neetivachan 25:1-28

  • raaz ki baat mat khol (9)

  • soch-samajhkar kahe gaye shabd (11)

  • doosron ke ghar baar-baar mat jaa (17)

  • dushman ke sir par angaron ka dher lagana (21, 22)

  • achhi khabar thande paani jaisi hai (25)

25  ye bhi sulaiman ke neetivachan hain.+ yahooda ke raja hijkiyah+ ke aadmiyon ne inki nakaal taiyar ki thi:*   parmeshvar ki shaan ismein hai ki woh kisi baat ko raaz rakhe+aur raajaon ki shaan ismein hai ki woh maamle ki chhaanbeen karein.   jaise aakash ki unchai aur dharti ki gehrai jaanna naamumkin hai,vaise hi raajaon ke dil mein kya hai, yah jaanna mumkin nahin.   pighlayi hui chaandi se mail door kar,tab woh poori tarah shuddh ho jaayegi.+   raja ke saamne se dushton ko nikaal de,tab neki se uski raajgaddi kaayam rahegi.+   raja ke saamne apni badai mat kar,+na hi bade-bade logon ke beech jagah le,+   kisi rutbedar aadmi ke saamne raja tujhe beizzat kare, isse to achha hai ki woh khud tujhse kahe, “yahaan oopar aakaar baith.”+   apne padosi se mukadma ladne mein jaldbazee mat kar,agar usne tujhe galat saabit kar diya, tab tu kya karega?+   apne padosi ke saamne apne mukadme ki pairvi kar,+lekin jo raaz ki baat tujhe batayi gayi hai, use mat khol,*+ 10  kahin tu koi jhoothi baat* na faila de, jise vaapas na liya jaa sakeaur sunnaevala tujhe sharminda kare. 11  jaise chaandi ki nakkasheedar tokri mein sone ke seb,vaise hi sahi vakt par kahi gayi baat hoti hai.+ 12  jaise sone ki baali aur badhiya sone ke zevar achhe lagte hain,vaise hi buddhiman ki daant us kaan ko achhi lagti hai jo use sunta hai.+ 13  jaise katai ke vakt barf ka thanda paani taro-taaza karta hai,vaise hi vishvasyogya doot apne maalik ko taazgi pahunchata hai.+ 14  jo aadmi tohfa dene ki shekhi maarta hai par deta nahin,*woh us hava aur baadal ki tarah hai jo baarish nahin laate.+ 15  sabraa se kaam lekar senapati ko kaayal kiya jaa sakta hai,komal baatein haddi ko bhi tod deti hain.+ 16  agar tujhe shehad mile to utna hi khaa jitna tujhe chahiye,kyonki zyada khaane se tu ulti kar dega.+ 17  kisi ke ghar baar-baar mat jaa,kahin woh tang aakaar tujhse nafrat na karne lage. 18  jo aadmi apne padosi ke khilaf jhoothi gavahi deta hai,woh yuddh ke latth, talvar aur nukeele teer jaisa hai.+ 19  jo bharose ke laayak nahin hota,*us par museebat ke vakt aas lagana,toote daant ya langdate pair par aas lagane jaisa hai. 20  udas manvale ko gaana sunana aisa hai,maano thand mein kapde utaarnaaur khaar* par sirka daalna.+ 21  agar tera dushman bhookha ho to use roti khila,agar woh pyasa ho to use paani pila,+ 22  tab tu uske sir par angaron ka dher lagayega*+aur yahova tujhe iska inam dega. 23  uttar se aanevali hava moosladhar baarish laati haiaur gappe ladanevale ki zaban chehre par krodh laati hai.+ 24  jhagdaloo* patni ke saath ghar mein rehne se achha hai,chhat par akele ek kone mein rehna.+ 25  jaise thake-maande ke liye thanda paani,vaise hi door desh se aayi achhi khabar hoti hai.+ 26  nek insan jab dusht se samjhauta kar leta hai,to woh matmaile paani ke sote aur gande kuyen jaisa ban jaata hai. 27  zyada shehad khaana achha nahin,+na hi apni vaah-vaahi karvana aadar ki baat hai.+ 28  jo apne gusse par kaaboo nahin rakh sakta,woh us shehar ki tarah hai jiski sheharpanah tooti padi hai.+

kai footnote

ya “inhein ikattha kiya aur inki nakaal taiyar ki thi.”
ya “doosron ke raaz mat khol.”
ya “tu doosron ko badnam karne ke liye afvah.”
shaa., “jo jhooth-mooth ka tohfa dene ki shekhi maarta hai.”
ya shaayad, “jo dhokhebaz hai.”
ya “soda.”
yaani uske sakht dil ko pighlana aur uska gussa shaant karna.
ya “jaan khaanevali.”