nyayiyon 10:1-18

  • nyayi tola aur yaair (1-5)

  • israel ki bagavat aur pashchatap (6-16)

  • ammoni, israel ke khilaf (17, 18)

10  abeemelek ki maut ke baad, israel ka uddhaar karne ke liye tola naam ka nyayi utha.+ woh issakar ke gharane se tha. woh pooa ka beta tha aur pooa dodo ka. tola, epraim ke pahadi pradesh ke shaameer mein rehta tha.  woh 23 saal tak israeliyon ka nyayi raha. fir uski maut ho gayi aur use shaameer mein dafnaya gaya.  tola ke baad gilad ka rehnevala yaair, nyayi bankar utha aur usne 22 saal tak israel ka nyay kiya.  uske 30 bete the aur unke paas savaari karne ke liye 30 gadhe the. gilad ke ilake mein unke 30 shehar the jinhein aaj tak havvot-yaair ke naam se jaana jaata hai.+  fir yaair ki maut ho gayi aur use kaamon mein dafnaya gaya.  israeli ek baar fir vahi karne lage jo yahova ki nazar mein bura tha.+ unhonne yahova se munh mod liya aur uski upasna karna chhod diya. woh baal devtaon, ashtoret ki moorton, araam,* seedon aur moab ke devtaon, saath hi ammoniyon aur palishtiyon ke devi-devtaon ki pooja karne lage.+  tab yahova ka gussa israeliyon par bhadak utha, usne unhein palishtiyon aur ammoniyon ke havale kar diya.+  woh israeliyon ko satane aur un par zulm dhaane lage. lagatar 18 saal tak woh gilad ke sab israeliyon par atyachar karte rahe. yardan ke poorab mein gilad ka yah ilaka ek vakt par emoriyon ka tha.  itna hi nahin, ammoni yardan paar jaakaar yahooda, binyameen aur epraim gotron se bhi yuddh karte rahe. israeliyon ka jeena mushkil ho gaya. 10  woh madad ke liye yahova ko pukarne lage,+ “hey hamare parmeshvar, hamne tere khilaf paap kiya hai! hum tujhe chhodkar baal devtaon ki seva karne lage.”+ 11  yahova ne israeliyon se kaha, “kya mainne tumhein misra se nahin chhudaya?+ aur jab emoriyon,+ ammoniyon, palishtiyon,+ 12  seedoniyon, amalekiyon aur midyaniyon ne tum par atyachar kiya aur tumne meri duhai di, to kya mainne tumhein unke haath se nahin bachaya? 13  magar tumne kya kiya? tum mujhe chhodkar doosre devtaon ki upasna karne lage.+ isliye ab main tumhein nahin bachaunga.+ 14  jaao, jaakaar unhin se madad maango jinhein tumne apna ishvar bana liya hai.+ kaho unse ki woh tumhein is museebat se nikaalein.”+ 15  israeliyon ne yahova se kaha, “hamne paap kiya hai. tujhe jaisa theek lage, hamare saath kar. bas hamein dushmanon se bacha le.” 16  aur unhonne apne beech se paraye devtaon ki moortein nikaal feinki aur yahova ki seva karne lage.+ tab israel ka dukh parmeshvar se dekha nahin gaya.*+ 17  kuch samay baad ammoni+ yuddh karne ke liye ikattha huye aur unhonne gilad mein chhaavni daali. israeliyon ne bhi apne aadmi ikattha kiye aur mispa mein chhaavni daali. 18  gilad ke log aur haakim ek-doosre se kehne lage, “ammoniyon se ladne mein kaun hamari aguvai karega?+ jo bhi aguvai karega, woh gilad ke logon ka pradhan thehrega.”

kai footnote

ya “seeriya.”
ya “dekhkar parmeshvar ka ji bechain ho utha.”