nyayiyon 11:1-40
11 gilad ka rehnevala yiptah+ ek veer yoddha tha. uski maa pehale ek veshya thi aur uske pita ka naam gilad tha.
2 gilad ko apni patni* se bhi bete huye. jab uske bete bade huye to unhonne yiptah ko yah kehkar bhaga diya, “tu ek doosri aurat ka beta hai, isliye hamare pita ke gharane mein tujhe koi virasat nahin milegi.”
3 tab yiptah apne bhaaiyon ke paas se bhaagkar tob naam ke ilake mein rehne laga. vahaan kuch berozgar log uske saath ho liye aur woh milkar apne dushmanon par dhaava bolne jaate the.
4 kuch samay baad ammoniyon ne israeliyon ke khilaf yuddh chhed diya.+
5 jab ammoni israeliyon se ladne aaye to gilad ke mukhiya fauran yiptah ko vaapas laane ke liye tob gaye.
6 unhonne yiptah se kaha, “hamara senapati ban jaa taaki hum ammoniyon se lad sakein.”
7 magar yiptah ne gilad ke mukhiyaon se kaha, “tum mujhse nafrat karte the, iseeliye tumne mujhe apne pita ke ghar se bhaga diya tha.+ ab jab tum par museebat aa padi hai to mere paas aaye ho?”
8 gilad ke mukhiyaon ne kaha, “teri baat sach hai. par dekh! ab hum tere hi paas aaye hain. agar tu hamare saath chalkar ammoniyon se lade, to hum tujhe gilad ke sabhi nivasiyon ka aguva bana deinge.”+
9 yiptah ne unse kaha, “agar main ammoniyon se ladne ke liye tumhare saath chaloon aur agar yahova mujhe un par jeet dilaye, to main tumhara aguva ban jaaunga.”
10 gilad ke mukhiyaon ne yiptah se kaha, “hamein manzoor hai. jaisa toone kaha hum vaisa hi kareinge aur yahova hamare beech is baat ka gavah* thahre.”
11 tab yiptah gilad ke mukhiyaon ke saath gaya aur logon ne use apna aguva aur senapati banaya. yiptah ne mispa+ mein yahova ke saamne woh saari baatein dohrayin jo usne kahi thi.
12 fir yiptah ne ammoniyon+ ke raja ke paas doot bheje aur kaha, “teri hamse kya dushmani jo tu hamare desh par hamla karne aaya hai?”
13 ammoniyon ke raja ne yiptah ke dooton se kehla bheja, “israeliyon ne mujhse mera ilaka chheena hai. jab woh misra se nikaalkar aaye to unhonne arnon+ se lekar yabbok aur yardan tak ka saara ilaka+ apne kabze mein kar liya.+ ab tu chupchap woh sab mujhe lauta de.”
14 tab yiptah ne apne dooton ko ammoniyon ke raja ke paas dobara bheja
15 ki woh usse kahein,
“yiptah ka kehna hai, ‘israel ne moabiyon aur ammoniyon ka ilaka nahin chheena.+
16 misra se aazad hone par woh veerane se hote huye laal saagar tak pahunche+ aur fir kaadesh aaye.+
17 tab israel ne edom ke raja ke paas apne doot bhejkar kaha,+ “meharbani karke hamein apne desh se hokar jaane de.” lekin edom ke raja ne unki na suni. unhonne moab+ ke raja se bhi yahi guzarish ki lekin woh bhi raazee na hua. isliye israeli kaadesh mein hi rahe.+
18 fir woh edom aur moab ke baahar se hote huye veerane mein chale.+ woh moab ke poorab se hokar+ arnon ke ilake mein aaye aur vahaan dera daala. magar woh arnon paar nahin gaye kyonki woh moab ki sarhad tha.+
19 iske baad israeliyon ne heshbon mein emoriyon ke raja seehon ke paas apne doot bheje aur usse kaha, “meharbani karke hamein apne desh se hokar jaane de taaki hum apne ilake mein pahunch sakein.”+
20 lekin seehon ko israeliyon par bharosa nahin tha aur usne unhein apne ilake mein se nahin jaane diya, balki apne aadmiyon ke saath yahas mein chhaavni daalkar israeliyon se yuddh kiya.+
21 tab israel ke parmeshvar yahova ne seehon aur uske sabhi logon ko israel ke haath kar diya. israeliyon ne vahaan rehnevale emoriyon ko hara diya aur unka saara ilaka apne adhikar mein kar liya.+
22 is tarah unhonne arnon se lekar yabbok tak aur veerane se lekar yardan tak, emoriyon ke saare ilake par kabza kar liya.+
23 jab israel ke parmeshvar yahova ne hi emoriyon ko apne logon ke saamne se khadeda tha,+ to ab tu hamein yahaan se kyon khadedna chahta hai?
24 agar tera devta kamosh+ tujhe koi ilaka de, to kya tu use apne adhikar mein nahin karega? usi tarah, hamare parmeshvar yahova ne jis kisi ko hamare saamne se khadeda, hamne uske ilake par adhikar kar liya.+
25 kya tu sippor ke bete, moab ke raja baalak+ se badhkar hai? usne to israel se ladne ki jurrat nahin ki, ab tu aisa karna chahta hai?
26 israeli pichhle 300 saal se heshbon aur uske aas-paas ke nagar,+ aroer aur uske aas-paas ke nagar aur arnon ke ghaat ke paas ke sab shehron mein base huye hain. itne saalon mein tumne in ilakon ko vaapas lene ki koshish nahin ki, to ab kyon aaye ho?+
27 mainne tere khilaf koi paap nahin kiya, lekin toone hamse yuddh chhedkar galat kiya hai. ab sabse bada nyayi yahova+ hi israeliyon aur ammoniyon ke beech nyay kare.’”
28 ammoniyon ke raja ne yiptah ka yah sandesh thukra diya.
29 fir yahova ki pavitra shakti yiptah par utri+ aur woh gilad aur manashshe se hote huye gilad ke mispe gaya.+ vahaan se woh ammoniyon ka saamna karne aaya.
30 tab yiptah ne yahova se ek mannat maani+ aur kaha, “agar tu ammoniyon ko mere haath kar dega,
31 to meri jeet ki khushi mein jo sabse pehale mujhse milne mere ghar se baahar aayega, woh yahova ka ho jaayega+ aur main use hom-bali* ke taur par parmeshvar ko arpit kar doonga.”+
32 tab yiptah ammoniyon se ladne gaya aur yahova ne unhein uske haath kar diya.
33 yiptah, aroer se lekar minneet tak bhaari taadad mein logon ko maarta gaya aur usne 20 shehron ko apne kabze mein kar liya. usne aabel-karameem tak ammoniyon se yuddh kiya. is tarah, ammoni israeliyon se haar gaye.
34 jab yiptah mispa+ mein apne ghar lauta to usne kya dekha! uski beti dafli bajati aur naachti hui usse milne aa rahi hai. woh uski iklauti aulad thi, uske siva yiptah ke na to koi beta tha na beti.
35 jaise hi usne apni beti ko dekha, maare dukh ke usne apne kapde faade aur kaha, “haay meri beti! toone mera kaleja chhalni kar diya kyonki ab mujhe tujhko apne se door bhejna hoga. main yahova ko zaban de chuka hoon aur usse mukar nahin sakta.”+
36 tab uski beti ne usse kaha, “hey mere pita, agar toone yahova ko zaban di hai, to use poora kar. kyonki yahova ne tere dushman ammoniyon ko tere havale kar diya taaki tu unse badla le sake. isliye mere saath vaisa hi kar jaisa toone vaada kiya hai.”+
37 fir usne apne pita se kaha, “bas meri ek binti hai, mujhe do maheene de. main apni saheliyon ke saath pahadon par jaakaar apne kunvarepan par rona aur dukh manana chahti hoon.”*
38 is par yiptah ne apni beti se kaha, “jaa.” aur use do maheene ke liye bhej diya. woh apni saheliyon ke saath pahadon par jaakaar rone aur dukh manane lagi ki woh zindagi-bhar kunvari rahegi.
39 do maheene poore hone par woh apne pita ke paas laut aayi. fir yiptah ne uske baare mein jo mannat maani thi use poora kiya.+ uski beti zindagi-bhar kunvari rahi. israel mein yah dastoor* ban gaya ki
40 har saal chaar din ke liye israeli ladkiyaan, giladi yiptah ki beti ki taareef karne uske paas jaaya karti thi.
kai footnote
^ zahir hai, uski ek aur patni thi.
^ shaa., “sunnaevala.”
^ zahir hai, yah ek alankar hai. iska matlab hai, parmeshvar ki seva ke liye poori tarah de dena.
^ ya “apne doston ke saath rona chahti hoon kyonki main kabhi shaadi nahin karoongi.”
^ ya “niyam.”