yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 20:1-15
20 aur mainne ek swargdoot ko swarg se utarte dekha jiske paas athah- kund ki chaabi aur haath mein ek badi zanjeer thi.+
2 usne us ajgar+ ko, us purane saanp+ ko jo iblees+ aur shaitan+ hai pakad liya aur 1,000 saal ke liye use baandh diya.
3 aur use athah-kund mein feink diya+ aur athah-kund ko band karke us par muhar laga di taaki woh 1,000 saal ke khatm hone tak raashtron ko fir gumrah na kare. iske baad zaroori hai ki use thodi der ke liye aazad kiya jaaye.+
4 aur mainne raajgaddiyaan dekhin aur jo un par baithe the unhein nyay karne ka adhikar diya gaya. haan, mainne unhein dekha jinhein yeeshu ki gavahi dene aur parmeshvar ke baare mein batane ki vajah se maar daala gaya tha* aur jinhonne na to us jangli jaanvar ki, na uski moorat ki pooja ki thi aur na apne maathe par aur na apne haath par uska nishan lagvaya tha.+ woh zinda ho gaye aur unhonne raja bankar maseeh ke saath 1,000 saal tak raaj kiya.+
5 (aur baaki mare huye+ 1,000 saal ke khatm hone tak zinda nahin huye.) ye woh hain jinhein mare huon mein se sabse pehale zinda kiya jaata hai.+
6 sukhi aur pavitra hain woh jinhein mare huon mein se sabse pehale zinda kiya jaata hai.+ in par doosri maut+ ka koi adhikar nahin,+ magar woh parmeshvar aur maseeh ke yaajak honge+ aur raja bankar uske saath 1,000 saal tak raaj kareinge.+
7 jaise hi 1,000 saal khatm honge, shaitan ko kaid se chhoda jaayega
8 aur woh prithvi ki chaaron dishaon mein raashtron ko yaani gog aur maagog ko gumrah karne ke liye niklega taaki unhein yuddh ke liye ikattha kare. unki ginti samundar kinare ki ret ke kinkon jitni hai.
9 woh saari dharti par fail gaye aur unhonne pavitra janon ke dere aur us pyari nagri ko gher liya. magar swarg se aag barsi aur woh bhasm ho gaye.+
10 aur unhein gumrah karnevale shaitan ko aag aur gandhak ki jheel mein feink diya gaya, jahaan jangli jaanvar+ aur jhootha bhavishyavakta pehale hi daal diye gaye the.+ aur unhein raat-din hamesha-hamesha ke liye tadpaya jaayega.*
11 aur mainne dekha ki ek badi safed raajgaddi hai aur us par parmeshvar baitha hai.+ uske saamne se prithvi aur aakash bhaag gaye+ aur unhein koi jagah na mili.
12 aur mainne mare huon ko yaani chhote-bade sabko raajgaddi ke saamne khade dekha aur kitabein* kholi gayin. fir ek aur kitab* kholi gayi jo jeevan ki kitab hai.+ un kitabon mein likhi baaton ke mutabik, mare huon ka unke kaamon ke hisab se nyay kiya gaya.+
13 aur samundar ne un mare huon ko jo usmein the, de diya aur maut aur kabraa* ne un mare huon ko jo unmein the, de diya aur unmein se harek ka uske kaamon ke hisab se nyay kiya gaya.+
14 aur maut aur kabraa* ko aag ki jheel mein feink diya gaya.+ is aag ki jheel+ ka matlab hai, doosri maut.+
15 aur jis kisi ka naam jeevan ki kitab mein nahin likha tha,+ use aag ki jheel mein feink diya gaya.+
kai footnote
^ shaa., “kulhade se maar daala gaya tha.”
^ ya “bandish lagayi jaayegi; kaid kiya jaayega.”
^ ya “kharra.”
^ ya “kharre.”