nyayiyon 21:1-25

  • binyameen gotra mitne se bacha (1-25)

21  mispa mein israeliyon ne shapath khaayi thi,+ “hammein se koi bhi apni betiyonn ki shaadi binyameen ke aadmiyon se nahin karayega.”+  ab yuddh ke baad woh betel aaye+ aur sachche parmeshvar ke saamne shaam tak baithe rahe. woh fut-futkar rone lage  aur kehne lage, “hey israel ke parmeshvar yahova, yah kaisa din dekhna pad raha hai hamein! aaj israel ke beech se ek gotra kam ho gaya hai.”  agle din israeli subah jaldi uthe aur unhonne vahaan ek vedi banakar us par hom-baliyaan aur shaanti-baliyaan chadhayin.+  fir unhonne poochha, “israel ke sabhi gotron mein se kaun hai jo mispa mein yahova ke saamne ikattha nahin hua tha?” kyonki unhonne shapath khaayi thi ki jo koi mispa mein yahova ke saamne nahin aayega, woh har haal mein maar daala jaayega.  israeliyon ko binyameen ke apne bhaaiyon ke baare mein sochkar dukh hua aur woh kehne lage, “aaj israel ke beech se ek gotra khatm ho* gaya hai.  bache huye aadmiyon ke liye hum patniyaan kahaan se laayenge? hamne to yahova ke saamne shapath khaayi thi+ ki hum apni betiyonn ki shaadi unse nahin karayenge.”+  unhonne poochha, “israel ke gotron mein se kaun hai jo mispa mein yahova ke saamne ikattha nahin hua tha?”+ yaabesh-gilad se vahaan koi bhi nahin aaya tha.  jab israeliyon ne ginna shuroo kiya ki vahaan kaun-kaun aaya tha, to unhein pata chala ki yaabesh-gilad ka ek bhi nivasi vahaan maujood nahin tha. 10  tab israel ki mandli ne apne 12,000 taakatvar aadmiyon ko yah hukm dekar bheja, “jaao aur yaabesh-gilad ke nivasiyon ko talvar se maar daalo. unki aurton aur bachchon ko bhi mat bakhshna.+ 11  us shehar ke har aadmi-aurat ko maar daalna, sirf kunvari ladkiyon ko zinda chhod dena.” 12  is tarah unhein yaabesh-gilad se 400 kunvari ladkiyaan milin jinhonne kabhi kisi aadmi ke saath yaun-sambandh nahin rakha tha. woh unhein kanaan desh ke sheelo mein chhaavni ke paas le aaye.+ 13  tab poori mandli ne rimmon ki chattan mein chhipe binyameen ke aadmiyon+ se sulah karne ki peshkash rakhi. 14  binyameen ke aadmi vaapas aaye aur israeliyon ne unhein woh kunvari ladkiyaan di, jinko unhonne yaabesh-gilad mein zinda chhod diya tha.+ magar un ladkiyon ki ginti binyameen ke aadmiyon se kam thi. 15  israeliyon ko binyameen ke logon ke liye bada dukh hua+ kyonki yahova ne israel ke gotra se unhein alag kar diya tha. 16  mandli ke mukhiyaon ne kaha, “baaki aadmiyon ke liye hum patniyaan kahaan se laayen? hamne to binyameen gotra ki saari aurton ko maar daala.” 17  unhonne kaha, “binyameen ke bache huye aadmiyon ko unke hisse ki zameen zaroor milni chahiye taaki israel se unke gotra ka naam mit na jaaye. 18  lekin hum apni betiyaan nahin de sakte kyonki hamne shapath khaayi hai ki hammein se jo israeli apni beti ki shaadi binyameen ke kisi aadmi se karayega, woh shaapit thehrega.”+ 19  tab mukhiyaon ne kaha, “har saal sheelo mein yahova ke liye tyohar manaya jaata hai,+ jo betel ke uttar mein hai aur betel se shekem jaanevale raajmarg ke poorab mein aur labona ke dakshin mein hai.” 20  tab unhonne binyameen ke aadmiyon ko aagya di, “jaao aur vahaan angooron ke baag mein ghaat lagakar baith jaao. 21  jab sheelo ki javan ladkiyaan baahar aayengi aur ghera banakar naach rahi hongi, tab tum angooron ke baag se nikaalkar apne liye ek-ek ladki utha lena aur binyameen ke apne ilake mein laut jaana. 22  aur agar un ladkiyon ke pita aur bhaai hamare paas shikayat lekar aayen to hum unse kaheinge, ‘hum par ehsan karo aur unhein jaane do. kyonki hamne unko patniyaan dilane ke liye jo yuddh kiya tha, usmein hamein sabke liye ladkiyaan nahin mili thi.+ vaise bhi, tumne apni betiyaan apni marzee se nahin di, isliye tum kisi bhi tarah doshi nahin thehroge.’”+ 23  binyameen ke aadmiyon se jaisa kaha gaya unhonne vaisa hi kiya. woh un ladkiyon mein se jo naach rahi thi, apne liye ek-ek ladki utha le gaye aur unhein apni patni bana liya. fir woh apne ilake mein laut gaye aur unhonne apne shehron ko dobara khada kiya+ aur unmein bas gaye. 24  israeli apne-apne gotra aur apne parivar ke paas apne ilake mein laut gaye. 25  un dinon israel mein koi raja nahin tha.+ har koi vahi kar raha tha jo uski nazar mein sahi tha.

kai footnote

shaa., “kat.”