neetivachan 1:1-33
1 daavid ke bete aur israel ke raja, sulaiman+ ke neetivachan,+
2 jinse insan buddhi+ aur shiksha paayega,buddhi ki baatein samjhega,
3 aisi shiksha paayega+ jo use androoni samajh degi,neki+ aur seedhai se chalne aur sahi faisle lene*+ mein use madad degi.
4 ye naadanon ko hoshiyar banayenge,+javanon ko gyaan aur sochne-parakhne ki shakti deinge.+
5 buddhiman sunkar aur zyada seekhega,+samajh rakhnevala, sahi maargdarshan* paayega+
6 taaki neetivachan aur misalein* samajh sake,buddhimanon ki baatein aur unki paheliyaan boojh sake.+
7 yahova ka dar maanna,* gyaan paane ki shurooat hai.+
moorkh hi buddhi aur shiksha ko tuchh samajhta hai.+
8 hey mere bete, apne pita ki shiksha par dhyan de+aur apni maa se milnevali seekh ko mat thukra.+
9 unki baatein tere sir par khoobsoorat taaj+aur tere gale ka keemti haar baneingi.+
10 hey mere bete, un paapiyon ki baaton mein na aana, jo tujhe fuslate hain+
11 aur kehte hain, “aa, hamare saath chal!
khoon karne ke liye hum ghaat lagayenge,chhipkar maansoomon par hamla kareinge.
12 unhein nigal jaayenge jaise kabraa zinda logon ko nigal jaati hai,haan, saabut nigal jaayenge.
13 unki saari keemti cheezen chheen leinge,loot ke maal se apna ghar bhar leinge.
14 hamare saath chal to sahi,chori ka maal hum barbar baant leinge.”*
15 hey mere bete, unke peechhe mat jaana,
unki raahon se door rehna.+
16 kyonki unke pair burai karne ko daudte hain,woh log khoon bahane ke liye furti karte hain.+
17 chidiya ki aankhon ke saamne jaal bichhana bekar hai,
18 iseeliye dusht, khoon karne ke liye ghaat lagate hainlogon ki jaan lene ke liye chhipkar baithte hain.
19 beimani ki kamai karnevale yahi raasta apnate hainaur is tarah woh apni jaan ganva baithte hain.+
20 sachchi buddhi+ sadkon par pukarti hai,+
chaurahon par uski aavaz goonjti hai,+
21 chahal-pehalvale nukkad par woh aavaz lagati hai,
shehar ke faatkon par kehti hai,+
22 “ae naadano, tum kab tak naadani se lipte rahoge?
ae khilli udanevalo, tum kab tak khilli udane ka maza loge?
ae moorkho, tum kab tak gyaan se nafrat karoge?+
23 meri daant sunkar sudhro,*+
tab mere sote tumhare liye fut padeingeaur main tumhein apni baatein bataungi.+
24 mainne baar-baar pukara par tumne sunnae se inkar kar diya,mainne haath se ishara kiya, magar kisi ne dhyan nahin diya,+
25 meri salah ko tum ansuna karte rahe,jab mainne daant lagakar tumhein sudhaarna chaha,to tumne ise thukra diya,
26 isliye jab vipatti tum par toot padegi to main hansoongi,jiska tumhein dar hai, jab woh tum par aa padega to main mazak udaungi.+
27 jab woh dar toofan ki tarah tum par chhaa jaayega,vipatti zordar aandhi ki tarah tum par toot padegi,sankat aur museebatein tumhein aa ghereingi, tab main hansoongi.
28 us vakt woh reh-rehkar mujhe pukareinge, magar main koi javab nahin doongi,mujhe yahaan-vahaan dhoondheinge magar main na miloongi+
29 kyonki unhonne gyaan se nafrat ki,+yahova ka dar maanna unhein raas nahin aaya.+
30 unhonne meri salah thukra di,jab-jab mainne daant lagayi, unhonne iski kadar nahin ki.
31 isliye woh apne kaamon ka fal paayenge,+apni saazishon ka poora-poora anjam bhugteinge.*
32 mujhse munh modkar naadan apni jaan ganva baithta hai,moorkhon ka befikra ravaiya unhein tabah kar deta hai.
33 lekin jo meri sunta hai woh bekhauf jeeyega,+use vipatti ka dar nahin satayega.”+
kai footnote
^ ya “aur nyay karne.”
^ ya “buddhi-bhari salah.”
^ ya “soch mein daalnevali kahavatein.”
^ ya “ke liye gehri shraddha.”
^ ya “hum sabki ek hi thaili (ya batua) hogi.”
^ ya “laut aao.”
^ ya “se agha jaayenge.”