nirgaman 30:1-38

  • dhoop ki vedi (1-10)

  • logon ki ginti; firauti ki keemat (11-16)

  • haath-pair dhone ke liye tambe ka haud (17-21)

  • abhishek ke tel ka khaas mishran (22-33)

  • pavitra dhoop ka mishran (34-38)

30  tu dhoop jalane ke liye ek vedi banana.+ ise babool ki lakdi se taiyar karna.+  vedi chaukor honi chahiye, lambai ek haath,* chaudai ek haath aur unchai do haath honi chahiye. vedi ke konon ko ubhra hua banakar sing ka aakaar dena.+  poori vedi ko yaani uske oopri hisse, uske baazuon aur singon ko shuddh sone se madhna. aur vedi par chaaron taraf sone ka ek nakkasheedar kinara banana.  vedi par aamne-saamne donon baazuon mein, nakkasheedar kinare ke neeche sone ke do-do kade lagvana. in kadon mein woh dande daale jaayenge jinke sahare vedi uthayi jaayegi.  ye dande babool ki lakdi se banana aur un par sona madhna.  tu vedi ko gavahi ke sandook ke paasvale parde ke pehale,+ haan, us sandook ke dhakne ke aage rakhna. vahin main tere saamne prakat hounga.+  haaroon+ jab har din subah deeye theek karega,+ to vedi par sugandhit dhoop jalayega+ taaki vedi se dhuaan uthe.+  jab woh shaam ke jhutpute ke samay* deeye jalayega tab bhi vedi par dhoop jalayega. yah yahova ke saamne niyamit taur par chadhaya jaanevala dhoop ka chadhava hai aur yah peedhi-dar-peedhi chadhaya jaayega.  tum is vedi par aisa dhoop na chadhana jo niyam ke khilaf ho,+ na hi is par hom-bali karna ya anaj ka chadhava chadhana. tu is vedi par koi argh bhi na chadhana. 10  haaroon ko chahiye ki woh saal mein ek baar vedi ko shuddh kare.+ woh prayashchit ke liye diye gaye paap-bali ke jaanvar ka thoda-saa khoon lekar vedi ke singon par lagayega.+ is tarah woh saal mein ek baar vedi ke liye prayashchit karke use shuddh karega. aisa peedhi-dar-peedhi kiya jaayega. yah vedi yahova ki nazar mein bahot pavitra hai.” 11  fir yahova ne moosa se kaha, 12  “tu jab bhi israeliyon ki ginti lega,+ to harek ko apni jaan ke badle yahova ko firauti deni hogi. unhein yah isliye karna hoga taaki naam-likhai ke vakt un par koi kehar na dhaaya jaaye. 13  jin-jinka naam likha jaata hai, unhein apni firauti ke liye aadha shekel* ada karna hoga. yah rakam pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik honi chahiye.+ ek shekel 20 gera* ke barbar hai. unhein yahova ke liye daan mein aadha shekel dena hoga.+ 14  jitnon ki umra 20 saal ya usse oopar hai, unka naam likha jaaye aur woh yah rakam yahova ke liye daan mein dein.+ 15  tum sab apni jaan ki firauti ke liye yahova ko daan mein aadha shekel* hi doge. na ameer log isse zyada dein aur na gareeb isse kam. 16  tu israeliyon se unki firauti ke liye chaandi ke paise lena aur bheint ke tamboo mein ki jaanevali seva ke liye dena. yah paisa israeliyon ki khaatir yahova ke saamne yaadgar ban jaayega aur tumhari jaan ki firauti hoga.” 17  yahova ne moosa se yah bhi kaha, 18  “tu tambe ka ek haud banana aur use rakhne ke liye ek tek banana.+ is haud ko bheint ke tamboo aur vedi ke beech rakhna aur usmein paani bharna.+ 19  haaroon aur uske bete us haud ke paani se apne haath-pair dhoyenge.+ 20  jab woh bheint ke tamboo ke andar jaayenge ya vedi ke paas seva karne aur yahova ke liye aag mein bali chadhane jaayenge, to woh haud ke paani se khud ko shuddh kareinge taaki woh maar na daale jaayen. 21  unhein apne haath-pair zaroor dhone chahiye taaki woh mar na jaayen. yah niyam haaroon aur uske vanshajon par peedhi-peedhi tak sada ke liye laagoo rahega.”+ 22  fir yahova ne moosa se kaha, 23  “iske baad tu ye saari badhiya-badhiya khushboodar cheezen lena: 500 shekel gandhras jo thos ban gaya ho, uska aadha maap yaani 250 shekel khushboodar daalcheeni, 250 shekel khushboodar vach 24  aur 500 shekel taj. ye sab pavitra-sthan ke shekel* ke mutabik hone chahiye.+ saath hi ek heen* jaitoon ka tel bhi lena. 25  in masalon ke mishran se abhishek ka pavitra tel taiyar karna. yah mishran bahot hi umda tareeke se banaya jaaye.*+ yah tel abhishek ka pavitra tel hoga. 26  tu is tel se bheint ke tamboo aur gavahi ke sandook ka abhishek karna.+ 27  saath hi in cheezon ka bhi abhishek karna: tamboo mein rakhi mez aur uski saari cheezen, deevat aur uske saath istemal honevali saari cheezen, dhoop ki vedi, 28  hom-bali ki vedi aur uske saath istemal honevali saari cheezen, haud aur uski tek. 29  tu in saari cheezon ko pavitra thehrana taaki ye bahot pavitra ho jaayen.+ jo bhi in cheezon ko chhoota hai use pavitra hona chahiye.+ 30  tu haaroon aur uske beton ka abhishek karna+ aur unhein yaajkon ke naate meri seva karne ke liye pavitra thehrana.+ 31  tu israeliyon se kehna, ‘yah peedhi-peedhi tak mera abhishek ka pavitra tel hoga.+ 32  ise kisi insan ke shareer par nahin lagana chahiye. tum is tarah ka mishran kisi aur istemal ke liye mat taiyar karna. yah pavitra tel hai. tum ise sada tak pavitra maanna. 33  agar koi is mishran se tel banata hai aur kisi aise insan par lagata hai jis par lagane ki ijazat nahin hai,* to use maut ki saza di jaaye.’”+ 34  fir yahova ne moosa se kaha, “tu barbar maap mein ye saare itra lena:+ nakhi, bol, gandhabiroja aur shuddh loban. 35  inhein milakar dhoop taiyar karna.+ masalon ka yah mishran bahot hi umda tareeke se bana ho,* ismein namak mila ho+ aur yah shuddh aur pavitra ho. 36  tu ismein se thoda dhoop alag nikaalkar maheen peesna. fir is maheen dhoop mein se thoda-saa dhoop lekar bheint ke tamboo mein gavahi ke sandook ke saamne daalna, jahaan main tere saamne prakat hounga. is dhoop ko tum log bahot pavitra maanna. 37  jis mishran se tum yah dhoop banaoge uska dhoop tum apne istemal ke liye mat banana.+ yah yahova ki nazar mein pavitra dhoop hai aur tum ise pavitra maanna. 38  agar koi iski khushboo ka aanand lene ke liye is mishran ka dhoop banayega to use maut ki saza di jaaye.”

kai footnote

kareeb 44.5 c.m. (17.5 inch). ati. kh14 dekhein.
shaa., “do shaamon ke beech.”
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kh14 dekhein.
ya “pavitra shekel.”
ek gera 0.57 g. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kh14 dekhein.
ya “pavitra shekel.”
ek heen 3.67 l. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya “vaise hi banaya jaaye jaise koi itra bananevala banata hai.”
shaa., “jo paraya ho,” yaani jo haaroon-vanshi na ho.
ya “vaise hi bana ho jaise koi itra bananevala banata hai.”