yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 19:1-21
19 iske baad mainne swarg mein aisi aavaz suni jo ek badi bheed ki zordar aavaz jaisi thi. woh kah rahe the, “yaah ki taareef karo!*+ hamara parmeshvar hamara uddharkarta hai, mahima aur shakti usi ki hai,
2 kyonki uske faisle nek aur sachche hain.+ usne us badi veshya ko saza di hai jisne apne naajayaz yaun-sambandhon* se dharti ko bhrasht kar diya tha. parmeshvar ne apne daason ke khoon ka badla usse liya hai.”+
3 iske fauran baad unhonne doosri baar kaha, “yaah ki taareef karo!*+ baibilon nagri ke jalne ka dhuaan hamesha-hamesha tak uthta rahega.”+
4 aur un 24 pracheenon+ aur chaar jeevit praniyon+ ne neeche girkar us parmeshvar ki upasna ki jo raajgaddi par baitha tha aur kaha, “aameen! yaah ki taareef karo!”*+
5 aur raajgaddi mein se bhi ek aavaz nikli jo kah rahi thi, “hamare parmeshvar ke sab daaso, uska dar maannevale chhote-bade sab daaso,+ uski taareef karo!”+
6 aur mainne aisi aavaz suni jo ek badi bheed ki aavaz jaisi thi aur paani ki bahot-si dhaaraon ki aavaz aur zordar garjan jaisi thi. woh kah rahe the, “yaah ki taareef karo,*+ kyonki hamare sarvashaktiman parmeshvar yahova*+ ne raja ki haisiyat se raaj karna shuroo kar diya hai!+
7 aao khushiyaan manayen aur aanand se bhar jaayen aur parmeshvar ki mahima karein kyonki memne ki shaadi ka vakt aa gaya hai aur uski dulhan taiyar hai.
8 haan, use ijazat di gayi hai ki woh ujla, saaf aur badhiya malmal pehne, kyonki badhiya malmal pavitra janon ke nek kaamon ki nishani hai.”+
9 aur usne mujhse kaha, “yah likh: sukhi hain woh jinhein memne ki shaadi mein shaam ki daavat par aane ka nyauta mila hai.”+ usne mujhse yah bhi kaha, “ye parmeshvar ke sachche vachan hain.”
10 yah sunte hi main uski upasna karne ke liye uske pairon par gir pada. magar usne mujhse kaha, “nahin, nahin, aisa mat kar!+ main to sirf tere aur tere bhaaiyon ki tarah ek daas hoon, jinhein yeeshu ki gavahi dene ka kaam mila hai.+ parmeshvar ki upasna kar+ kyonki bhavishyavaniyon ka maksad yeeshu ke baare mein gavahi dena hai.”+
11 mainne swarg ko khula hua dekha aur dekho! ek safed ghoda.+ aur jo us par savaar tha, woh vishvasyogya+ aur sachcha kehlata hai+ aur woh nek staron ke mutabik nyay karna aur yuddh karna jaari rakhta hai.+
12 uski aankhein aag ki jvala hain+ aur uske sir par bahot-se mukut* hain. us par ek naam likha hai jiska matlab khud uske siva aur koi nahin jaanta
13 aur woh ek poshak pehne huye hai jis par khoon ka daag hai* aur use is naam se pukara jaata hai: parmeshvar ka vachan.+
14 uske peechhe-peechhe swarg ki senayen safed ghodon par aa rahi thi aur woh safed, saaf aur badhiya malmal pehne huye the.
15 aur us ghudsavaar ke munh se ek tez dhaarvali lambee talvar nikaaltee hai+ taaki woh usse raashtron par vaar kare. aur woh charvahe ki tarah unhein lohe ke chhad se haankega.+ yahi nahin, woh sarvashaktiman parmeshvar ke krodh aur jaljalahat ke haud mein bhi raundta hai.+
16 uski poshak par, haan uski jaangh par ek naam likha hai: raajaon ka raja aur prabhuon ka prabhu.+
17 mainne ek aur swargdoot dekha jo sooraj ke beech khada tha aur usne zordar aavaz mein pukar lagayi aur beech aakash mein* udte sabhi pakshiyon se kaha, “yahaan aao, parmeshvar ki shaam ki badi daavat ke liye ikattha ho jaao+
18 taaki tum raajaon, senapatiyon, taakatvar aadmiyon, ghodon aur ghudsavaaron ka maans khaao.+ saath hi, aazad logon aur daason ka aur chhote-bade, sabka maans khaao.”
19 aur mainne dekha ki jangli jaanvar aur dharti ke raja aur unki senayen us ghudsavaar aur uski sena se yuddh karne ke liye ikattha huin.+
20 aur us jangli jaanvar ko, saath hi uske saamne chamatkar karnevale jhoothe bhavishyavakta ko pakad liya gaya+ jo chamatkar dikhakar un logon ko gumrah karta tha jinhonne khud par jangli jaanvar ka nishan lagvaya tha+ aur jo uski moorat ki pooja karte the.+ un donon ko jeete-ji aag ki us jheel mein feink diya gaya jo gandhak se jalti rehti hai.+
21 aur baaki log ghudsavaar ke munh se nikaalnevali lambee talvar se maar daale gaye.+ aur sabhi pakshiyon ne bharpet unka maans khaaya.+
kai footnote
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
^ ya “shaahi pattiyaan.”
^ ya shaayad, “khoon chhidka hua hai.”
^ ya “prithvi se thoda oopar; sir ke oopar.”