nyayiyon 2:1-23

  • yahova ke swargdoot ki chetavni (1-5)

  • yahoshoo ki maut (6-10)

  • israel ke liye nyayi thehraye (11-23)

2  yahova ka swargdoot+ gilgal+ se bokeem gaya aur usne kaha, “main tumhein misra se nikaalkar is desh mein laaya, jise dene ka vaada mainne tumhare purkhon se kiya tha.+ mainne yah bhi kaha tha, ‘tumhare saath jo karar mainne kiya hai use main kabhi nahin todoonga.+  aur tum is desh ke nivasiyon ke saath karar na karna+ aur unki vediyaan tod daalna.’+ par tumne meri aagya nahin maani.+ tumne aisa kyon kiya?  isliye jaisa mainne kaha tha, main is desh ke logon ko tumhare saamne se nahin khadedoonga.+ woh tumhare liye fanda saabit honge+ aur tum bahakkar unke devtaon ke peechhe ho loge.”+  jab yahova ke swargdoot ne israeliyon se yah kaha, to sabhi log zor-zor se rone lage.  isliye unhonne us jagah ka naam bokeem* rakha aur vahaan yahova ke liye balidan chadhaya.  fir yahoshoo ne israeliyon ko vida kiya aur woh apni-apni virasat ki zameen par kabza karne ke liye chale gaye.+  woh yahoshoo ke jeete-ji yahova ki upasna karte rahe aur un mukhiyaon ke dinon mein bhi karte rahe, jo yahoshoo ke baad zinda the aur jinhonne dekha tha ki yahova ne israeliyon ke liye kitne bade-bade kaam kiye hain.+  iske baad yahova ke sevak, noon ke bete yahoshoo ki maut ho gayi. woh 110 saal ka tha.+  logon ne use timnat-heres mein dafnaya. yah jagah epraim ke pahadi pradesh mein gaash pahad ke uttar mein thi aur yahoshoo ko diye ilake mein aati thi.+ 10  us peedhi ke sabhi logon ki maut ho gayi.* fir ek nayi peedhi aayi jo na to yahova ko jaanti thi, na hi yah jaanti thi ki usne israel ke liye kya-kya kiya hai. 11  isliye israeli yahova ki nazar mein bure kaam karne lage aur baal devtaon ko poojne lage.+ 12  unhonne apne purkhon ke parmeshvar yahova ko chhod diya, jo unhein misra se nikaal laaya tha.+ woh aas-paas ke logon ke devtaon ke peechhe jaane lage+ aur unhein dandvat karne lage. aisa karke unhonne yahova ko gussa dilaya.+ 13  woh yahova ko chhodkar baal devta aur ashtoret ki moorton ki pooja karne lage.+ 14  tab yahova ka krodh israeliyon par bhadak utha aur usne unhein luteron ke haath kar diya jo unhein lootne lage.+ parmeshvar ne unhein aas-paas ke dushmanon ke havale kar diya+ aur woh unke saamne tik nahin paaye.+ 15  yahova unke khilaf ho gaya isliye woh jahaan-jahaan gaye woh un par museebatein laaya,+ theek jaisa yahova ne kaha tha aur jaisa yahova ne shapath khaayi thi.+ israeliyon ki zindagi dukhon se bhar gayi.+ 16  tab yahova ne unke liye nyayi thehraye jo unhein luteron ke haath se bachate.+ 17  lekin israeliyon ne nyayiyon ki bhi sunnae se inkar kar diya. woh doosre devtaon ke aage dandvat karne aur unhein poojne* lage. woh fauran us raah se bahak gaye jis par unke baap-daada chalte the. unke baap-daada to yahova ki baat maante the,+ magar unhonne nahin maani. 18  fir jab dushman un par zulm dhaate to unka karahna sunkar+ yahova tadap uthta+ aur unhein bachane ke liye yahova nyayi thehrata+ aur uska poora saath deta. jab tak israel mein nyayi rahe, yahova ne apne logon ko dushmanon se bachaya. 19  lekin jab ek nyayi mar jaata, to israeli fir se doosre devtaon ke peechhe chalne lagte aur unki upasna karne lagte.+ is tarah woh apne purkhon se bhi badhkar paap kar rahe the. woh apne kaamon se baaz nahin aaye aur dheeth bane rahe. 20  aakhirkar yahova ka gussa israel par bhadak utha+ aur usne kaha, “is raashtra ne mera woh karar tod diya hai+ jo mainne unke purkhon se kiya tha aur inhonne meri aagya nahin maani.+ 21  isliye yahoshoo ki maut ke baad is desh mein jitne bhi dushman raashtra bache hain, unmein se main ek ko bhi nahin khadedoonga.+ 22  main parakhna chahta hoon ki israeli apne purkhon ki tarah yahova ki raah par chaleinge ya nahin.”+ 23  yahova ne aisa hi kiya. usne un raashtron ko vahin rehne diya, unhein turant nahin khadeda aur na hi unhein yahoshoo ke haath kiya tha.

kai footnote

matlab “ronevale.”
shaa., “log apne purkhon mein jaa mile.”
ya “unke saath veshyaon jaisi badchalni karne.”