nirgaman 2:1-25
2 unhin dinon levi gotra ke ek aadmi ne apne gotra ki ek ladki se shaadi ki.+
2 fir us aadmi ki patni garbhvati hui aur usne ek bete ko janm diya. jab us aurat ne dekha ki uska bachcha bahot sundar hai to usne teen maheene tak use chhipaye rakha.+
3 magar iske baad woh bachche ko aur chhipa na saki,+ isliye usne sarkande se bani ek tokri* li aur us par daamar lagaya. fir usne bachche ko tokri mein rakha aur tokri neel nadi ke kinare, narkaton ke beech rakh di.
4 bachche ki behen+ yah dekhne ke liye door khadi rahi ki uske saath kya hoga.
5 firaun ki beti neel nadi mein nahane aayi aur uske saath uski sevikayen bhi aayin aur nadi kinare tahalne lagin. achanak firaun ki beti ki nazar us tokri par padi jo narkaton ke beech rakhi hui thi. usne fauran apni daasi se kaha ki woh jaakaar tokri le aaye.+
6 jab firaun ki beti ne tokri kholi to dekha ki usmein ek bachcha hai jo ro raha hai. use ladke par taras aaya magar fir usne kaha, “yah to kisi ibri ka bachcha hai.”
7 tab bachche ki behen ne aakaar firaun ki beti se kaha, “kya main jaakaar tere liye kisi ibri aurat ko bula laaun taaki woh bachche ko doodh pilaye aur uski dekhbhal kare?”
8 firaun ki beti ne kaha, “jaa, le aa.” ladki turant gayi aur bachche ki maa ko bula laayi.+
9 firaun ki beti ne us aurat se kaha, “tu yah bachcha apne paas rakh aur ise doodh pilakar iski dekhbhal kar. main tujhe iski mazdoori doongi.” woh aurat bachche ko le gayi aur doodh pilakar uski dekhbhal karne lagi.
10 jab bachcha thoda bada hua to woh use firaun ki beti ke paas laayi. firaun ki beti ne use god liya+ aur yah kehkar uska naam moosa* rakha, “main ise paani mein se nikaal laayi thi.”+
11 jab moosa bada hua* to ek din woh apne ibri bhaaiyon ko dekhne gaya ki unhein kaisi kadi mazdoori karni pad rahi hai.+ tabhi usne dekha ki uske ek ibri bhaai ko ek misri aadmi bahot maar raha hai.
12 fir moosa ne idhar-udhaar dekha aur jab use koi nazar nahin aaya to usne us misri ko maar daala aur uski laash ret mein chhipa di.+
13 moosa agle din bhi baahar gaya, magar us din usne dekha ki do ibri aadmi aapas mein lad rahe hain. tab unmein se jo gunahgar tha, usse moosa ne kaha, “tu apne bhaai ko kyon maar raha hai?”+
14 us aadmi ne kaha, “tujhe kisne hamara adhikari aur nyayi thehraya hai? kya tu mujhe bhi maar daalega, jaise us misri ko maar daala tha?”+ yah sunkar moosa dar gaya aur man-hi-man kehne laga, “zaroor yah baat sabko pata chal gayi hai!”
15 firaun ko bhi iska pata chal gaya aur woh moosa ko maar daalne ki koshish karne laga. magar moosa firaun ke yahaan se bhaag gaya aur midyan+ desh mein rehne chala gaya. jab woh vahaan pahuncha to ek kuyen ke paas baith gaya.
16 midyan mein ek yaajak tha+ jiski saat betiyaan thi. woh apne pita ki bhed-bakriyon ko paani pilane kuyen ke paas aayin. woh apne jaanvaron ke liye paani khinchkar haudiyon mein bharna chahti thi.
17 magar kuch charvahe vahaan aaye aur unhonne hamesha ki tarah unhein bhaga diya. jab moosa ne yah dekha to usne jaakaar ladkiyon ki madad ki* aur unke jaanvaron ko paani pilaya.
18 fir jab ladkiyaan ghar lautin to unke pita rooel*+ ne badi hairat se poochha, “aaj tum itni jaldi kaise aa gayin?”
19 unhonne kaha, “ek misri aadmi+ ne hamein charvahon se bachaya, yahaan tak ki usne paani nikaalkar hamare jaanvaron ko pilaya.”
20 unke pita ne unse kaha, “kahaan hai woh aadmi? tum use apne saath ghar kyon nahin laayin? jaao jaakaar use bula laao taaki woh hamare saath khaana khaaye.”
21 iske baad moosa us aadmi ke kehne par uske saath rehne ke liye raazee ho gaya. aur us aadmi ne apni beti sippora+ se uski shaadi karayi.
22 baad mein sippora se moosa ke ek beta hua jiska naam usne gershom*+ rakha kyonki usne kaha, “main pardes mein rehnevala pardesi ban gaya hoon.”+
23 kai saalon* baad misra ka raja mar gaya,+ magar israeli ab bhi gulam the aur un par itne zulm dhaaye jaate the ki woh aahein bhar-bharkar jeete the. woh madad ke liye din-raat sachche parmeshvar se fariyad karte aur uski duhai dete the.+
24 vakt aane par parmeshvar ne unka karahna suna+ aur apna woh karar yaad kiya jo usne abraham, ishaak aur yakub ke saath kiya tha.+
25 parmeshvar ne israeliyon ki haalaat dekhi aur un par dhyan diya.
kai footnote
^ ya “sandook; peti.”
^ matlab “nikaala gaya,” yaani paani mein se bachaya gaya.
^ ya “taakatvar ho raha tha.”
^ ya “ka bachav kiya.”
^ yaani yitro.
^ matlab “vahaan rehnevala ek pardesi.”
^ shaa., “bahot dinon.”