nirgaman 19:1-25
19 misra se nikaalne ke teesre maheene mein israeli seenai veerane pahunche.
2 usi din unhonne rapeedeem+ se apna padav uthaya aur seenai veerane mein aakaar apna padav daala. israel ne vahaan pahad ke saamne dera daala.+
3 fir moosa oopar pahad par sachche parmeshvar ke paas gaya.+ pahad par se yahova ne moosa se kaha, “tu yakub ke gharane se, israeliyon se kehna:
4 ‘tumne khud apni aankhon se dekha hai ki mainne misriyon ke saath kya kiya+ taaki tumhein apne paas le aaun, jaise ukab apne choozon ko pankhon par chadhakar le jaata hai.+
5 ab agar tum sakhti se meri aagya ka paalan karoge aur mera karar maanoge, to sab deshon mein se tum meri khaas jaageer* ban jaaoge,+ kyonki main hi poori dharti ka maalik hoon.+
6 tum mere liye yaajkon se bana raaj aur ek pavitra raashtra ban jaaoge.’+ tu jaakaar israeliyon se ye saari baatein kehna.”
7 moosa ne jaakaar logon ke mukhiyaon ko bulaya aur unhein woh saari baatein batayin jinki aagya yahova ne use di thi.+
8 iske baad saare logon ne ekmat hokar javab diya, “yahova ne jo-jo kaha hai, woh sab karna hamein manzoor hai.”+ moosa ne fauran jaakaar logon ki yah baat yahova ko batayi.
9 yahova ne moosa se kaha, “dekh! main ek kaale baadal mein tere paas aaunga taaki jab main tujhse baat karoon to log sun sakein aur sada tujh par bhi vishvas karein.” fir moosa ne yahova ko bataya ki logon ne kya kaha.
10 fir yahova ne moosa se kaha, “tu logon ke paas jaa aur unhein aaj aur kal ke din pavitra thehra aur woh apne kapde zaroor dhoyen.
11 woh teesre din ke liye taiyar rahein kyonki us din yahova sab logon ke saamne seenai pahad par utrega.
12 tujhe pahad ke chaaron taraf logon ke liye had tay karni hogi aur unhein yah batana hoga, ‘dhyan rakho, tummein se koi bhi pahad ke oopar na jaaye, na hi us par kadam rakhe. agar kisi ne pahad par kadam rakha to use zaroor maar daala jaayega.
13 us gunahgar ko koi bhi haath se na chhuye balki use pattharon se ya bhedkar* maar daala jaaye. chahe woh insan ho ya jaanvar, use zinda nahin chhoda jaayega.’+ magar jab narsinge ki aavaz sunayi padegi+ tab log pahad ke paas aa sakte hain.”
14 fir moosa pahad se utaarkar logon ke paas gaya. woh unhein pavitra thehrane laga aur unhonne apne kapde dhoye.+
15 moosa ne logon se kaha, “tum sab teesre din ke liye taiyar ho jaao. tummein se koi bhi yaun-sambandh na rakhe.”*
16 teesre din subah tez garjan hone laga aur bijli chamakne lagi. pahad par ek ghana baadal+ dikhayi diya aur narsinge ki zordar aavaz sunayi di. chhaavni mein sab log dar ke maare thartharane lage.+
17 fir moosa logon ko sachche parmeshvar se milane ke liye chhaavni se baahar le aaya aur woh sab pahad ke neeche khade huye.
18 seenai pahad dhuyen se dhak gaya kyonki yahova aag mein us par utra tha.+ aisa dhuaan uth raha tha jaise bhatthe mein se uthta hai aur poora pahad buri tarah kaanpne laga.+
19 narsinge ki aavaz tez hoti gayi aur moosa ne sachche parmeshvar se baat ki aur parmeshvar ki aavaz ne use javab diya.
20 is tarah yahova seenai pahad ki choti par utra. fir yahova ne moosa ko pahad ki choti par aane ke liye kaha aur moosa vahaan gaya.+
21 tab yahova ne moosa se kaha, “tu neeche jaa aur logon ko khabardar kar ki woh yahova ko dekhne ke liye, tay ki gayi had paar karne ki koshish na karein, varna bahot-se log naash ho jaayenge.
22 aur yaajak bhi, jo yahova ke paas aaya karte hain, khud ko pavitra thehrayen taaki yahova unhein maar na daale.”*+
23 moosa ne yahova se kaha, “log seenai pahad par nahin aayenge kyonki toone pehale hi hamein mana kiya tha aur mujhse kaha tha, ‘pahad ke chaaron taraf had tay karna aur use pavitra thehrana.’”+
24 fir bhi yahova ne usse kaha, “tu neeche jaa aur apne saath haaroon ko lekar vaapas oopar aa. magar yaajkon aur logon se kehna ki woh tay ki gayi had paar karke yahova ke paas aane ki koshish na karein taaki aisa na ho ki woh unhein maar daale.”+
25 fir moosa pahad se utaarkar logon ke paas gaya aur unhein yah sab bataya.
kai footnote
^ ya “anmol jaaydad.”
^ shaayad teer se bhedkar.
^ shaa., “kisi aurat ke paas na jaaye.”
^ shaa., “un par toot na pade.”