nirgaman 23:1-33
23 tum aisi koi khabar na failana jo sach nahin hai.+ jab koi dusht kisi ka bura karne ke irade se tumhein uske khilaf gavahi dene ko kehta hai, to tum uska saath mat dena.+
2 tum bheed ke peechhe jaakaar koi bura kaam mat karna. tum kisi maamle mein gavahi dete vakt bheed ke saath mat ho lena* kyonki isse anyay ho sakta hai.
3 tum kisi gareeb ke jhagde mein pakshpat na karna.+
4 agar tum apne dushman ke khoye huye bail ya gadhe ko kahin bhatakta hua dekho to use laakaar uske maalik ko saunp dena.+
5 agar tum dekhte ho ki tumse nafrat karnevale kisi aadmi ka gadha bojh tale daba hua hai, to tum aankhein ferkar vahaan se chale mat jaana. tum us aadmi ki madad karna taaki woh apne jaanvar ko bojh se chhuda sake.+
6 tum apne beech rehnevale kisi gareeb ke mukadme ki sunvai karte vakt galat faisla sunakar anyay mat karna.+
7 tum jhoothe ilzam se door rehna. kisi begunah aur nek insan ko maar na daalna kyonki aisa dusht kaam karnevale ko main hargiz nirdosh nahin thehraunga.*+
8 tum rishvat na lena kyonki rishvat samajh-boojhvale insanon ko bhi andha kar deti hai aur nek logon se bhi jhooth bulvati hai.+
9 tum apne yahaan rehnevale kisi pardesi par zulm na dhaana. tum jaante ho ki ek pardesi ki zindagi kya hoti hai kyonki ek vakt par tum bhi misra mein pardesi hua karte the.+
10 tum apni zameen par chhe saal kheti karna aur uski fasal kaatna.+
11 magar saatvein saal zameen par koi jutai-boaaee na karna, use parti chhod dena. tab usmein jo bhi ugega use tumhare beech rehnevale gareeb khaayenge aur uske baad jo bachega use maidan ke jangli jaanvar khaayenge. tum apne angooron ke baag aur jaitoon ke baag ke saath bhi yahi karna.
12 tum chhe din apna kaam-kaaj karna, magar saatvein din vishram karna taaki tumhare bail aur gadhe ko aaram mile aur tumhari daasi ka beta aur tumhare beech rehnevala pardesi vishram karke taro-taaza ho jaaye.+
13 mainne tumhein jo-jo bataya hai, woh sab tum bina chooke karna.+ tum doosre devtaon ka naam mat pukarna, unka naam tumhari zaban* par kabhi na aaye.+
14 saal mein teen baar tum mere liye ek tyohar manana.+
15 tum bin-khameer ki roti ka tyohar manana.+ tum saat din tak bin-khameer ki roti khaana, jaise mainne tumhein aagya di thi. tum yah tyohar aabib* maheene mein tay vakt par manana,+ kyonki usi vakt tum misra se baahar aaye the. koi bhi mere saamne khaali haath na aaye.+
16 iske alava, tumhein katai ka tyohar* manana hai, jab tumhein apni mehnat se ugayi fasal ka pehala fal milega.+ aur saal ke aakhir mein batorne ka tyohar* manana, jab tum kheton se apni mehnat ka fal batorkar ikattha karoge.+
17 saal mein teen baar sabhi aadmi sachche prabhu yahova ke saamne haazir hon.+
18 tum mere bali-pashu ke khoon ke saath koi khameeri cheez mat chadhana. mere tyoharon mein charbi ki jo bali chadhayi jaati hai, use agli subah tak na rehne diya jaaye.
19 tum apni zameen ki pehali upaj mein se sabse badhiya fal apne parmeshvar yahova ke bhavan mein laakaar dena.+
tum bakri ke bachche ko uski maa ke doodh mein mat ubaalna.+
20 main ek swargdoot ko tumhare aage-aage bhejoonga+ taaki raaste mein woh tumhari hifazat kare aur tumhein us jagah pahunchaye jo mainne tumhare liye taiyar ki hai.+
21 tum uski baat dhyan se sunnaa aur uski aagya maanna. woh mere naam se tumhare paas aata hai isliye uske khilaf kabhi bagavat mat karna. woh tumhare apradh maaf nahin karega.+
22 lekin agar tum uski baat sakhti se maanoge aur woh sab karoge jo main tumse kehta hoon, to main tumhare dushmanon ka saamna karoonga aur jo tumhara virodh karte hain unka virodh karoonga.
23 mera swargdoot tumhare aage-aage jaayega aur tumhein us desh mein pahunchayega jahaan emori, hitti, parijji, kanaani, hivvi aur yaboosi log rehte hain. main un sabko mita doonga.+
24 tum unke devtaon ke aage jhukkar unhein dandvat mat karna aur unki pooja karne ke liye bahak mat jaana. tum vahaan ke logon ke taur-tareeke mat apnana.+ iske bajay, tum unki moortein dhaa dena aur unke pooja-stambh choor-choor kar dena.+
25 tum apne parmeshvar yahova ki seva karna+ aur woh tumhein aasheesh dega jisse tumhein roti aur paani ki koi kami nahin hogi.+ main tumhare beech se beemariyaan door kar doonga.+
26 tumhare desh ki aurton ka garbh nahin girega aur na hi woh baanjh hongi.+ main tumhein ek lambee zindagi doonga.*
27 tumhare vahaan pahunchne se pehale, main vahaan ke logon mein apna dar faila doonga.+ jin logon se tumhara saamna hoga unke beech main khalbali macha doonga aur tumhare sabhi dushmanon ko aisa hara doonga ki woh tumhare saamne se bhaag khade honge.*+
28 tumhare vahaan pahunchne se pehale hi main vahaan ke hivvi, kanaani aur hitti logon ka hausla tod doonga*+ aur woh tumhare saamne se bhaag jaayenge.+
29 main un sabko ek hi saal ke andar nahin bhagaunga taaki desh jangal aur veeran na ho jaaye aur jangli jaanvaron se na bhar jaaye jisse tumhein khatra ho sakta hai.+
30 main unhein tab tak thoda-thoda karke bhagata rahoonga jab tak ki tumhari ginti badh na jaaye aur poore desh ko tum apne kabze mein na kar lo.+
31 main laal saagar se palishtiyon ke saagar tak aur veerane se mahanadi* tak tumhare liye sarhad thehraunga.+ main us desh ke nivasiyon ko tumhare haath mein kar doonga aur tum unhein apne saamne se khaded doge.+
32 tum na to unke saath aur na unke devtaon ke saath koi karar karna.+
33 tum unhein apne desh mein kahin rehne na dena taaki woh tumse mere khilaf koi paap na karvayen. agar tum unke devtaon ki pooja karoge to yah zaroor tumhare liye ek fanda ban jaayega.”+
kai footnote
^ ya “sab jo bayan dete hain woh mat dena.”
^ ya “ilzam se bari nahin karoonga.”
^ shaa., “munh.”
^ yah pintekust bhi kehlata hai.
^ yah chhapparon (ya deron) ka tyohar bhi kehlata hai.
^ ya “poori umra jeene doonga.”
^ ya “tumhare sabhi dushmanon ko peeth dikhakar bhaagne par majboor karoonga.”
^ ya shaayad, “mein dar; aatank faila doonga.”
^ yaani farat nadi.