nyayiyon 8:1-35

  • epraimi, gidon ke saath jhagde (1-3)

  • midyani raajaon ko maar daala (4-21)

  • gidon ne raja banne se inkar kiya (22-27)

  • gidon ki zindagi par ek nazar (28-35)

8  epraim ke aadmiyon ne gidon se kaha, “jab tu midyaniyon se ladne gaya to toone hamein kyon nahin bulaya?+ yah toone theek nahin kiya.” aur woh gidon se jhagadne lage.+  lekin gidon ne unse kaha, “main kaun hota hoon tumhari barabri karnevala? hum abiejer ke aadmiyon+ ne jo kiya, usse kahin badhkar tum epraimiyon+ ne kiya.*  midyaniyon ke haakim oreb aur zaeb ko parmeshvar ne tumhare havale kar diya.+ mainne jo kiya woh tumhare mukable kuch bhi nahin.” gidon ki baatein sunkar unka gussa thanda ho gaya.  fir gidon dushmanon ke peechhe-peechhe yardan tak aaya aur usne use paar kiya. woh aur uske 300 aadmi thakkar choor ho gaye, fir bhi woh unka peechha karte rahe.  sukkot mein aakaar usne vahaan ke logon se kaha, “main midyaniyon ke raja jebah aur salmunna ka peechha kar raha hoon. mere aadmi bahot thak chuke hain, meharbani karke unhein khaane ke liye kuch rotiyaan de do.”  lekin sukkot ke haakimon ne kaha, “tu to aise roti maang raha hai, jaise tere aadmiyon ne jebah aur salmunna ko bandi bana liya ho!”  gidon ne unse kaha, “to theek hai tum bhi sun lo, jab yahova jebah aur salmunna ko mere haath kar dega to main lautkar tumhein jangal ki kanteeli jhaadiyon se khoob maaroonga.”+  fir gidon, panooel gaya aur usne vahaan bhi logon se roti maangi. lekin unhonne bhi vahi javab diya jo sukkot ke logon ne diya tha.  gidon ne panooel ke logon se kaha, “jab main jeetkar lautoonga, to tumhare shehar ki meenar gira doonga.”+ 10  jebah aur salmunna apne 15,000 aadmiyon ke saath kaarkor mein the. poorvi desh ki sena+ mein sirf itne aadmi bach gaye the, baaki 1,20,000 yoddha maare jaa chuke the. 11  gidon aage badhte huye nobah aur yogbaha+ ke poorab mein us raaste se gaya jahaan khaanabadosh log rehte the aur usne achanak dushmanon ki chhaavni par hamla bol diya. 12  midyani raja jebah aur salmunna vahaan se bhaag nikle. magar gidon ne unka peechha karke unhein pakad liya aur dushmanon ki poori chhaavni mein afra-tafri mach gayi. 13  yuddh se lautte vakt, yoash ka beta gidon us chadhai se hokar guzra jo heres ko jaati thi. 14  raaste mein usne sukkot ke ek javan aadmi ko pakda aur usse sukkot ke haakimon aur mukhiyaon ke baare mein poochhtachh ki. us aadmi ne gidon ko unke naam likhkar diye, kul milakar 77 logon ke naam. 15  tab gidon ne sukkot ke aadmiyon ke paas aakaar kaha, “ye rahe jebah aur salmunna! inhin ke baare mein tumne mujhse kaha tha, ‘tu to apne thake huye aadmiyon ke liye aise roti maang raha hai, jaise unhonne jebah aur salmunna ko bandi bana liya ho!’”+ 16  fir gidon ne jangal ki kanteeli jhaadiyaan lekar sukkot ke mukhiyaon ki achhi khabar li.+ 17  iske baad usne panooel ki meenar gira di+ aur shehar ke aadmiyon ko maar daala. 18  gidon ne jebah aur salmunna se poochha, “taabor mein tumne jin logon ko maara tha woh dikhne mein kaise the? unhonne kaha, “bilkul tere jaise. woh kisi raja ke bete se kam nahin dikh rahe the.” 19  gidon ne kaha, “woh mere sage bhaai the. main jeevit parmeshvar yahova ki shapath khaakaar kehta hoon, agar tumne mere bhaaiyon ko nahin maara hota, to main bhi tumhein nahin maarta.” 20  fir usne apne pehalauthe bete yeter se kaha, “maar daal inhein.” lekin yeter ne apni talvar nahin nikaali, woh dar gaya kyonki woh abhi ladka hi tha. 21  is par jebah aur salmunna ne gidon se kaha, “usse kya keh raha hai, agar tujhmein himmat hai, to utha talvar aur maar daal hamein.” tab gidon ne aage badhkar jebah aur salmunna ko maar daala.+ aur unke unton ki gardan se chandrahar le liye. 22  iske baad israeliyon ne gidon se kaha, “tu hamara raja ban jaa aur tere baad tere bete aur pote bhi hum par raaj karein kyonki toone hamein midyaniyon ke haath se bachaya hai.”+ 23  magar gidon ne unse kaha, “na to main, na mere bete tum par raaj kareinge. yahova tumhara raja hai aur vahi tum par raaj karega.”+ 24  usne yah bhi kaha, “tumse ek binti hai, tum apne loot ke maal mein se mujhe ek-ek nath do.” (kyonki israeliyon ne jinhein haraya tha woh ishmaeli+ the aur sone ki nath pehna karte the.) 25  israeliyon ne kaha, “zaroor, kyon nahin.” unhonne ek kapda failaya aur har aadmi apne loot ke maal se ek-ek nath usmein daalta gaya. 26  gidon ko sone ki jitni nath milin, unka kul vazan 1,700 shekel* sone ke barbar tha. iske alava use chandrahar, gale ki latkan, midyani raajaon ke bainjni rang ke kapde aur unton ke gale ke haar bhi mile.+ 27  gidon ne us sone se ek epod banaya+ aur apne shehar opra+ mein uski numaish ki. magar saare israeli epod ko devta maankar poojne lage*+ aur woh epod, gidon aur uske gharane ke liye fanda saabit hua.+ 28  is tarah midyani+ israeliyon se haar gaye aur woh fir kabhi israeliyon ke khilaf khade na huye.* 40 saal tak, jab tak gidon zinda raha, unke ilake mein shaanti bani rahi.+ 29  yoash ka beta yarubbal*+ apne ghar laut gaya aur vahaan rehne laga. 30  gidon ke 70 bete huye kyonki uski bahot saari patniyaan thi. 31  shekem mein rehnevali uski up-patni se bhi use ek beta hua jiska naam usne abeemelek rakha.+ 32  ek lambee aur khushhal zindagi jeene ke baad yoash ka beta gidon mar gaya. use abiejeriyon ke ilake opra mein+ apne pita yoash ki kabraa mein dafnaya gaya. 33  gidon ke marne ke turant baad israeli fir se baal devtaon ki pooja* karne lage+ aur unhonne baal-bareet ko apna ishvar bana liya.+ 34  woh apne parmeshvar yahova ko bhool gaye+ jisne aas-paas ke sabhi dushmanon se unhein bachaya tha.+ 35  yahi nahin, yarubbal yaani gidon ne unke saath jitni bhalai ki thi, woh use bhi bhool gaye aur unhonne uske gharane par koi kripa* nahin ki.+

kai footnote

shaa., “kya epraim ke beene huye angoor abiejer ki kaati gayi fasal se zyada nahin hain?”
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kha14 dekhein.
ya “epod ke saath veshyaon jaisi badchalni karne lage.”
shaa., “sir na uthaya.”
yaani gidon. nya 6:32 dekhein.
ya “ke saath veshyaon jaisi badchalni.”
ya “atal pyar.”