nirgaman 6:1-30
6 tab yahova ne moosa se kaha, “ab tu dekhna main firaun ka kya karta hoon.+ mera shaktishali haath use aisa majboor karega ki woh mere logon ko bhej dega, yahaan tak ki unhein apne desh se bhaga dega.”+
2 fir parmeshvar ne moosa se kaha, “main yahova hoon.
3 main abraham, ishaak aur yakub ke saamne prakat hota tha aur mainne un par zahir kiya ki main sarvashaktiman parmeshvar hoon.+ magar apne naam yahova+ se mainne khud ko un par zahir nahin kiya tha.+
4 aur mainne unke saath yah karar bhi kiya tha ki main unhein kanaan desh doonga, jahaan unhonne pardesiyon ki zindagi guzari thi.+
5 mujhe woh karar yaad hai+ aur mainne israeliyon ka rona-bilakhna suna hai jinse misri gulami karva rahe hain.
6 isliye tu israeliyon se meri yah baat kehna, ‘main yahova hoon, main tum logon ko misriyon ke bojh se chhutkara dilaunga, unki gulami se aazad kar doonga.+ main apna haath badhakar* tumhein chhuda loonga aur use kadi-se-kadi saza doonga.+
7 main tumhein apna loonga jisse ki tum mere apne log ban jaaoge aur main tumhara parmeshvar hounga.+ aur tum beshak jaan loge ki main tumhara parmeshvar yahova hoon jo tumhein misra ke bojh se chhudakar baahar laa raha hai.
8 main tumhein us desh mein le jaaunga, jiske baare mein mainne abraham, ishaak aur yakub se shapath khaakaar vaada kiya tha* ki main yah desh unhein doonga. aur woh desh tumhari jaageer hoga.+ main yahova hoon.’”+
9 baad mein moosa ne parmeshvar ka yah sandesh israeliyon ko diya. magar unhonne moosa ki baat maanne se inkar kar diya, kyonki woh nirash ho gaye the aur unse sakhti se gulami karayi jaa rahi thi.+
10 iske baad yahova ne moosa se kaha,
11 “tu misra ke raja firaun ke paas jaa aur usse keh ki woh israeliyon ko misra se bhej de.”
12 magar moosa ne yahova se kaha, “jab israeliyon ne meri baat nahin suni+ to firaun kahaan sunega? main to theek se bol bhi nahin sakta.”+
13 magar yahova ne ek baar fir moosa aur haaroon se kaha ki woh israeliyon ko aur misra ke raja firaun ko uski aagyayen sunayen taaki israeliyon ko misra se baahar nikaal laayen.
14 alag-alag gotron ke gharanon ke mukhiyaon ke naam ye hain: israel ke pehalauthe+ rooben ke bete haanok, palloo, hesron aur karmi.+ inhin se rooben ke vanshajon ke kul chale.
15 shimon ke bete the yamooel, yaameen, ohad, yaakeen, sohar aur shaul jo ek kanaani aurat se paida hua tha.+ inhin se shimon ke vanshajon ke kul chale.
16 levi+ ke beton ke naam hain gershon, kahat aur marari,+ jinse unke apne-apne kul nikle. levi 137 saal jeeya tha.
17 gershon ke bete the libni aur shimi jinse unke apne-apne kul nikle.+
18 kahat ke bete the amram, yishar, hebron aur ujjiel.+ kahat 133 saal jeeya tha.
19 marari ke bete the mahli aur mooshi.
ye sabhi levi ke vanshaj the jinse unke apne-apne kul chale.+
20 amram ne apne pita ki behen yokebed se shaadi ki thi.+ yokebed se use haaroon aur moosa paida huye.+ amram 137 saal jeeya tha.
21 yishar ke bete the korah,+ nepeg aur jikri.
22 ujjiel ke bete the meeshael, elsapan+ aur sitri.
23 haaroon ne ammeenadab ki beti eleesheba se shaadi ki jo nahshon+ ki behen thi. eleesheba se haaroon ke ye bete huye: naadab, abeehoo, eliazar aur itamar.+
24 korah ke bete the asseer, elkana aur abeeasap.+ inse korah ke vanshajon ke kul chale.+
25 haaroon ke bete eliazar+ ne pootiel ki ek beti se shaadi ki, jisse uska beta finehas+ paida hua.
ye sabhi leviyon ke alag-alag kulon ke gharanon ke mukhiya hain.+
26 haaroon aur moosa ki vanshavli yahi hai. yahova ne un donon se kaha, “israeliyon ke alag-alag dal banakar* unhein misra desh se baahar le aao.”+
27 un donon ne hi jaakaar misra ke raja firaun se baat ki taaki woh israeliyon ko misra se baahar le jaa sakein.+
28 yahova ne jis din misra desh mein moosa se baat ki,
29 us din yahova ne moosa se kaha, “main yahova hoon. main tujhe jo-jo bata raha hoon woh sab tu misra ke raja firaun se kehna.”
30 tab moosa ne yahova se kaha, “firaun mujh jaise aadmi ki baat kahaan maanega? main to theek se bol bhi nahin sakta.”+
kai footnote
^ ya “apne shaktishali haath se.”
^ shaa., “mainne haath uthakar abraham, ishaak aur yakub se kaha tha.”
^ shaa., “ko unke sena-dalon ke mutabik.”