nirgaman 9:1-35
9 isliye yahova ne moosa se kaha, “firaun ke paas jaa aur usse keh, ‘ibriyon ka parmeshvar yahova tujhse kehta hai, “mere logon ko jaane de taaki woh meri seva karein.+
2 agar tu unhein bhejne se inkar kar dega aur unhein roke rahega,
3 to dekh! mujh yahova ka haath+ tere sabhi jaanvaron ke khilaf uthega. main tere ghodon, gadhon, unton, gaay-bailon aur bhed-bakriyon ko ek mahamari se maaroonga.+
4 main yahova israeliyon ke jaanvaron aur misriyon ke jaanvaron ke beech fark saaf dikhaunga. israeliyon ka ek bhi jaanvar nahin marega.”’”+
5 yahova ne yah mahamari laane ka ek samay bhi tay kiya aur kaha, “main yahova kal ke din misra par yah kehar laaunga.”
6 yahova ne agle din aisa hi kiya. misra ke har tarah ke jaanvar marne lage.+ magar israel ka ek bhi jaanvar nahin mara.
7 jab firaun ne is baare mein jaanch-padtal karvayi to pata chala ki israeliyon ka ek bhi jaanvar nahin mara! fir bhi uske dil par koi asar nahin hua aur usne israeliyon ko nahin jaane diya.+
8 tab yahova ne moosa aur haaroon se kaha, “tum ek bhatthe se raakh lena aur apni donon mutthiyaan bhar lena. fir moosa firaun ke dekhte woh raakh oopar hava mein udaye.
9 tab woh raakh baareek dhool mein badalkar poore misra mein fail jaayegi aur isse misra ke sabhi insanon aur jaanvaron ke shareer par fode nikaal aayenge aur unse mavad behene lagega.”
10 tab moosa aur haaroon ne ek bhatthe se raakh li aur woh firaun ke saamne gaye. fir moosa ne raakh hava mein udayi. isse insanon aur jaanvaron ke shareer par fode nikaal aaye aur unse mavad behene laga.
11 sabhi misriyon par, yahaan tak ki jaadoo-tona karnevale pujariyon ke shareer par bhi fode nikaal aaye, isliye woh pujari moosa ke saamne khade na ho sake.+
12 magar is kehar ke baavjood firaun ka dil kathor bana raha aur yahova ne use kathor hi rehne diya. firaun ne moosa aur haaroon ki baat nahin maani, theek jaise yahova ne moosa se kaha tha.+
13 fir yahova ne moosa se kaha, “tu kal subah tadke uthkar firaun ke saamne jaa aur usse keh, ‘ibriyon ka parmeshvar yahova tujhse kehta hai, “mere logon ko bhej de taaki woh meri seva karein.
14 agar tu aisa nahin karega, to main saare kehar laakaar tujh par aur tere sevkon aur logon par aisa vaar karoonga ki tu jaan jaayega ki poore jahan mein mere jaisa parmeshvar koi nahin.+
15 main chahta to apna haath badhakar tujh par aur tere logon par koi mahamari laata aur ab tak dharti se tera naamo-nishan mita chuka hota.
16 magar mainne tujhe isliye zinda rehne diya hai taaki tujhe apni shakti dikha sakoon aur poori dharti par apne naam ka ailan kara sakoon.+
17 kya tu ab bhi magroor bana hua hai aur mere logon ko na chhodne ki zid par ada hai?
18 ab dekhna main kya karta hoon. main kal isi samay misra par aise bhaari-bhaari ole barsaunga, jaise aaj tak is desh mein kabhi nahin barse.
19 isliye ab tu apne aadmiyon se bol ki woh jaakaar tere sabhi jaanvaron ko aur tera jo kuch baahar hai woh sab andar le aayen. har woh insan aur jaanvar jo ghar ke baahar hoga aur andar nahin laaya jaayega, woh olon ke girne se mar jaayega.”’”
20 firaun ke sevkon mein se jis-jisne yahova ki baat suni aur uska dar maana, woh fatafat jaakaar apne daason aur jaanvaron ko gharon ke andar le aaye.
21 magar jinhonne yahova ki baat nahin maani, unhonne apne daason aur jaanvaron ko baahar hi rehne diya.
22 ab yahova ne moosa se kaha, “apna haath aasman ki taraf utha taaki poore misra par ole barsein,+ misra ke sabhi insanon, jaanvaron aur ped-paudhon par ole girein.”+
23 tab moosa ne apni chhadi oopar aasman ki taraf uthayi aur yahova ne baadal ke tez garjan ke saath zameen par ole aur aag* barsayi. yahova misra par lagatar ole barsata raha.
24 olon ki jamkar baarish hui aur unke saath-saath aag bhi girti rahi. jab se misra desh basa tha, tab se misra mein olon ki aisi baarish nahin hui thi.+
25 olon ne poore misra mein tabahi macha di. jitne bhi insan aur jaanvar baahar the sab maare gaye, ped tootkar gir gaye aur saare paudhe nasht ho gaye.+
26 sirf goshen mein, jahaan israeli rehte the, ole nahin pade.+
27 isliye firaun ne moosa aur haaroon ko apne paas bulvaya aur unse kaha, “ab main maanta hoon ki mainne paap kiya hai. yahova ne jo kiya woh sahi hai kyonki main aur mere log doshi hain.
28 ab yahova se fariyad karo ki woh olon ka girna aur baadlon ka garajna band kar de. tab main tum logon ko yahaan se jaane doonga, tumhein aur nahin rokoonga.”
29 moosa ne kaha, “theek hai, main jaise hi shehar se baahar kadam rakhoonga, yahova ke saamne haath failakar dua karoonga. tab yah garjan aur ye ole band ho jaayenge taaki tu jaan le ki saari dharti ka maalik yahova hai.+
30 magar mujhe maaloom hai ki iske baad bhi tu aur tere sevak yahova parmeshvar ka dar nahin maannevale.”
31 olon ki vajah se misra mein alsi aur jau ki fasal barbad ho gayi kyonki jau ki fasal kareeb-kareeb pak chuki thi aur alsi ke paudhon mein kaliyaan lag chuki thi.
32 magar gehoon aur kathiya gehoon ki fasal ko nuksan nahin hua kyonki inki fasal taiyar hone mein abhi der thi.*
33 moosa firaun ke paas se chala gaya aur shehar se baahar aane ke baad usne haath failakar yahova se dua ki. tab olon ka girna, garjan aur baarish sab band ho gaya.+
34 jab firaun ne dekha ki baarish, ole aur garjan band ho gaye hain, to usne aur uske sevkon ne fir se paap kiya, unhonne apna dil kathor bana liya.+
35 firaun ka dil kathor hi bana raha aur usne israeliyon ko jaane nahin diya. yah bilkul vaisa hi hua jaisa yahova ne moosa se kehalvaya tha.+