nirgaman 13:1-22
13 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
2 “israeliyon ke har pehalauthe ko mere liye alag thehrana.* insanon ke sabhi pehalauthe ladke aur jaanvaron ke sabhi nar pehalauthe mere hain.”+
3 tab moosa ne logon se kaha, “yah din tum yaad rakhna, kyonki aaj ke din tum gulami ke ghar misra se baahar nikaal aaye ho+ aur yahova ne apne shaktishali haath se tumhein vahaan se aazad kiya hai.+ isliye tum aisi koi bhi cheez na khaana jismein khameer mila ho.
4 is aabib* maheene mein aaj ke din tum yahaan se jaa rahe ho.+
5 yahova ne jaise tumhare purkhon se shapath khaakaar kaha tha,+ woh tumhein kanaani, hitti, emori, hivvi aur yaboosi+ logon ke desh mein le jaayega jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain.+ vahaan tum is maheene yah tyohar manaya karna:
6 saat din tumhein bin-khameer ki roti khaani hai+ aur saatvein din yahova ke liye ek tyohar hoga.
7 in saat dinon tak tumhein bin-khameer ki roti khaani hogi+ aur is dauran tumhare paas aisi koi bhi cheez na paayi jaaye jismein khameer mila ho.+ tumhare poore ilake mein kahin bhi khameera aata na paaya jaaye.
8 us din tum apne-apne bete ko batana, ‘jab main misra se nikala tha, tab yahova ne meri khaatir jo kiya usi ki yaad mein yah tyohar manaya jaata hai.’+
9 is tyohar se tumhare dilo-dimag mein us chhutkare ki yaad taaza bani rahegi, maano uske baare mein tumhare haath aur maathe par* likha ho.+ aur tum yahova ke kaanoon ke baare mein charcha karoge, kyonki yahova ne apne shaktishali haath se tumhein misra se baahar nikaala.
10 tum yah niyam har saal tay vakt par zaroor maana karna.+
11 jab yahova tumhein kanaaniyon ke desh mein le jaayega jiske baare mein usne tumse aur tumhare purkhon se shapath khaakaar kaha tha ki woh yah desh tumhein dega,+
12 tab tummein se har parivar ko chahiye ki woh apna pehalautha yahova ko dene ke liye alag thehraye. aur apne jhund ke har jaanvar ka nar pehalautha bhi parmeshvar ko dene ke liye alag thehraye. insan aur jaanvar, sabke pehalauthe yahova ke hain.+
13 tum gadhon mein se har pehalauthe ko chhudane ke liye ek bhed dena. agar tum gadhe ke pehalauthe ko nahin chhudate to uska gala kaatkar use maar daalna. aur tumhein apne sabhi pehalauthe beton ko chhudana hoga.+
14 agar bhavishya mein kabhi tumhare bete tumse poochhein, ‘hum aisa kyon karte hain?’ to tum unse kehna, ‘yahova ne apne shaktishali haath se hamein gulami ke ghar, misra se baahar nikaala tha.+
15 vahaan ka firaun bahot dheeth tha, usne hamein chhodne se saaf inkar kar diya tha.+ isliye yahova ne misriyon ke sabhi pehalauthon ko, insanon ke pehalauthon se lekar jaanvaron ke pehalauthon tak ko maar daala.+ yahi vajah hai ki hum apne sabhi jaanvaron ke nar pehalauthon ko yahova ke liye bali chadhate hain aur apne sabhi pehalauthe beton ko daam dekar chhudate hain.’
16 yah tyohar tumhare liye haath par lagaye chinh aur maathe par* patti jaisa ho,+ kyonki yahova ne apne shaktishali haath se hamein misra se baahar nikaala hai.”
17 jab firaun ne israeliyon ko jaane diya, to parmeshvar unhein us raaste se nahin le gaya jo palishtiyon ke desh se hokar guzarta hai, iske baavjood ki woh raasta chhota padta. parmeshvar ne kaha, “agar log us raaste jaayenge, to unhein vahaan ke logon se ladna padega. tab ho sakta hai ki woh pachhtane lagein aur misra lautne ka faisla kar lein.”
18 isliye parmeshvar unhein us lambe raaste se le gaya jo laal saagar ke paasvale veerane se hokar jaata hai.+ aur jab israeli misra se nikle to woh sena-dalon ki tarah ek achhe intazam ke mutabik nikle.
19 moosa ne apne saath yoosuf ki haddiyaan bhi lin kyonki yoosuf ne israel ke beton ko shapath dilakar unse kaha tha: “parmeshvar zaroor tum logon par dhyan dega, isliye yahaan se jaate vakt tum meri haddiyaan apne saath le jaana.”+
20 fir israeli sukkot se ravana huye aur unhonne veerane ke chhor par itam naam ki jagah dera daala.
21 yahova unke aage-aage chalkar unhein raasta dikhata raha. woh din ke vakt baadal ke khambhe se unhein raasta dikhata+ aur raat ke vakt aag ke khambhe se unhein ujala deta tha, isliye woh din aur raat donon samay safar kar sake.+
22 din ke vakt baadal ka khambha aur raat ke vakt aag ka khambha logon ke saath-saath raha, unse kabhi door nahin gaya.+
kai footnote
^ ya “pavitra maanna.”
^ shaa., “tumhari aankhon ke beech.”
^ shaa., “tumhari aankhon ke beech.”