neetivachan 18:1-24

  • khud ko alag karna moorkhta aur swarth hai (1)

  • yahova ka naam mazboot meenar hai (10)

  • daulat jhoothi hifazat hai (11)

  • donon pakshon ki sunnaa buddhimani hai (17)

  • dost bhaai se badhkar vafa nibhata hai (24)

18  khud ko doosron se alag karnevala apne swarth ke peechhe bhaagta haiaur aisi buddhi ko thukra deta* hai, jo use faayda pahuncha sakti hai.   moorkh ko samajh ki baatein achhi nahin lagtin,use to bas apne man ki kehna pasand hai.+   jahaan dusht hota hai vahaan tiraskar bhi hota haiaur apman ke saath-saath badnami bhi hoti hai.+   insan ke munh ki baatein gehre paani ki tarah hoti hain,+ buddhi ka sota nadi ki tarah umadta rehta hai.   dusht ka paksh lena sahi nahin+aur nek ko insaf na dena galat hai.+   moorkh ki baatein jhagde paida karti hain,+woh apni hi zaban ki vajah se pitta hai.+   moorkh ki zaban use tabah kar daalti hai,+uske honth uski jaan ke liye fanda ban jaate hain.   badnam karnevale ki baatein lazeez khaane ki tarah hoti hain,+jise nigalkar seedhe pet mein daala jaata hai.+   kaamchor aur tabahi machanevala,donon bhaai-bhaai hain.+ 10  yahova ka naam ek mazboot meenar hai,+ jismein bhaagkar nek jan hifazat paata hai.*+ 11  rais ki daulat uske liye kileband shehar hai,man-hi-man woh sochta hai yah sheharpanah use bachayegi.+ 12  vipatti se pehale man mein ghamand+aur aadar se pehale namrata hoti hai.+ 13  jo sunnae se pehale hi javab deta hai,woh moorkhta ka kaam karta hai aur apni beizzati karata hai.+ 14  insan ki himmat use beemari mein bhi sambhal sakti hai,+lekin kuchle huye man ko kaun sambhal sakta hai?+ 15  samajhdar apne man mein gyaan ki baatein bharta hai+aur buddhiman ke kaan gyaan ki baaton ki or lage rehte hain. 16  tohfa ek insan ke liye raasta khol deta hai+aur use bade-bade logon ke saamne le jaata hai. 17  jo mukadme mein pehale bolta hai, uski baatein sahi lagti hain,+magar jab doosra paksh saval-javab karta hai, tab hakeekat saamne aati hai.+ 18  chitthiyaan daalne se jhagda khatm ho jaata hai+aur do kattar virodhiyon ke beech faisla kiya jaata hai. 19  naaraz bhaai ko manana, mazboot shehar ko jeetne se kahin zyada mushkil hai+aur jhagde kile ke band darvaze* jaise hote hain.+ 20  insan apne munh ki baaton se apna pet bharta hai+aur apne honthon ki upaj se tript hota hai. 21  zindagi aur maut zaban ke bas mein hai,+ek insan jaisi baatein karna pasand karta hai, use vaisa hi fal milta hai.+ 22  jisne achhi patni paa li, usne kuch anmol paa liya+aur use yahova ki manzoori* milti hai.+ 23  gareeb madad ke liye gidgidata hai,magar rais use rukhai se javab deta hai. 24  aise bhi saathi hote hain, jo ek-doosre ko barbad karne ke liye taiyar rehte hain,+magar aisa bhi dost hota hai, jo bhaai se badhkar vafa nibhata hai.+

kai footnote

ya “ko tuchh samajhta.”
shaa., “ko uncha uthaya jaata hai,” yaani woh surakshit hai aur us tak koi nahin pahunch sakta.
shaa., “ke bede.”
ya “ki kripa.”