nyayiyon 3:1-31

  • yahova ne israel ko parkha (1-6)

  • pehala nyayi otniel (7-11)

  • nyayi ehood ne raja eglon ko maar daala (12-30)

  • nyayi shamgar (31)

3  yahova ne kuch raashtron ko rehne diya taaki un israeliyon ko parkhe, jinhein kanaan desh se yuddh karne ka koi tajurba nahin tha.+  (woh isliye ki israel ki nayi peedhi jisne kabhi yuddh nahin dekha tha, yuddh ke baare mein jaane.)  in raashtron mein ye log shaamil the: palishtiyon ke paanch sardar,+ saare kanaani, seedoni+ aur woh sabhi hivvi+ jo labanon ke pahadon+ mein baal-hermon parvat se lekar lebo-hamat tak rehte the.+  in logon ke zariye israeliyon ko parkha gaya ki woh yahova ki aagyaon ko maaneinge ya nahin, jo moosa ne unke purkhon ko di thi.+  is tarah israeli log kanaaniyon, hittiyon, emoriyon, parijjiyon, hivviyon aur yaboosiyon ke beech rehne lage.+  israeliyon ne unki betiyonn se shaadi ki aur apni betiyonn ki shaadi unke beton se karvayi. aur woh unke devtaon ki upasna karne lage.+  is tarah israeli yahova ki nazar mein bure kaam karne lage. woh apne parmeshvar yahova ko bhool gaye aur baal devtaon aur pooja-laathon* ki upasna karne lage.+  is par yahova ka krodh un par bhadak utha. usne unhein mesopotamiya* ke raja kooshan-rishataim ke havale kar diya. israeliyon ne aath saal tak kooshan-rishataim ki gulami ki.  fir woh madad ke liye yahova ko pukarne lage.+ yahova ne unhein chhudane ke liye otniel+ ko chuna,+ jo kaaleb ke chhote bhaai kanaj ka beta tha. 10  yahova ki pavitra shakti otniel par utri+ aur woh israel ka nyayi bana. jab woh yuddh karne nikala to yahova ne mesopotamiya* ke raja kooshan-rishataim ko uske haath kar diya aur usne kooshan-rishataim ko buri tarah haraya. 11  iske baad desh mein 40 saal tak shaanti bani rahi. fir kanaj ka beta otniel mar gaya. 12  israeli ek baar fir unhin kaamon mein lag gaye jo yahova ki nazar mein bure the.+ yahova ne moab+ ke raja eglon ko israel par jeet haasil karne di kyonki israeli yahova ki nazar mein bure kaam kar rahe the. 13  eglon, ammoniyon aur amalekiyon ko saath lekar unke khilaf aaya.+ unhonne israel par hamla kiya aur khajoor ke pedon ke shehar+ par kabza kar liya. 14  israeliyon ne 18 saal tak moab ke raja eglon ki gulami ki.+ 15  fir woh madad ke liye yahova ko pukarne lage.+ yahova ne unke chhutkare ke liye ehood+ ko thehraya,+ jo gera ka beta tha. woh binyameen+ gotra se tha aur baayen haath se kaam karta tha.+ jab moab ke raja eglon ko nazrana dene ka vakt aaya, to israeliyon ne ehood ke haath raja ko nazrana bheja. 16  ehood ne apne liye ek khanjar banaya jiske donon taraf dhaar thi aur jiski lambai ek haath* thi. usne apne kapde ke neeche daayin jaangh par use baandh liya. 17  fir moab ke raja eglon ke paas jaakaar usne nazrana diya. eglon bahot mota tha. 18  nazrana dekar ehood un logon ke saath nikaal pada jo nazrana lekar uske saath raja ke paas aaye the. 19  magar jab ehood gilgal+ mein gadhi hui moorton* ke paas pahuncha, to woh vaapas raja ke paas aaya. usne kaha, “hey raja, main tere liye ek gupt sandesh laaya hoon.” tab raja ne apne sevkon ko baahar jaane ka aadesh diya aur woh sab chale gaye. 20  raja chhat par apne havadar kamre mein baitha hua tha. ehood ne usse kaha, “parmeshvar ne tere liye ek sandesh bheja hai.” yah sunkar raja apni raajgaddi se utha. 21  tabhi ehood ne apne baayen haath se daayin jaangh par bandha khanjar nikaala aur raja ke pet mein bhonk diya. 22  ehood ne khanjar baahar nahin khincha aur khanjar ke saath-saath uska hattha bhi uske pet mein ghus gaya. poora-ka-poora khanjar raja ki charbi mein sama gaya aur uska mal baahar aa gaya. 23  fir ehood chhat ke us kamre ko taala lagakar baramde* se baahar nikaal gaya. 24  uske jaane ke baad raja ke sevak vahaan aaye aur unhonne dekha ki kamre ka darvaza band hai. woh kehne lage, “raja andarvale kamre mein halka hone* gaya hoga.” 25  kaafi der intazar karne ke baad bhi jab raja baahar nahin aaya to woh pareshan ho gaye. unhonne chaabi lekar taala khola aur dekha ki unka maalik zameen par mara pada hai. 26  is beech ehood vahaan se bhaag nikala aur gadhi hui moorton* se hote huye+ sahi-salamat seire pahunch gaya. 27  vahaan epraim ke pahadi pradesh+ pahunchkar usne narsinga foonka+ aur israeli uske saath pahadi pradesh se neeche aaye. ehood unke aage-aage chala. 28  ehood ne unse kaha, “mere peechhe aao kyonki yahova ne tumhare dushman moabiyon ko tumhare haath kar diya hai.” tab woh uske peechhe-peechhe gaye aur yardan ke ghaaton par tainat ho gaye taaki moabee sainik yardan paar na kar sakein. 29  us din israeliyon ne 10,000 moabee soormaon ko maar daala,+ unmein se ek bhi bachkar na bhaag saka.+ 30  is tarah israeliyon ne moab ko apne adheen kar liya aur desh mein 80 saal tak shaanti bani rahi.+ 31  ehood ke baad, anat ke bete shamgar+ ne israeliyon ko bachaya. usne ek nukeele chhad* se 600 palishti aadmiyon+ ko maar giraya.+

kai footnote

shabdavli dekhein.
shaa., “araam-nahraim.”
shaa., “araam.”
shaayad ek chhota haath yaani ek haath mein chaar angul kam, jiski lambai kareeb 38 c.m. (15 inch) hai. ati. kha14 dekhein.
ya shaayad, “patthar ki khadanon.”
ya shaayad, “raushandan.”
yaani shauch karne.
ya shaayad, “patthar ki khadanon.”
shaa., “ankush.”