nyayiyon 20:1-48

  • binyameen ke logon se yuddh (1-48)

20  tab daan+ se lekar bersheba tak aur gilad ke ilake+ mein rehnevale sabhi israeli aaye aur poori mandli ek hokar mispa mein yahova ke saamne ikattha hui.+  israel ke sabhi logon ke aur gotron ke pradhanon ne parmeshvar ki mandli mein apni-apni jagah li. talvar chalanevale paidal sainikon ki ginti 4,00,000 thi.+  binyameen ke logon ne suna ki israel ke aadmi mispa mein ikattha huye hain. israel ke aadmiyon ne poochha, “hamein bata yah sab kaise hua?”+  tab us levi+ ne, jiski up-patni ka katla hua tha kaha, “main binyameen ke shehar giba mein raat kaatne ke liye gaya tha+ aur meri up-patni mere saath thi.  raat ko giba ke nivasiyon* ne ghar ko gher liya. woh mere saath ghinauna kaam karna chahte the, mujhe maar daalna chahte the. lekin meri jagah unhonne meri up-patni ka balatkar kiya aur woh mar gayi.+  unhonne bahot sharmnak aur ghinauna kaam kiya hai. isliye mainne apni up-patni ki laash ke tukde kiye aur israel ke har gotra ke ilake mein bhej diye.+  hey israel ke logo, tum hi batao ki ab kya kiya jaaye.”+  tab sab logon ne ekmat hokar kaha, “hammein se koi bhi apne dere mein nahin jaayega, na apne ghar lautega.  aao hum chitthiyaan daalkar tay karein ki kaun-kaun giba se ladne jaayega.+ 10  hamare sainikon ke saath israel ke har gotra mein se kuch aur aadmi bhi jaayenge jo unke khaane-peene ka dhyan rakheinge, 100 aadmiyon mein se 10 aadmi, 1,000 mein se 100 aadmi aur 10,000 mein se 1,000 aadmi. binyameen gotra ne israel mein jo ghinauna kaam kiya hai uski saza hum unhein zaroor deinge.” 11  is tarah israel ke sabhi aadmi ekmat hokar* us shehar se ladne ko taiyar huye. 12  tab israel ke gotron ne binyameen ke logon ke paas aadmi bheje aur kaha, “tum logon ke beech yah kaisa ghinauna kaam hua hai! 13  giba ke un neech aadmiyon ko hamare havale kar do.+ hum unhein jaan se maar daaleinge aur israel mein se is burai ko mita deinge.”+ lekin binyameen ke logon ne apne israeli bhaaiyon ki ek na suni. 14  tab binyameen ke log israel ke aadmiyon se yuddh karne ke liye apne-apne shehar se nikaalkar giba aaye. 15  us din binyameen ke logon ne apne shehron se 26,000 talvar chalanevale aadmiyon ko ikattha kiya. giba se bhi 700 yoddha bulaye gaye. 16  ye 700 yoddha baayen haathvale the aur gofan chalane mein harek ka nishana achook tha.* 17  binyameen gotra ko chhod, israel ke sabhi aadmiyon ne talvar chalanevale 4,00,000 sainikon ko ikattha kiya,+ har sainik yuddh mein maahir tha. 18  woh parmeshvar se salah lene ke liye betel gaye.+ unhonne poochha, “binyameen se ladne ke liye kaun sabse aage rahega?” yahova ka javab tha, “yahooda ka gotra.” 19  iske baad, israeliyon ne subah uthkar giba ke logon se ladne ke liye chhaavni daali. 20  fir israeli sainik nikaal pade aur binyameen ke logon se yuddh karne ke liye giba mein dal baandhkar tainat ho gaye. 21  binyameen ke log apne shehar giba se baahar aaye. us din unhonne 22,000 israeli aadmiyon ko maar giraya. 22  lekin israeli sainikon ne himmat nahin haari. woh dobara usi jagah dal baandhkar tainat ho gaye jahaan pehale din huye the. 23  is beech israeli yahova ke saamne shaam tak rote rahe. woh yahova se poochhne lage, “kya hum binyameen ke apne bhaaiyon se fir yuddh karne jaayen?”+ yahova ne kaha, “jaao.” 24  isliye israeli agle din binyameen ke logon se ladne aaye. 25  binyameen ke log bhi ladne ke liye giba se nikle. is baar unhonne talvar chalanevale 18,000 israeli sainikon ko maar giraya.+ 26  tab sabhi israeli betel gaye aur yahova ke saamne baithe rote rahe.+ us din unhonne shaam tak upvas kiya+ aur yahova ko hom-baliyaan+ aur shaanti-baliyaan+ chadhayin. 27  fir unhonne yahova se salah li.+ un dinon sachche parmeshvar ke karar ka sandook betel mein tha 28  aur haaroon ka pota aur eliazar ka beta, finehas+ sandook ke saamne seva karta* tha. israeliyon ne poochha, “kya hum binyameen ke apne bhaaiyon se fir yuddh karne jaayen?”+ yahova ka javab tha, “haan, jaao. kyonki kal main unhein tumhare haath kar doonga.” 29  tab israeliyon ne apne aadmiyon ko giba ke chaaron taraf ghaat mein bithaya.+ 30  israeli teesre din binyameen ke logon se ladne nikle aur pehale ki tarah woh giba ke saamne dal baandhkar tainat ho gaye.+ 31  jab binyameen ke log israeli sena se ladne baahar aaye, to woh israeliyon ka peechha karte huye shehar se door nikaal aaye.+ unhonne pehale ki tarah israeliyon par hamla kiya aur betel ki taraf aur giba ki taraf jaanevale raajmargon par, khule maidanon mein kareeb 30 logon ko maar giraya.+ 32  binyameen ke logon ne socha ki israeli sena pehale ki tarah hamse haar rahi hai.+ magar yah israeliyon ki chaal thi. unhonne kaha tha, “jab hum peeth dikhakar bhaageinge to woh hamara peechha kareinge. aur hum unhein shehar se door raajmargon par le aayenge.” 33  tab israeli sainik apni-apni jagah se uthe aur unhonne baal-taamar mein dal baandha. aur giba ke paas ghaat lagaye kuch sainikon ne apni jagah se nikaalkar hamla bol diya. 34  israel ke 10,000 yoddhaon ne giba par chadhai kar di aur ghamasan yuddh hua. binyameen ke log nahin jaante the ki un par ghor vipatti tootnevali hai. 35  yahova ne israel ke saamne binyameen ke logon ko hara diya.+ us din binyameen ke 25,100 aadmi maar daale gaye, woh sab-ke-sab talvar chalanevale sainik the.+ 36  jab israeli binyameen ke logon ko peeth dikhakar bhaag rahe the, to binyameen ke logon ko laga ki israeli ek baar fir hamse haar jaayenge.+ magar israeli isliye bhaage kyonki unhein pata tha ki unke kuch sainik giba par hamla karne ke liye ghaat lagaye baithe hain.+ 37  ghaat laganevale sainikon ne turant giba par hamla bol diya. woh shehar mein ghuskar chaaron taraf fail gaye aur unhonne sabhi nivasiyon ko talvar se maar daala. 38  israeliyon ne ghaat laganevale sainikon se kaha tha ki woh jaise hi shehar par kabza kar lein, to nishani ke taur par dhuyen ka baadal udayen. 39  jab israeli binyameen ke logon ke saamne se bhaag rahe the, to binyameen ke aadmiyon ne un par hamla kiya aur unke kareeb 30 aadmiyon ko maar giraya.+ woh kehne lage, “woh dekho! israeli ek baar fir hamse haar rahe hain, jaise pichhli baar haare the.”+ 40  lekin tabhi giba se dhuyen ka khambha oopar uthne laga. jab binyameen ke logon ne mudkar dekha to poora shehar jal raha tha aur dhuaan aasman ki taraf uth raha tha. 41  tabhi israeli palatkar hamlavaron par toot pade. binyameen ke sainikon ke haath-pair fool gaye kyonki unhonne dekha ki un par vipatti aa padi hai. 42  isliye woh israeliyon ko peeth dikhakar veerane ki taraf bhaagne lage. lekin israeli sainikon ne unka peechha kiya aur unhein maarne ke liye shehar* se baaki israeli sainik bhi aa gaye. 43  woh chaaron taraf se binyameen ke aadmiyon par badhe chale aaye aur unka peechha karte rahe. giba ke poorab mein aakaar unhonne binyameen ke aadmiyon ko raund daala. 44  binyameen ke 18,000 aadmi maare gaye, woh sab-ke-sab veer yoddha the.+ 45  baaki bache huye aadmi veerane mein rimmon ki chattan ki taraf bhaagne lage.+ magar israeliyon ne unmein se 5,000 aadmiyon ko raajmargon par maar giraya aur gidom tak unka peechha karke aur bhi 2,000 aadmiyon ko maar daala. 46  us din binyameen ke kul milakar 25,000 talvar chalanevale veer yoddha maare gaye.+ 47  lekin 600 aadmi veerane mein rimmon ki chattan mein jaa chhipe aur chaar maheene tak vahin rahe. 48  israel ke sainik vaapas binyameen ke shehron ki taraf aaye aur vahaan jitne bhi log aur jaanvar reh gaye the, un sabko maar daala. itna hi nahin, unhonne unke sabhi shehron ko jala diya.

kai footnote

ya shaayad, “zamindaron.”
shaa., “ek aadmi ki tarah.”
shaa., “agar woh gofan se ek baal par bhi nishana lagate to unka nishana khaali na jaata.”
shaa., “haazir rehta.”
shaa., “shehron.”