nirgaman 28:1-43

  • yaajak ki poshak (1-5)

  • epod (6-14)

  • seenaband (15-30)

    • ooreem aur tummeem (30)

  • bin-aasteen ka baaga (31-35)

  • pagdi aur us par sone ki patti (36-39)

  • yaajkon ki doosri poshak (40-43)

28  tu israeliyon mein se apne bhaai haaroon+ ko aur uske bete+ naadab, abeehoo,+ eliazar aur itamar+ ko mere saamne haazir hone ka aadesh dena taaki woh yaajkon ke naate meri seva karein.+  tu apne bhaai haaroon ke liye aisi pavitra poshak banana jo use garima de aur uski shobha badhaye.+  yah poshak taiyar karne ke liye tu un sab kushal kaareegaron* se baat karna jinhein mainne bharpoor buddhi di hai.+ woh haaroon ke liye aisi poshak banayenge jisse pehchan ho ki use yaajak ke naate meri seva karne ke liye pavitra thehraya gaya hai.  kaareegar ye sab banayenge: ek seenaband,+ ek epod,+ bin aasteen ka ek baaga,+ ek chaarkhanedar kurta, ek pagdi+ aur ek kamar-patti.+ woh tere bhaai haaroon aur uske vanshajon ke liye yah pavitra poshak banayen taaki woh yaajkon ke naate meri seva karein.  kushal kaareegar ise sone, neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur badhiya malmal se banayenge.  woh epod ko sone, neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur bate huye badhiya malmal se banayen. us par kadhai ka kaam hona chahiye.+  epod ke kandhe ke donon hisson ko oopar is tarah jodna chahiye ki unke oopri sire aapas mein jude rahein.  epod mein ek buna hua kamarband+ laga hona chahiye taaki epod ko kaskar baandha jaa sake. kamarband bhi in cheezon se banaya jaaye: sona, neela dhaaga, bainjni oon, surkh laal dhaaga aur bata hua badhiya malmal.  tu do sulemani patthar+ lena aur un par israel ke beton ke naam khodna.+ 10  unki umra ke mutabik kram se ek patthar par chhe ke naam aur doosre par baaki chhe ke naam khodna. 11  pattharon par khudai karnevala kaareegar donon pattharon par israel ke beton ke naam is tarah khodkar likhega jaise muhar par khudai ki jaati hai.+ fir un pattharon ko sone ke khaanchon mein jadna. 12  tu donon pattharon ko epod ke kandhe ke hisson par lagana taaki ye israel ke beton ke liye yaadgar ke patthar ban jaayen.+ ye naam jo yaadgar ke liye likhe gaye hain, inhein haaroon apne donon kandhon par dhaaran kiye yahova ke saamne haazir hua karega. 13  tu sone ke khaanche banana 14  aur shuddh sone ki do zanjeerein banana jo ek dori ki tarah bati hon.+ in zanjeeron ko khaanchon se jod dena.+ 15  tu kadhai ka kaam karnevale se nyay ka seenaband+ banvana. ise bhi epod ki tarah in cheezon se banvana: sona, neela dhaaga, bainjni oon, surkh laal dhaaga aur bata hua badhiya malmal.+ 16  seenaband aisa ho ki beech se modne par chaukor ho jaaye, ek bitta* lamba aur ek bitta chauda. 17  ismein chaar kataaron mein ratna lagana jo khaanchon mein bithaye gaye hon. pehali kataar mein maanik, pukhraj aur panna hon. 18  doosri kataar mein firoza, neelam aur yashab. 19  teesri kataar mein lasham,* hakeek aur kataila. 20  chauthi kataar mein karketak, sulemani aur margaj. in ratnon ko sone ke khaanchon mein bithana. 21  in 12 ratnon par israel ke 12 beton ke naam hone chahiye. ye naam aise khudvana jaise muhar par khudai ki jaati hai. har ratna par ek bete ka naam hoga jo ek gotra ko darshayega. 22  tu seeneband ke liye shuddh sone ki bati hui zanjeerein banana jo dikhne mein doriyon jaisi lagein.+ 23  tu seeneband ke liye sone ke do chhalle banana aur unhein seeneband ke do konon par lagana. 24  sone ki donon doriyon ko seeneband ke konon par lage chhallon mein daalna. 25  do doriyon ke do chhor do khaanchon ke andar se nikaalkar unhein epod ke kandhe ke hisson par, saamne ki taraf lagana. 26  tu sone ke do chhalle banana aur unhein seeneband ke nichle do konon par andar ki taraf lagana, yaani seeneband ke us hisse mein jo epod ki taraf hai.+ 27  tu sone ke do aur chhalle banana aur unhein epod ke saamne ki taraf, kandhe ke hisson ke neeche, jahaan woh judta hai yaani bune huye kamarband+ ke theek oopar lagana. 28  fir ek neeli dori se seeneband ke chhallon ko epod ke chhallon se jod dena. isse seenaband epod mein kamarband ke oopar apni jagah par bana rahega. 29  haaroon jab bhi dere ke pavitra bhaag mein jaayega to use apni chhaati par nyay ka seenaband pehne aur us par hamesha ki yaadgar ke liye darz israel ke beton ke naam dhaaran kiye huye yahova ke saamne haazir hona chahiye. 30  tu nyay ke seeneband mein ooreem aur tummeem*+ rakhna aur jab bhi haaroon yahova ke saamne aaye to ye uske dil par hon. haaroon jab bhi israeliyon ki khaatir yahova ke faisle jaanne ke liye uske saamne haazir hoga to uske dil par parmeshvar ke faisle jaanne ka yah zariya ho. 31  epod ke neeche pehanne ke liye ek bin aasteen ka baaga banana. yah baaga sirf neele dhaage se banana.+ 32  baage mein oopar gala* banana aur uske chaaron taraf ek julahe se kinara banvana. yah kinara bakhtar ke gale ke kinare jaisa mazboot hona chahiye taaki fat na jaaye. 33  baage ke neeche ke ghere mein anar ke aakaar mein fundne banana. inhein neele dhaage, bainjni oon aur surkh laal dhaage se banana. anaron ke beech-beech mein sone ki ghantiyaan lagana. 34  sone ki ek ghanti ke baad ek anar, fir ek ghanti fir ek anar. is tarah bin aasteen ke baage ke poore ghere mein anar aur ghantiyaan lagana. 35  haaroon ko yah baaga pehankar hi seva karni chahiye taaki jab bhi woh pavitra-sthan mein yahova ke saamne jaaye aur vahaan se baahar nikle to ghantiyon ki aavaz sunayi de, varna woh mar jaayega.+ 36  tu shuddh sone ki ek chamchamati patti banana aur us par ye shabd khudvana, ‘yahova pavitra hai.’ ye usi tarah khudvana jaise muhar par khudai ki jaati hai.+ 37  is patti ko ek neeli dori se pagdi par baandhna.+ yah patti hamesha pagdi par saamne ki taraf lagi honi chahiye. 38  yah haaroon ke maathe par nazar aayegi. jab koi un pavitra cheezon ke khilaf paap karta hai jinhein israeli pavitra bheint ke taur par alag karke arpit karte hain, to iske liye haaroon zimmedar hoga.+ yah patti haaroon ke maathe par hamesha honi chahiye taaki log yahova ki manzoori paa sakein. 39  tu badhiya malmal se chaarkhane ka ek kurta bunna aur use baandhne ke liye ek buni hui kamar-patti banana. aur badhiya malmal ki ek pagdi bhi banana.+ 40  tu haaroon ke beton ke liye bhi kurte, kamar-pattiyaan aur saafa banana+ jo unki garima aur shobha badhaye.+ 41  tu apne bhaai haaroon aur uske beton ko ye poshakein pehankar unka abhishek karna,+ unhein yaajakpad saunpna*+ aur is seva ke liye alag thehrana. fir woh yaajkon ke naate meri seva kareinge. 42  tu unke liye malmal ke jaanghiye bhi banana taaki unka nangapan* dhaka rahe.+ ye jaanghiye kamar se jaangh tak lambe hone chahiye. 43  haaroon aur uske bete jab bhi bheint ke tamboo mein ya pavitra-sthan ki vedi par seva karne aayenge to woh ye jaanghiye pehne huye hon taaki aisa na ho ki woh doshi paaye jaayen aur maar daale jaayen. yah haaroon aur uske vanshajon ke liye sada ka niyam hai.

kai footnote

shaa., “dil se buddhiman logon.”
kareeb 22.2 c.m. (8.75 inch). ati. kh14 dekhein.
is ratna ke baare mein koi sahi jaankari nahin hai. yah keharuva, dhoomrakant, upal ya turmalee ho sakta hai.
shabdavli dekhein.
ya “sir daalne ke liye chhed.”
shaa., “unke haath bhar dena.”
ya “unke gupt ang.”