neetivachan 16:1-33

  • yahova irade jaanchta hai (2)

  • apne kaam yahova ko saunp de (3)

  • sachche palde yahova ki taraf se hain (11)

  • vinash se pehale ghamand (18)

  • pake baal khoobsoorat taaj hain (31)

16  insan apne man ke vicharon ko taiyar to karta hai,magar woh jo javab deta hai, woh* yahova ki taraf se hota hai.+   insan ko apni sabhi raahein sahi* lagti hain,+lekin yahova iradon* ko jaanchta hai.+   tu jo kuch kare use yahova ko saunp de,+tab teri yojnayen safal hongi.   yahova har kaam is tarah karta hai ki uska maksad poora ho,usne dusht ko bhi vinash ke din ke liye iseeliye rakha hai.+   jiske man mein ghamand hai, woh yahova ki nazar mein ghinauna hai.+ yakeen rakh, woh bina saza paaye nahin rahega.   atal pyar aur vafadari se* paapon ka prayashchit hota hai+aur yahova ka dar maanne se insan burai se munh fer leta hai.+   jab yahova kisi insan ki raah se khush hota hai,tab woh uske dushmanon ko bhi uske saath shaanti se rehne deta hai.+   anyay karke ameer banne se achha hai,neki ki raah par chalkar kam mein guzara karna.+   ek aadmi apne man mein yojna to banata hai,lekin yahova hi uske kadmon ko raah dikhata hai.+ 10  raja ke honthon par parmeshvar ka faisla hona chahiye,+woh nyay karne se kabhi na chooke.+ 11  sachche tarazoo ke kaante aur palde yahova ke hain,thaili mein rakhe sabhi baat-patthar usi ki taraf se hain.+ 12  dusht kaamon se raajaon ko ghin hoti hai,+kyonki unki gaddi neki se kaayam rehti hai.+ 13  sachchi baatein raajaon ko khush karti hain, unhein woh log pasand hain jo seedhi-sachchi baat kehte hain.+ 14  raja ka krodh maut ka doot ban jaata hai,+lekin buddhiman uska krodh shaant karna* jaanta hai.+ 15  raja ke chehre ki chamak mein zindagi hai,uski meharbani vasant mein baraste baadal jaisi hai.+ 16  buddhi sona haasil karne se aur samajh chaandi haasil karne se kahin badhkar hai.+ 17  seedhe-sachche logon ki raah unhein burai se door rakhti hai, jo apni raah ki raksha karta hai, woh apni jaan bachata hai.+ 18  vinash se pehale ghamandaur thokar khaane se pehale ahankar hota hai.+ 19  ghamandiyon ke saath loot baantne se achha hai,deen logon ke beech namra bane rehna.+ 20  jo androoni samajh dikhata hai use kaamyabi milti haiaur jo yahova par bharosa rakhta hai woh sukhi hai. 21  jiske paas buddhi* hai, kaha jaayega ki usmein samajh hai+aur jo meethe* bol bolta hai woh kaayal kar paata hai.+ 22  jismein androoni samajh hai uske liye yah jeevan ka sota hai,magar moorkh ko apni moorkhta se hi saza milti hai. 23  buddhiman ka man use androoni samajh ki baatein kehne+aur doosron ko kaayal karne ke liye udhaarta hai. 24  manbhavni baatein chhatte ke shehad jaisi hoti hain,jo man ko* meethi lagti hain aur haddiyon ko durust karti hain.+ 25  aisa bhi raasta hai jo insan ko sahi lagta hai,magar aakhir mein woh use maut ki taraf le jaata hai.+ 26  ek mazdoor ka pet usse mehnat karvata hai,uski bhookh* use kaam karne par majboor kar deti hai.+ 27  nikamma aadmi khod-khodkar buri baatein poochhta hai,+uski zaban jhulsanevali aag jaisi hoti hai.+ 28  aag laganevala* jhagde karvata hai+aur badnam karnevala jigri doston mein fut daal deta hai.+ 29  khoonkhar aadmi apne padosi ko behkakaruse bure raaste par le jaata hai. 30  woh saazish rachte huye aankh maarta hai, bure kaam karte vakt muskurata hai.* 31  pake baal ek insan ka khoobsoorat* taaj hain,+basharte woh neki ki raah par chala ho.+ 32  krodh karne mein dheema insan,+ veer yoddha se achha haiaur apne gusse* par kaaboo rakhnevala, shehar jeetnevale se.+ 33  jholi mein chitthiyaan daali to jaati hain,+magar usse nikala har faisla yahova ki taraf se hota hai.+

kai footnote

ya “magar sahi javab.”
shaa., “pavitra.”
ya “man.”
ibrani paath ke mutabik yah parmeshvar ka atal pyar aur vafadari bhi ho sakti hai.
ya “uske krodh se bachna.”
shaa., “jo dil mein buddhiman.”
ya “man ko bhaanevale.”
ya “jo khaane par.”
shaa., “uska munh.”
ya “saazish rachnevala.”
shaa., “honth dabata hai.”
ya “shaandar.”
shaa., “man.”