhakti ki jaaye.+ yahova apne dushmanon se badla leta hai, un par apna krodh undelne ko taiyar rehta hai,+woh apne dushmanon se badla liye bina nahin rehta,yahova apna krodh unke liye bachaye rakhta hai.   yahova krodh karne mein dheema+ aur mahashaktiman hai,+lekin jo doshi hain, unhein saza dene se yahova peechhe nahin hatega.+ jab woh chalta hai to tabahi machanevali aandhi aur toofan uthte hain,jab woh pair rakhta hai to baadal dhool ki tarah udte hain.+   woh samundar ko daantta hai+ aur use sukha deta hai,saari nadiyon ka paani sukha deta hai.+ baashaan aur karmel ki hariyali murjha jaati hai+aur labanon ke fool kumhala jaate hain.   uske kaaran pahad kaanp uthte hain,pahadiyaan pighal jaati hain.+ uske saamne prithvi kaanp uthti hai,dharti aur uske nivasi bhi tharthara uthte hain.+   uske krodh ke saamne kaun tik sakta hai?+ uski jaljalahat ke aage kaun khada reh sakta hai?+ uska krodh, aag ki tarah undela jaayegaaur uske kaaran chattanein choor-choor ho jaayengi.   yahova bhala hai,+ vipatti ke din mazboot gadh ban jaata hai,+ woh un logon ko jaanta hai* jo uski panah mein aate hain.+   zabardast baadh laakaar woh uski* jagah ka safaya kar degaaur andhkar parmeshvar ke dushmanon ka peechha nahin chhodega.   yahova ke khilaf tum kaun-si saazish rachoge? woh poori tarah tumhara naash kar dega. vipatti doosri baar nahin aayegi.+ 10  bhale hi woh kanteele baade ki tarah hon, jismein ghusna mushkil hai,bhale hi woh apni taakat ke nashe mein choor hon, jaise koi sharab* ke nashe mein hota hai,magar unhein ghaas-foos ki tarah bhasm kar diya jaayega. 11  hey nagri, tujhse ek shakhs nikala hai,jo ghatiya salah dekar yahova ke khilaf bure mansoobe baandhega. 12  yahova kehta hai, “woh kitne hi shaktishali kyon na hon, unki ginti behisab kyon na ho,fir bhi woh kaat diye jaayenge, woh khatm ho jaayenge.* mainne tujhe* dukh diya hai lekin ab aur nahin doonga. 13  main teri gardan se uska jua utaarkar tod doonga,+teri zanjeeron ke do tukde kar doonga. 14  yahova ne tere* baare mein yah aagya di hai,‘tera vansh chalanevala koi nahin hoga. main tere devtaon ke mandir se gadhi hui moortein aur dhali hui moortein naash kar doonga,main tere liye kabraa khodoonga kyonki tu ghinauna hai.’ 15  dekho! khushkhabri laanevala, shaanti ka paigam sunanevala,pahadon par chala aa raha hai.+ hey yahooda, apne tyohar mana+ aur apni mannatein poori kar! tere beech se fir kabhi koi nikamma aadmi nahin guzrega,use poori tarah naash kar diya jaayega.”

kai footnote

matlab “dilasa denevala.”
ya “ki dekhbhal karta hai.”
yaani neenve ki.
ya “gehoon se bani sharab.”
ya shaayad, “aur woh unke beech se guzrega.”
yaani yahooda.
yaani ashshoor ke.