nirgaman 8:1-32
8 fir yahova ne moosa se kaha, “firaun ke paas jaa aur usse keh, ‘yahova tujhse kehta hai, “mere logon ko jaane de taaki woh meri seva karein.+
2 agar tu isi tarah inkar karta raha, to main tere desh ke poore ilake par meindhakon ka kehar dhaa doonga.+
3 neel nadi meindhakon se bhar jaayegi aur woh nadi se nikaalkar tere ghar mein ghus aayenge. tere sone ke kamre mein, tere bistar par aur tere sevkon ke gharon mein, tere logon par, tere tandooron mein aur aata goondhne ke bartanon* mein, jahaan dekho vahaan meindhak-hi-meindhak honge.+
4 woh tujh par, tere logon par aur tere sabhi sevkon par chadh aayenge.”’”
5 baad mein yahova ne moosa se kaha, “haaroon se keh, ‘tu apni chhadi le aur misra ki nadiyon, neel nadi ki nehron aur daldalon par apna haath badha aur misra desh mein meindhak le aa.’”
6 tab haaroon ne misra ke nadi-naalon par apna haath badhaya. paani mein se meindhak nikaalne lage aur dekhte-hi-dekhte poore misra mein fail gaye.
7 fir misra ke jaadoo-tona karnevale pujariyon ne bhi apni jaadui kala se aisa chamatkar kiya, woh misra desh mein meindhak le aaye.+
8 tab firaun ne moosa aur haaroon ko bulvaya aur unse kaha, “yahova se fariyad karo ki woh meindhakon ko mere aur mere logon ke beech se door kar de.+ main tumhare logon ko bhejne ke liye taiyar hoon taaki woh yahova ke liye balidan chadha sakein.”
9 moosa ne firaun se kaha, “theek hai, tu hi bata, main kab yah fariyad karoon ki meindhak tujhse, tere sevkon aur logon se aur tere gharon se door kar diye jaayen. sirf neel nadi mein meindhak reh jaayenge.”
10 firaun ne kaha, “tu kal fariyad karna.” moosa ne kaha, “toone jaisa kaha hai vaisa hi hoga taaki tu jaan le ki hamare parmeshvar yahova jaisa koi parmeshvar nahin.+
11 jitne bhi meindhak hain, woh tujhse, tere gharon aur tere sevkon aur logon se door kar diye jaayenge. sirf neel nadi mein meindhak reh jaayenge.”+
12 tab moosa aur haaroon firaun ke saamne se chale gaye. fir moosa ne yahova se fariyad kee ki woh meindhakon ka kehar firaun se door kar de.+
13 yahova ne moosa ki yah fariyad suni, isliye logon ke gharon, aanganon aur maidanon mein jahaan-jahaan meindhak the woh sab marne lage.
14 logon ne mare huye meindhakon ko ikattha kiya jisse jagah-jagah meindhakon ka dher lag gaya aur poore desh mein badboo fail gayi.
15 ab jaise hi firaun ne dekha ki museebat tal gayi hai, usne apna dil kathor kar liya.+ usne moosa aur haaroon ki baat maanne se inkar kar diya, theek jaise yahova ne kaha tha.
16 isliye yahova ne moosa se kaha, “haaroon se keh, ‘apna haath badhakar chhadi zameen ki dhool par maar, tab dhool machharon* mein badal jaayegi aur poora misra machharon se bhar jaayega.’”
17 moosa aur haaroon ne aisa hi kiya. haaroon ne apni chhadi haath mein li aur haath badhakar zameen ki dhool par maari. tab misra ki zameen ki saari dhool machharon mein badal gayi+ aur woh insanon aur jaanvaron ko kaatne lage.
18 jaadoo-tona karnevale pujariyon ne bhi apni jaadui kala se machhr laane ki koshish ki+ magar woh naakam rahe. insanon aur jaanvaron par machharon ka kehar bana raha.
19 tab jaadoo-tona karnevale pujariyon ne firaun se kaha, “yah zaroor parmeshvar ki shakti* se hua hai!”+ magar firaun ka dil kathor hi bana raha. usne moosa aur haaroon ki baat maanne se inkar kar diya, theek jaise yahova ne kaha tha.
20 fir yahova ne moosa se kaha, “tu kal subah tadke uthkar firaun ke saamne jaa. woh nadi ke paas aanevala hai. tu usse kehna, ‘yahova tujhse kehta hai, “mere logon ko bhej de taaki woh meri seva karein.
21 agar tu nahin bhejega to main tujh par, tere sevkon aur logon par aur tere gharon mein khoon choosnevali makkhiyaan bhejoonga. aur misriyon ke gharon mein, yahaan tak ki us zameen par bhi, jahaan woh* kadam rakheinge, makkhiyaan chhaa jaayengi.
22 magar us din main goshen ko poore misra desh mein alag dikhaunga, jahaan mere log rehte hain. vahaan ek bhi khoon choosnevali makkhi nahin hogi.+ tab tu jaan lega ki main yahova is desh mein hoon.+
23 main apne logon aur tere logon ke beech fark saaf dikhaunga. yah chamatkar kal hoga.”’”
24 aur yahova ne aisa hi kiya. misra par khoon choosnevali makkhiyon ka hamla shuroo ho gaya. firaun aur uske sevkon ke gharon mein, yahaan tak ki poore misra mein makkhiyon ke jhund-ke-jhund toot pade.+ makkhiyon ne poore desh mein haahakar macha diya.+
25 aakhirkar firaun ne moosa aur haaroon ko bulakar kaha, “tum isi desh mein kahin jaakaar apne parmeshvar ke liye balidan chadha sakte ho.”
26 magar moosa ne kaha, “hum aisa nahin kar sakte kyonki jab misri dekheinge ki hum apne parmeshvar yahova ko balidan mein kya chadha rahe hain to woh bhadak jaayenge.+ agar hum unke dekhte aise balidan chadhayenge to kya woh pattharon se hamein maar nahin daaleinge?
27 isliye hum teen din ka safar tay karke veerane mein jaana chahte hain aur jaise hamare parmeshvar yahova ne hamse kaha hai, hum vahaan uske liye balidan chadhayenge.”+
28 ab firaun ne kaha, “agar tum log veerane mein hi jaakaar apne parmeshvar yahova ke liye balidan chadhana chahte ho to theek hai, main tumhein ijazat deta hoon. bas tum zyada door mat jaana aur meri khaatir fariyad karna ki yah kehar tal jaaye.”+
29 moosa ne kaha, “main yahova se zaroor fariyad karoonga. ab main jaa raha hoon. kal firaun aur uske sevkon aur logon ko makkhiyon se raahat mil jaayegi. magar mujhe firaun se bas itna kehna hai ki woh hamse aur dhokha* na kare aur hamare logon ko bhej de taaki woh yahova ke liye balidan chadha sakein.”+
30 tab moosa firaun ke paas se chala gaya aur usne yahova se fariyad ki.+
31 yahova ne moosa ki fariyad suni. tab firaun aur uske sevkon aur logon ke paas se khoon choosnevali makkhiyaan door ho gayin. ek bhi makkhi nahin rahi.
32 magar firaun ne ek baar fir apna dil kathor kar liya aur israeliyon ko nahin bheja.
kai footnote
^ ya “katoron.”
^ ya “kutkiyon.” ye machhr jaise keede hain jo insanon aur jaanvaron ko kaatte hain.
^ shaa., “ungli.”
^ yaani misri.
^ ya “khilvad.”