nirgaman 5:1-23

  • moosa aur haaroon, firaun ke saamne (1-5)

  • zulm badhta gaya (6-18)

  • israel ne donon ko doshi thehraya (19-23)

5  iske baad moosa aur haaroon firaun ke saamne gaye aur unhonne kaha, “israel ka parmeshvar yahova tujhse kehta hai, ‘mere logon ko veerane mein jaane de taaki woh mere liye ek tyohar manayen.’”  magar firaun ne kaha, “yah yahova kaun hai+ ki main uski baat maankar israel ko jaane doon?+ main kisi yahova ko nahin jaanta aur main israel ko hargiz nahin jaane doonga.”+  fir bhi unhonne kaha, “ibriyon ke parmeshvar ne hamse baat ki hai. isliye hum tujhse ijazat maangte hain ki hamein teen din ka safar tay karke veerane mein jaane de taaki hum apne parmeshvar yahova ke liye balidan chadha sakein,+ varna parmeshvar hamein beemari ya talvar se naash kar dega.”  misra ke raja ne kaha, “hey moosa aur haaroon, tum kyon logon ko unke kaam se door le jaana chahte ho? sab log apne-apne kaam par laut jaayen aur chupchap mazdoori karein!”+  firaun ne yah bhi kaha, “dekho, is desh mein tumhare kitne log hain jo mazdoori karte hain. aur tum chahte ho ki main tumhari baat maankar in sabko chhutti de doon?”  usi din firaun ne israeliyon par thehraye gaye jalladon aur unke sahayak adhikariyon* ko yah hukm diya:  “tum ab se logon ko intein banane ke liye pual mat dena.+ unse kaho ki woh khud jaakaar pual ikattha karein.  magar unse har din utni hi intein banvana jitni woh ab tak banate aaye hain. usmein koi katauti mat karna. woh kaamchor ho gaye hain!* iseeliye keh rahe hain, ‘hum apne parmeshvar ke liye balidan chadhana chahte hain, hamein jaane de!’  unse aur bhi zyada mazdoori karao, kaam mein itna uljha do ki jhoothi baaton par dhyan na de sakein.” 10  tab woh jallad+ aur unke sahayak adhikari logon ke paas gaye aur unse kehne lage, “suno, firaun ka yah aadesh hai, ‘ab se main tum logon ko pual nahin doonga. 11  tum jaao, jahaan kahin tumhein pual mile khud ikattha karo. magar tumhare kaam mein koi katauti nahin hogi.’” 12  tab log poore misra mein yahaan-vahaan jaakaar pual ke liye ghaas-foos ikattha karne lage. 13  aur jallad yah kehkar unke peechhe pad jaate the, “tumhein har din utni hi intein banani hain jitni tum us vakt banate the jab tumhein pual diya jaata tha.” 14  firaun ke jalladon ne un israeli aadmiyon ko bhi peeta jinhein unhonne sahayak adhikari thehraya tha+ aur unse poochha, “tumne utni intein kyon nahin banayin jitni tum pehale banate the? kal bhi nahin banayi thi, aaj bhi nahin banayin.” 15  tab israeliyon ke sahayak adhikari firaun ke paas gaye aur usse shikayat karne lage, “tu apne daason ke saath aisa salook kyon kar raha hai? 16  tere log hamein bilkul pual nahin de rahe, fir bhi hamse maang karte hain, ‘intein banao! intein banao!’ galti tere logon ki hai aur peeta hamein jaa raha hai.” 17  magar firaun ne unse kaha, “tum log kaamchor ho, kaamchor!*+ iseeliye kehte ho, ‘hum yahova ke liye balidan chadhana chahte hain, hamein jaane de!’+ 18  haan-haan, jaao zaroor jaao, magar seedhe apne kaam par! tumhein koi pual nahin diya jaayega, fir bhi tumhein pehale jitni intein hi banani hongi.” 19  adhikariyon ne dekha ki firaun ke is aadesh ki vajah se ki unhein har din pehale jitni intein hi banani hongi, unki takaleef ab aur badh gayi hai. 20  jab woh firaun ke darbar se baahar aaye to unhonne dekha ki moosa aur haaroon unse milne ke liye vahaan intazar kar rahe hain. 21  unhein dekhte hi adhikariyon ne kaha, “tum donon ki vajah se firaun aur uske sevak hamse nafrat karne lage hain, tumne to unke haath mein talvar de di hai ki woh hamein maar daalein. yahova tumhein dekhe aur tumhara nyay kare.”+ 22  tab moosa ne yahova se fariyad ki, “hey yahova, tu kyon in logon ko itne dukh deta hai? toone kyon mujhe yahaan bheja? 23  jab se main firaun ke saamne gaya aur mainne tere naam se baat ki,+ tab se woh in logon par aur bhi zulm dhaa raha hai+ aur tu apne logon ko chhudane ke liye kuch bhi nahin kar raha.”+

kai footnote

ye adhikari, israeliyon mein se hi chune gaye the.
ya “aaram kar rahe hain.”
ya “aaram kar rahe ho, aaram!”