yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 14:1-20
14 fir mainne dekha to kya dekha! memna+ siyyon pahad par khada hai+ aur uske saath 1,44,000+ jan khade hain jinke maathe par uska naam aur uske pita ka naam likha hai.+
2 aur mainne swarg se ek aavaz suni jo paani ki bahot-si dhaaraon ki aavaz aur tez garjan jaisi lag rahi thi. aur mainne jo aavaz suni woh aisi thi jaise gaanevale apne surmandal baja rahe hon.
3 aur woh raajgaddi ke saamne aur chaar jeevit praniyon+ aur pracheenon+ ke saamne maano ek naya geet gaa rahe hon.+ aur un 1,44,000 janon ke siva jinhein dharti se khareeda gaya hai, koi aur woh geet gaane mein maharat nahin paa saka tha.+
4 ye vahi hain jinhonne aurton ke saath khud ko dooshit nahin kiya. darasal ye kunvare hain.+ ye vahi hain jo memne ke peechhe jahaan-jahaan woh jaata hai vahaan-vahaan jaate hain.+ inhein insanon mein se parmeshvar aur memne ke liye pehale falon ke naate+ khareeda gaya tha+
5 aur unhonne apne munh se kabhi chhal ki baat nahin ki. woh bedag hain.+
6 fir mainne ek aur swargdoot ko dekha jo aakash ke beechon-beech* ud raha tha aur uske paas sada tak kaayam rehnevali khushkhabri thi taaki woh ise dharti par rehnevalon ko yaani har raashtra, gotra, bhasha* aur jaati ke logon ko sunaye.+
7 woh swargdoot buland aavaz mein kah raha tha, “parmeshvar se daro aur uski mahima karo kyonki uske nyay karne ka vakt aa gaya hai.+ isliye us parmeshvar ki upasna karo jisne aakash aur dharti aur samundar aur paani ke sote banaye.”+
8 iske baad ek doosra swargdoot yah kehte huye aaya, “woh gir padi! mahanagri baibilon+ gir padi,+ vahi jisne sabhi raashtron ko apne naajayaz yaun-sambandhon* ki, haan apni vaasnaon* ki madira pilayi hai!”+
9 iske baad ek teesra swargdoot buland aavaz mein yah kehte huye aaya, “agar koi us jangli jaanvar+ aur uski moorat ki pooja karta hai aur apne maathe ya haath par nishan lagvata hai,+
10 to woh bhi parmeshvar ke krodh ke pyale mein undeli gayi niri madira mein se uske gusse ki madira peeyega+ aur use pavitra swargdooton aur memne ki nazron ke saamne aag aur gandhak se tadpaya jaayega.+
11 aur jis aag mein unhein tadpaya jaayega usse hamesha-hamesha tak dhuaan uthta rahega+ aur unhein din-raat kabhi chain nahin milega, haan unhein jo jangli jaanvar aur uski moorat ki pooja karte hain aur uske naam ki muhar lagvate hain.+
12 aise mein pavitra janon ka dheeraj dharna zaroori hai,+ jo parmeshvar ki aagyayen maante hain aur yeeshu par vishvas* karna nahin chhodte.”+
13 aur mainne swarg se yah aavaz suni, “likh le: sukhi hain woh jo ab se prabhu ke saath ekta mein mareinge.+ haan, pavitra shakti kehti hai, ab unhein kadi mehnat se aaram mile, kyonki unhonne jo kaam kiye woh bhulaye nahin jaayenge.”*
14 fir dekho mainne kya dekha! ek safed baadal tha jis par insan ke bete jaisa koi baitha hai.+ uske sir par sone ka taaj aur uske haath mein tez hansiya hai.
15 fir ek aur swargdoot mandir ke pavitra-sthan mein se nikala aur jo baadal par baitha hua tha, usse buland aavaz mein kaha, “apna hansiya chala aur katai kar kyonki katai ka vakt aa gaya hai aur dharti ki fasal poori tarah pak chuki hai.”+
16 aur jo baadal par baitha tha usne dharti par apna hansiya chalaya aur dharti ki fasal kaati gayi.
17 fir ek aur swargdoot us mandir ke pavitra-sthan se nikala jo swarg mein tha. uske paas bhi ek tez hansiya tha.
18 fir ek aur swargdoot vedi mein se nikala jise aag par adhikar mila tha. usne buland aavaz mein us swargdoot ko pukara jiske paas tez hansiya tha aur usse kaha, “apna hansiya chala aur prithvi ki angoor ki bel ke guchhe ikatthe kar kyonki uske angoor pak chuke hain.”+
19 aur us swargdoot ne prithvi par apna hansiya chalaya aur prithvi ki angoor ki bel ikatthi ki. usne woh bel, angoor raundne ke us bade haud mein feink di jo parmeshvar ke krodh ki nishani hai.+
20 us haud ko shehar ke baahar raunda gaya aur usmein se jo khoon nikala, woh ghodon ki lagamon ki unchai tak pahunch gaya aur kareeb 300 kilometer* ki doori tak fail gaya.
kai footnote
^ ya “prithvi se thoda oopar; sir ke oopar.”
^ ya “zaban.”
^ ya “krodh.”
^ shaa., “yeeshu ka vishvas.”
^ shaa., “unke kaam unke saath jaayenge.”
^ shaa., “1,600 stadiyaun.” ek stadiyaun 185 m. (606.95 fut) ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.