nyayiyon 13:1-25

  • maanoh aur uski patni ke paas swargdoot aaya (1-23)

  • shimshon ka janm (24, 25)

13  israeli ek baar fir yahova ki nazar mein bure kaam karne lage.+ isliye yahova ne unhein 40 saal ke liye palishtiyon ke havale kar diya.+  is dauran sora shehar+ mein daaniyon+ ke kul ka ek aadmi rehta tha, jiska naam maanoh+ tha. uski patni baanjh thi aur uski koi aulad nahin thi.+  ek din yahova ka swargdoot maanoh ki patni ke saamne prakat hua aur usne kaha, “bhale hi tu baanjh hai aur teri koi aulad nahin, magar tu garbhvati hogi aur ek bete ko janm degi.+  par dhyan rakh, tu na to daakh-madira na hi kisi tarah ki sharab peena+ aur na koi ashuddh cheez khaana.+  dekh, tu zaroor garbhvati hogi aur ek bete ko janm degi. uske sir par ustara mat chalvana+ kyonki janm* se hi woh parmeshvar ke liye naazeer hoga. woh israeliyon ko palishtiyon ke haath se chhudayega.”+  tab us aurat ne apne pati maanoh ke paas jaakaar kaha, “sachche parmeshvar ka ek sevak mere paas aaya tha. woh dikhne mein swargdoot jaisa tha aur use dekhkar main vismay se bhar gayi. na to sachche parmeshvar ke us doot ne mujhe apna naam bataya,+ na hi mainne usse poochha ki woh kahaan se hai.  lekin usne mujhse kaha, ‘tu garbhvati hogi aur ek bete ko janm degi. par dhyan rakh ki tu na to daakh-madira na hi kisi tarah ki sharab peena. aur na koi ashuddh cheez khaana kyonki woh ladka janm* se lekar maut tak parmeshvar ke liye naazeer hoga.’”  maanoh ne yahova se binti ki, “hey yahova, toone jis sevak ko abhi bheja tha meharbani karke sachche parmeshvar ke us sevak ko dobara bhej ki woh hamein bataye ki hum bachche ki parvarish kaise karein.”  sachche parmeshvar ne uski binti sun li aur sachche parmeshvar ka swargdoot ek baar fir maanoh ki patni ke paas aaya. us vakt woh baahar baithi thi aur uska pati maanoh uske saath nahin tha. 10  woh daudkar apne pati ko bulane gayi. usne kaha, “dekh, jo aadmi us din mere paas aaya tha, woh aaj fir aaya hai.”+ 11  tab maanoh apni patni ke saath us aadmi ke paas aaya. maanoh ne usse kaha, “kya tu vahi aadmi hai jisne us din meri patni se woh saari baatein kahi thi?” usne kaha, “haan, main vahi hoon.” 12  tab maanoh ne kaha, “toone jo bhi kaha, woh poora ho. ab hamein bata ki us bachche ki zindagi kaisi hogi aur bada hokar woh kya karega.”+ 13  tab yahova ke swargdoot ne maanoh se kaha, “teri patni ko un sab cheezon se door rehna hai jinke baare mein mainne use bataya tha.+ 14  use na to angoor ki bel par lagi koi cheez khaani hai, na hi daakh-madira ya kisi tarah ki sharab peeni hai.+ use ashuddh cheezen bhi nahin khaani hain.+ dhyan rakh ki jaisa mainne usse kaha hai woh vaisa hi kare.” 15  fir maanoh ne yahova ke swargdoot se kaha, “meharbani karke thodi der ruk jaa. hum abhi tere liye bakri ka bachcha pakakar laate hain.”+ 16  yahova ke swargdoot ne maanoh se kaha, “agar main ruk bhi jaaun, to bhi main kuch nahin khaaunga. haan, agar tu yahova ko hom-bali chadhana chahta hai, to chadha sakta hai.” maanoh nahin jaanta tha ki woh yahova ka swargdoot hai. 17  maanoh ne yahova ke swargdoot se kaha, “hamein apna naam bata+ taaki teri baat sach hone par hum tera aadar-samman kar sakein.” 18  magar yahova ke swargdoot ne usse kaha, “mera naam mat poochh kyonki woh nirala hai.” 19  fir maanoh ne bakri ka bachcha aur anaj ka chadhava liya aur ek bade patthar par unhein yahova ko chadhaya. tab parmeshvar ne maanoh aur uski patni ki aankhon ke saamne ek anokha kaam kiya. 20  aag ki laptein vedi se aasman ki taraf uthne lagin aur yahova ka swargdoot un lapton ke saath oopar aasman ki taraf jaane laga. yah dekhkar maanoh aur uski patni turant zameen par munh ke bal gir gaye. 21  tab maanoh samajh gaya ki woh yahova ka swargdoot tha.+ yahova ka swargdoot fir unhein dikhayi nahin diya. 22  maanoh ne apni patni se kaha, “ab hum zinda nahin bacheinge kyonki hamne parmeshvar ko dekh liya hai.”+ 23  magar uski patni ne kaha, “agar yahova hamein maarna hi chahta tha, to woh hamare haath se hom-bali aur anaj ka chadhava kabool nahin karta.+ na hi woh hamein yah sab dikhata aur hamse woh saari baatein kehta.” 24  aage chalkar maanoh ki patni ne ek ladke ko janm diya aur uska naam shimshon rakha.+ jaise-jaise woh bada hua yahova ki aasheesh uske saath rahi. 25  fir jab shimshon sora aur eshtaol+ ke beech mahnedan naam ki jagah+ mein tha, to yahova ki pavitra shakti us par zabardast tareeke se kaam karne lagi.+

kai footnote

shaa., “garbh.”
shaa., “garbh.”