yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 10:1-11

  • ek taakatvar swargdoot ke paas chhota kharra (1-7)

    • “ab aur der nahin hogi” (6)

    • pavitra rehasya anjam par pahunchega (7)

  • yuhanna chhota kharra khaata hai (8-11)

10  fir mainne ek aur taakatvar swargdoot ko baadal odhe huye swarg se utarte dekha. uske sir par megh-dhanush tha aur uska chehra sooraj jaisa tha+ aur uski taangein aag ke khambhon jaisi thi.  uske haath mein ek khula hua chhota kharra tha. aur usne apna daayaan pair samundar par magar apna baayaan pair dharti par rakha  aur usne sher ki dahad jaisi zordar aavaz mein pukara.+ aur jab woh chillaya to saat garjanon ki aavazen sunayi di.+  jab saaton garjan bol chuke to main likhne jaa raha tha. magar mainne swarg se ek aavaz suni+ jo kah rahi thi, “saat garjanon ne jo baatein kahin unhein muharband kar de aur unhein mat likh.”  mainne jis swargdoot ko samundar aur dharti par khade dekha, usne apna daayaan haath swarg ki taraf uthaya  aur us parmeshvar ki shapath khaayi jo sada tak jeevit rehta hai,+ jisne aakash aur uski sab cheezen aur prithvi aur uski sab cheezen aur samundar aur uski sab cheezen rachi hain+ aur kaha, “ab aur der nahin hogi.  magar jin dinon saatvaan swargdoot+ apni turhi foonkne ke liye taiyar hoga,+ tab parmeshvar ka pavitra rehasya+ vaakai apne anjam tak pahunchaya jaayega, haan vahi rehasya jo parmeshvar ne apne daason yaani bhavishyavaktaon ko ek khushkhabri ke taur par sunaya tha.”+  ek baar fir mainne swarg se woh aavaz suni+ jo mujhse kah rahi thi, “jaa aur us swargdoot ke haath se jo samundar aur dharti par khada hai, khula hua kharra le le.”+  tab main us swargdoot ke paas gaya aur mainne usse woh chhota kharra maanga. usne mujhse kaha, “le aur ise khaa le.+ yah tera pet kadva kar dega, magar munh mein yah tujhe shehad ki tarah meetha lagega.” 10  aur mainne swargdoot ke haath se woh chhota kharra liya aur use khaa liya.+ mujhe munh mein to woh shehad ki tarah meetha laga.+ magar jab main use khaa chuka to mera pet kadva ho gaya. 11  aur mujhse kaha gaya, “tujhe jaatiyon, raashtron, alag-alag bhasha* ke logon aur bahot-se raajaon ke baare mein fir se bhavishyavani karni hogi.”

kai footnote

ya “zaban.”