nyayiyon 15:1-20

  • shimshon palishtiyon se badla leta hai (1-20)

15  kuch samay baad, gehoon ki katai ka vakt aaya aur shimshon apni patni se milne gaya. woh apne saath bakri ka ek bachcha le gaya. usne kaha, “main apni patni ke kamre* mein jaana chahta hoon.” lekin ladki ke pita ne use andar nahin jaane diya.  usne shimshon se kaha, “mainne socha ki tu meri ladki se nafrat karne laga hai,+ isliye mainne uski shaadi us aadmi se karva di jo daavat mein tera saathi tha.+ meri maan, tu uski chhoti behen se shaadi kar le, woh usse zyada khoobsoorat hai.”  shimshon ne kaha, “ab palishtiyon ki khair nahin! is baar woh apni barbadi ke liye khud zimmedar honge.”  shimshon ne jaakaar 300 lomdiyaan pakdin aur mashalein lin. fir usne do-do lomdiyon ki poonchh baandhi aur usmein ek-ek mashal khons di.  usne mashal jalakar un lomdiyon ko palishtiyon ki khadi fasal mein chhod diya. is tarah shimshon ne unki khadi fasal, anaj ke gatthar, saath hi angooron aur jaitoon ke baag mein aag laga di.  palishtiyon ne jab poochha, “yah kisne kiya?” to javab mila, “timna mein rehnevale us aadmi ke daamad shimshon ne. kyonki uske sasur ne uski patni ki shaadi usi ke ek saathi se karva di.”+ tab palishtiyon ne us ladki aur uske pita ko jala diya.+  shimshon ne unse kaha, “jab tumne aisa kiya hai, to main tumse badla lekar hi dam loonga.”+  iske baad shimshon ne ek-ke-baad-ek sabko maar daala aur laashon ka dher laga diya. fir woh etam chattan ki gufa* mein jaakaar rehne laga.  kuch samay baad palishtiyon ne aakaar yahooda mein chhaavni daali. unhonne lahi+ mein har jagah lootpat macha di. 10  yah dekhkar yahooda ke aadmiyon ne kaha, “hamne tumhara kya bigaada hai jo tum hamare khilaf aaye ho?” palishtiyon ne kaha, “hum shimshon ko pakadne aaye hain. hum uska vahi haal kareinge jo usne hamara kiya hai.” 11  tab yahooda ke 3,000 aadmi neeche etam chattan ki gufa* mein gaye. unhonne shimshon se kaha, “kya tujhe pata nahin ki palishti hum par raaj kar rahe hain?+ fir toone kyon aisa kaam kiya aur hamein museebat mein daal diya?” shimshon ne kaha, “mainne unke saath vahi kiya jo unhonne mere saath kiya.” 12  yahooda ke aadmi kehne lage, “hum tujhe pakadkar* palishtiyon ke havale karne aaye hain.” tab shimshon ne kaha, “pehale shapath khaao ki tum mujhe jaan se maarne ki koshish nahin karoge.” 13  unhonne kaha, “hum tujhe nahin maareinge, sirf tujhe baandhkar palishtiyon ko de deinge.” unhonne do nayi rassiyaan lin aur shimshon ko baandhkar chattan ki gufa se baahar laaye. 14  jab use lahi laaya gaya tab palishti use dekhkar apni jeet ki khushi mein zor-zor se chillane lage. tabhi yahova ki pavitra shakti shimshon par kaam karne lagi+ aur uske haath ki rassiyaan aise toot gayin jaise san ka dhaaga jalne par toot jaata hai aur uske bandhan khul gaye.+ 15  use gadhe ke jabde ki taazee haddi mili aur usne usse 1,000 palishti aadmiyon ko maar giraya.+ 16  shimshon ne kaha, “gadhe ke jabde ki haddi se mainne dushmanon ka dher lagaya,sirf ek haddi se mainne 1,000 aadmiyon ko maar giraya.”+ 17  fir usne woh haddi feink di aur us jagah ka naam raamat-lahi* rakha.+ 18  tab shimshon ko badi pyas lagi aur usne yahova ko pukara, “hey parmeshvar, toone hi apne is daas ko itni badi jeet dilayi hai. lekin kya ab tu chahta hai ki main pyasa mar jaaun aur in khatnarahit logon ke haathon mein pad jaaun?” 19  tab parmeshvar ne lahi ki zameen mein ek gaddha bana diya aur usmein se paani fut nikala.+ paani peekar shimshon ki jaan mein jaan aayi aur woh fir taazadam ho gaya. isliye usne us jagah ka naam en-hakkore* rakha, jo aaj tak lahi mein hai. 20  palishtiyon ke dinon mein shimshon 20 saal tak israel ka nyayi raha.+

kai footnote

ya “andarvale kamre.”
ya “darar.”
ya “darar.”
ya “baandhkar.”
matlab “jabde ki haddi ki unchi jagah.”
matlab “pukarnevale ka sota.”